Thursday, April 14, 2011

माना पंची जो उड़ गए पिंजरे से वे लौट कर थोड़े ही आएंगे....



माना पंची जो उड़ गए पिंजरे से वे लौट कर थोड़े ही आएंगे....
माना की गलतिया जो हो गयी अनजाने में अपने छाप छोड़ जायेंगे...
माना की बीता हुआ पल लौट के नहीं आता .....
बातें कुछ जानते है की गलत है फिर भी अक्सर करते है...
कुछ बातें जानते है की सही है पर कभी नहीं करते.....

जिंदगी में दिखावे का बड़ा बोलबाला है....


जिंदगी में दिखावे का बड़ा बोलबाला है....
जहा साइकिल से जाना है वहा मोटर से जाना है.....
जहा खाना हाथ से हो खाना वहा आदमी चमच छुरी लगा रहा है .....
कसरत तोह कौन करे यहाँ तोह हर दिन क्रीम ,पावडर लगाया जा रहा है....
रोटी तोह कभी कभार यहाँ तोह हर दिन पावरोटी औरमैगी चबाया जा रहा है...
आदमी केवल नहीं बदला यहाँ तोह रेगिस्तान में बाड़ आ रहा है ......

Monday, April 11, 2011

sapne kai dekhe the jo sapne rah gaye.....




sapne.... sapne .... sapne......



hai apne .... apne.... apne.....








sapne kai dekhe the jo sapne rah gaye.....
kya pata kaha kisi kone me chipe rah gaye....
jitne paas lane ki koshish ki humne naa chahte bhi utne dur chale gaye...
humey kya pata tha ki khwab humare apas me hi takrayenge....
humare hi bas ke bahar ho jayenge...
jaisi paristhi(situation) hai kuch toh waise dhal jayenge,,,,
baki humare man me widroh machayenge.....
kuch ko sahara mil jaata hai auro se kuch alag thalag pad jaatey hai...
kuch toh akhiri dum tak ladte hai kuch chupke se gayab ho jaatey hai...
jo bhi kaho,,,, jaise bhi kaho....hai toh akhir khwab humare.....
koshish thi yahi ki ho jaye sab pure khwab humare.......


will end this poem with great lines by Apj Abdul kalam :
dream dream dream because dream transform into thoughts and thoughts convert into actions........

udas hone ka kya hai jindagi me jo udas hote hai hum...

udas hone ka kya hai jindagi me jo udas hote hai hum...
hasne ko jab itna kuch hai toh kyu bekar ka rote hai hum...
aashayein aur sapne bhale aj sab pure naa ho sake,,,
to kya hua kal bhi pura kar sakte hai unhe....
baatein kuch ankahi rah jaaye aaj agar ,,,
toh kya hua kal bhi ka sakte hai unhe...
samay bada balwaan hota hai and mana laut kar nahi ata ....
par aney wala pal kuch naa kuch jaroor lata hai,,,....

so just a smalll request ki kush rahe....
aappp kush rahenge toh aapp ke dost bhi kush rahenge...

so forget your worries n keep smiling... thats what is life..

Life me twist ek baar nahi baar baar atey hai

life mein twist ek baar nahi baar baar atey hai...
jindagi me risk har mor par najar atey hai...
jana hota hai humey kahi par hum kahi aur pahuch jaatey hai...
muskurana hota hai par hum kai baar udas ho jaate hai...
jeete hai jo shaan se wohh shaan se mar nahi paatey...
milte hai jo anjaan se woh dost ban jaatey hai...
dost jo kahte the pure aan se woh dushman ho jaatey hai..
apna man bhale jo kahe jamane ki suni chale jaatey hai....
rahi hai anek,,manjil bhi anek par ek hi path par ek hi path par chale jaatey hai...
kabhi sath dekar tohh kabhi dakkha dete agey prastan kar jaatey hai...
kabhi toh gale lagakar apna bana lete par kabhi dutkar kar dur bhaga dete hai....
bhagwaan ke naam par bephijul logo ko ulllo banate hai.....
neta toh logo ka paisa apna samajhkar chat kar jaatey hai....
kuch log toh dur hokar bhi man ko bhate hai,,,,
par unka kya jo paas hokar bhi gariyaate hai...
sabd chahe kitni likh lo kuch log toh bin kahe samajh jaatey hai...
kuch log toh bin kahe samajh jaatey hai...
free counters

Tuesday, April 05, 2011

samay ki najakat ko samajh mere man plz mujhse khel na kar....

