us os ki boond ki tarah hai khawab mere...
subah ki pahli kiran ke aney pe ud jayenge....
chahta hun usey thaam loo muththi mein...
par ret ki dher ki tarah bah jayenge...
jakrooo gaa khwaabo ko agar main, to bas mein kaha rah payenge...
us os ki boond ki tarah hai khwab mere...
naa jaane kab tak ghaas pe pare khuda se manayenge...
suraj ki kirano ke aaney ko, chahkar bhi taal thode naa payenge...
kewal ye kuch pal hai unke paas kahne ko kuch....
warna subah to sab unhe bhool jayenge...
os ki boond ki tarah hai khwaab mere...
apas mein hi wajood ke liye takraayenge...!!!
subah ki pahli kiran ke aney pe ud jayenge....
(thoughts no matter whether big or small will disappear and fade over a passage of time.... at times there is a need to preserve or control them...)

No comments:
Post a Comment