Saturday, September 15, 2012

tinke tinke bator kar banaati hai ghosla....





tinke tinke bator kar banaati hai ghosla....

pal mein uda deti hai hawa ke jhokha.... 
adbhut hai phir bhi inka hausla....
phir jut jaate hai banane ghosla.... 






patli si daal par... patto ki chaal par...
makhali...surmayi sundar ghosla.... 
adbhut hai phir ki inki lagan aur hausla... 
paani ki bahaar baha deti hai isey...
jal ki bhauchaar bhingaa deti hai isey....





phir bhi chahchahatey hai ji bhar ke ye...
mast khuli taaji hawa mein taer kar aatey hai ye...
phir bhi khub muskuraate hai ye...
madhur geet gaake gum ko bhagaate hai ye...
phar phar karke apne pankh, khuli hawa mein ud jaatey hai ye...









nayano sein chalaate baan hai yee...
nayano ko matkaate praan hai ye...
panchi to panchi hawa ke shaan hai ye....
adhbhut ikshashakti aur dhiraj ki pehchaan hai ye... !!!
maana insaan nahi to kya insaan ko bahut kuch sikha de aisi misaal hai ye !!!!!!!

4 comments:

Simran said...

Bohot hi behtarien
Aazadi , khulepan ka ehsaas karati hai aapki ye kavita!

:)

anuj said...

@ simran: thanks a lot. . thanks for the appreciation!!!

nidhi said...

baarikiyo se varnan kia hai..
nice

anuj said...

@ nidhi:: sukriya... koshish ki hai.... panchi se thoda kuch main bhi sikh loon....

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...