Wednesday, September 12, 2012

waqt ki kami ki duhaai har log diya karte hai....

waqt ki kami ki duhaai har log diya karte hai....
par us khaami se nikalne ka prayas kaha karte hai.... 
apne shauk ko purana sapna bata picha chuda lete hai... 
aaj ka kaam kal pe, kal ka uske kal pe taala karte hai..... 
dusro ke aagey apne ko waqt ke gulaam bataya karte hai... 
waqt ki kami ki duhaai har log diya karte hai...

par bita hua kal ho yaa aaney wala pal.... 
naaa hi wo kisi ke liye thama hai....
naa hi kisi ke liye rukta hai....
kal naa aya hai kabhi... naaa aaney ke asaar hai...
jo saath naa chala hai ... wo piche rah gaye hai...
apne aalas pe itna kya shuroor ya ghamand kia karte hai....
log apni kamjori ko bhi takat dikhaya karte hai....
naa jaane kyu waqt ki kami ki duhaayi har pal diya karte hai,,...!!
jindagi unki hai ... phir apne hi sapne se kyu khilwaad kiya karte hai!!!!!

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...