samay ki najakat ko samajh mere man plz mujhse khel na kar....
mana chanchal hai tu maja lene se baaj naa ayega....
pyar se samjhaya lakh tujhe par itni jaldi samajh me thodi hi ayega...
main mana karta rahu kitna bhi par tu wohi karega jo tujhe bhayega...
naraaj hota hun toh mujhe hasa deta hai tu....
vichalit hota hu agar toh himmat bada deta hai tu....
muskurata hu agar toh khilkhila deta hai tu...
mana dimaag se kabhi lad jaata hai tu,,, kabhi jeete woh aur kabhi jeete tu...
itna samajhdaar hokar bhi nadani kyu...
bachpana ke naam par chedkani kyu....
laut ke pal toh tu naa laa payega....
beet jaane par bekaar ka pachtayega...
samay ki ahmiyat ko najarandaj naa kar...
mere jeewan se khilwad na kar....
man mera hai kisi aur ka nahi...
har baar na sahi kabhi toh mera sun...
tujhse ruthkar main kaha jayunga ...laut ke toh akhir yahi ayunga...



Time is a chariot with no reverse gears.. but as lord krishna has rightly said man bahut chanchal hai...

Rota raha main der tak khilkhilane ki hasrat me.....

Kho dia bahut kuch paane ki hasrat me....
kah dia bahut kuch chupaane ki hasrat me...
sun gaya main bahut kuch sunane ki hasrat me...
so gaya main jaldi subah uth jaane ki hasrat me...
gawa dia bahut kuch kamane ki hasrat me...
karta raha der tak intezaar jhalak paane ki hasrat me...
meet na jayu kisi ko mitane ki hasrat me...
Rota raha main der tak khilkhilane ki hasrat me.....



Seldom we end up not enjoying our present in the thoughts and plan of future.

IndiBlogger - The Largest Indian Blogger Community

Get Follow Me Buttons

Monday, April 04, 2011

Log aksar puchte hai -- humari pehchaan kya hai

Aksar log kahte hai hum kaun hai.....
humari pehchaan banane wali humari maa hai.....
humey ungli pakkad kar chalna sikhane wali humari maa hai....
humey apne haathoein se khilane wali humari maa hai.....
humari nautanki ko khel samajhkar humey sir pe chadanewali humari maa hai.....
humari likhayi me unka pyaar jhalakta hai....
galtia hum lakh kar le lekin unka pyaar jhalakta hai....
khud bhale chup ke kitna bhi role par humey rota dekhkar unka jee pighalta hai....

log aksar puchte hai humari pehchaan kya hai....
main toh yeh samajhta hun ki hamari pehchaan kya....
haumari sabse badi aan.... sabse bada maan ....
aur toh aur humara sabse pyara bhagwaan hamari maa hai.......

maa- kahne ko bahut kuch...mere paas alphaaz kam hai

Maa...
kahne ko bahut kuchh... likhne ko bahut kuchh...
par sayad mere paas alphaj nahi...
maa ne mujhe apne jeevan me kabhi naa nahi kiya....
phir bhi main mana karne se kyu nahi katrata....
choti si asha ho ya badi abhilasha,,,,,
pura apni maa ki kyu nahi kar pata.....
lad jaati hai jo auro se toh dur khud apne aap se,,,,,
jo maa meri khatir, us maa ka beta acha kyu main ban nahi pata.......


Purani tasweero ko dekh mera bachpan yaad karti woh....
mere baare me har pal sochti aur kahti woh....
nigrani rakhti woh mere har karya par....
usne kya kya nahi sikhlaya mujh nalayak ko....
usne kya nahi samjhaya mujh ko...
unki taleem se hi toh ban paya kabil main...
mujhe jeena sikhaya woh hi kya kam hai....
kitni tareeph karu main maaa ki....
itna kuch paane pe bhi kyu rota hun main.....
kyu kabhi jooth bolta hun main....
mere chahre se samajh jaati hai hai jo....
mere kahne se pahle samajh jaati hai woh....
apni maata ke baare me aur kya kahooo...
jinke daant me bhi hai gehra pyaar chupa....
jinke khane me har swaad mila...
meri khusi se bada sayad unke liye aur kuch nahi...
mere dukh se bada unka koi gam nahi....
meri har bhul ko jo kar deti hai najar andaaj....
us maa ko zara sa bhi tang karne se pahle,,,,
mera man kyu nahi khabrata.......
kahne ko bahut kuch hai ...
mere paas alphaaz kam hai.......

paa

papa kaho ya paa ya phir dular se paa ya phir dular se pops kahlo.....
jaise bhi kahoge jo bhi kahoge,,,,,,
woh jarur sunege kuch naa kuch toh jarur karenge......
sapne bhale ho humare hi kyu nahi,,,,,,,
unhe apna samajhkar pura jarooor karenge......
mana ki lagte hai sakht jara ,,,, daant bhi dete hai jara mara.....
par unke daant bhi bahut kuch sikha jaati hai....
sahi aur galat ke pharak ko samajhna sikha jaati hai.....
maana maa ki mamta jhalak ati hai saaamne,,,,,
par unka bhi lagao koi kam nahi.....
maaa ke ladle hai toh kya hua ,,,,,,,
paaa ka dular bhi kam nahi......
khana kabhi bana ke khilaya nahi,,,,
phir bhi humari pasand(taste) ka pura gyan unhe.....
dukan me baithe hai toh kya hua,,,,,
ghar ka aankhoein dekha haal hai unhe.....
meri har ghabar par nazar hai maa se gahri unki.....
mere har kadam pe kandhe se kandha milaya hai unhone.....
meri har jeedh ko sach banaya hai unhone....
ek dost ya sathi ki tarah thoda kam sahi,,,,,ek parchai ki tarah sath diya hai unhone.......
ek dost ya sathi ki tarah thoida kam sahi,,,,ek parchai ki tarah sath diya hai unhone.....

raaste hai toh kaun kehta hai kewal phul milenge

Raaste hai toh kaun kehta hai kewal phul milenge,,,,,,
kuch kaanto ka milna toh swabhawik hai......
jindagi me jaruri toh nahi sab dost bane,,,,,,,,,
kuch ka dushman ban jana vastavik hai.....
chahre pe har pal muskurahat ho jaruri nahi,,,,,,,
chahre ka murjha jana bhi haqiqat hai....

Manjil tumhare paas chalkar nahi ayegi tumhe toh manjil tak khud ko le jana hoga...

Manjil tumhare paas chalkar nahi ayegi.,,,,,
tumhe toh manjil tak khud ko le jana hoga...
raaste par lakh kankar kyu na bhale,,,,,
chappal naa ho toh khali paer jana hoga....
bhuk kitni bhi bhale lag rahi ho,,,,,,,
khana na ho toh khali pet so jaana hoga....
log agar naa sath ho tumhare,,,,,,,
tumhe akele hi khud ko behlana hoga.....
kanth kitna bhi sukh raha ho tumhara,,,,,
pani naa ho toh tumhe kaam chalana hoga...
mushkile lakh aye dagar me,,,,,,,,
tumhe khud ko agey badana hoga......

Rishtoh ki ahmiyat kyu bhul jaate hai log

Rishtoh ki ahmiyat kyu bhul jaate hai log,
saste purje machine me kyu lagate hai log.....
jindagi ek baaar ati hai baar baar nahi....
apni jeedh ke agey apni kismat kyu ajmaaate hai log....
samay ki najakat ko tak par rakhkar,,,,,
kyu hardam apas me lad jaate hai log.........
rote huye ko sahara toh dur ,,,,,
kyu haste huye ko rulate hai log......
paise mile jo bhalai ke liye apna samajh kyu udate hai log.....
apni kismat par rote jaate hai din raaat magar,,,,,
kyu apni mehnat se kismat nahi chamkate hai log.....
jindagi itni achi nahi toh kya hua issey kyu acha nai banate hai log....
apne masle toh sulzha nahi sakte toh dusre ke masle kyu ulzhaate hai log....
mana ki hasa nahi sakte agar toh baar baar kyu rulate hai log....
humse koi shikwa ya galati hui toh alag baat hai,,,
warna har baar hamari khamia kyu nikalte hai log......
apne bhale hi galat ho magar har dusre ki galati kyu nikalte hai log.......
apne bhale hi galat ho magar har dusre ki galati kyu nikalte hai log.......

mano toh sab kuch hai naa mano toh kuch bhi nahi jindagi.....

Jindagani, jo lagti hai badi jani pehchaani.....
kabhi toh asaan sa kat jaata hai safar....
kabhi har pal jeena ho jaata durbhar.......
kabhi hasati toh rulati jindagi....
naaa jaane kya kya karwati jindagi...
jindagi mana ki ek hai par ye bhi jaana ki rup anek hai....
pal me sundar aur pal me bhayanak ho jaati jindagi,,,...
kabhi aas(umeed) jagati toh mitati jindagi....
kabhi apno se milati toh bichadwati jindagi.....
kabhi ruk ruk toh kabhi tej chal jaati jindagi......
jeete hai sab log hum anokhe toh nahi.....
kitni bhi ajeeb ya jaisi bhi hai jindagi....
hai toh akhir humari hi jindagi......

jindagi koi khel nahi naa hi hum koi khiladi.....
jindagi koi stage nahi naa hi hum koi sitaare....
jindagi koi novel nai naa hi hum koi lekhak.....
mano toh sab kuch hai naa mano toh kuch bhi nahi jindagi.....
mano toh sab kuch hai naa mano toh kuch bhi nahi jindagi.....

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...