Monday, February 11, 2013

pankhudi ko dekh kar man karta hai tod lu....

pankhudi ko dekh kar man karta hai tod lu.... 
khil jaane tak ruk kyu nahi sakta hai ye man.... !!
yellow signal mein hi chalne ko utaaru tu hai.....
hare tak ruk kyu nahi jaata, itna hero mat ban.... !!

mana chanchal hai tu...aur man hota hai bawara...
par itna bechain to tu naa ban!!!!!
waqt se pahle kuch naa ho sakega..... 
isliye hadbada mat tu... isliye chatpata mat tu.....
par ye soch kar aisa nahi ki koshish bhi naa kare ab tu gentlemen!!!

mukhaute ke piche.... chehra to chipa logey.!!!

mukhaute ke piche.... chehra to chipa logey.!!!
aakein agar kuch bayan kar de bhi to kya hoga..... 
chup rahkar maana man ki baatein man mein hi daba logey...!!
par jubaan khulti nahi ho to kya hoga....
akhir man ki baateoin ko man se kaha bhaga dogey....!!!
dusro ko ullooo banao to thik hai... lekin khud ko hi bewkoof bana liye to kya hoga.....

har baar kuch kehna sayad jaruri nahi hota...

har baar kuch kehna sayad jaruri nahi hota...
kai baar chup rahne mein bhi bhaalayi hai... 
lekin baat man mein aa jaye to chupaaye kyu... 
najro se bhi kah do to usme bhi bhalayi hai... 
sabdo ka matlab to koi kuch bhi samajh le... 
jo agar naa samjhe nasamajh to usme hi bhalaayi hai... !!!

piche beete waqt ko mud ke naa dekh...

some log kahte hai.... piche beete waqt ko mud ke naa dekh... 
taaki koi baat ka pachtawa naa ho.... 
kuch log kahte hai.... aagey aaney wale pal ko naa dekh.... 
kyunki sapne tut jaane kaa gam naa ho.... 

aaj hi aaj hai aur kal kuch bhi nahi... 
toh past and future tense ka sense bhi nahi... !!!!

aaney wale pal and jaane waale pal ke bina... 
sayad aaj ka existence kuch bhi nahi... !!!!

sitaare ki chamak din mein mat dhundo mere dost!!

sitaare ki chamak din mein mat dhundo mere dost!!
din mein to chaand bhi chamakne se ghabraata hai.... 
ankhen faad faad kar kitni dur bhi dekh lo.....
ghane kohre ke mein jyada dur najar thode naa aata hai... 

karna kyu hai tumhe jo tumhe ache se karne nahi aata hai... 
sab ek jaise nahi hotey ye samajh mein kyu nahi aaataa hai... 
apni akal wahi lagao... jaha ki uski ahmiyat samajh mein aata hai...
kitna bhi kahlo kisiko ,karte hai wahi jo unke man mein aata hai... !!!

(ud jaao tum apni naav leke disha ki parwaah naa karke.... manjil aise bhi kisi ek disha yaa raahi ki mohtaaj nahi hoti... !!!koshish karte raho... karte raho suna hai kyunki himmat (koshish) karne waalo ki kabhi haar nahi hoti.... !!!!

jindagi apne rang naa jaane kitne baar badalti hai....

jindagi apne rang naa jaane kitne baar badalti hai....
badi baat hai ki hum bhi uske saath karwate badalte hai... !!
chaahe yaa bin chaahe hi sahi uske saath chalte hai... 
kuch haasil ho naa ho... koshish karte rahte hai!!!!

aaj ka kaaam kal pe daal ke maine ye halat banayi hai...

aaj ka kaaam kal pe daal ke maine ye halat banayi hai... 
ek taraf kuaa to dusri taraf khaayi hai.... 
lutne chale the bahut waah waah.... lekin ab khud lutne ki naubat aayi hai..
aaj ka kaam kal pe taal ke humne ye haalat banayi hai... 

(time is a chariot with no reverse gears, naa ye baat kal samjhe the, naa aaj samjhe hai... pata nahi kab samjh paayenge!!!))

uche niche rasto pe aksar thokar lag jaati hai....

uche niche rasto pe aksar thokar lag jaati hai....
sambhal kar chalna hota hai par kai baar paer fisal jaati hai... 
pechido mor ko yaad rakhna hota hai.... 
par jyadatar chalte chalte naa jaane kyu mod bhul jaatey hai.... 
manjil hoti hai kahi aur parantu ham kahi aur pahuch jaatey hai...!!

waise bhi ...
zindagi koi exam thode naa hai ki koi pass aur koi fail kehlaate hai... 
jindagi koi race bhi nahi ki koi haar aur koi jeet ke aatey...
jaise jee lo waisi hi zindagi... jaisi bhi hai sabki apni zindagi!!!!!!!

sapne bunte bunte bade ho gaye...

sapne bunte bunte bade ho gaye...
waqt kewal naa badla unke saath sapne bhi kuch badal gaye..
kuch to pal mein pure huye.... kuch aankhoien me hi kho gaye....
kuch to naa jaane man ke kis kone mein jaake chip ke so gaye.....
sapne bunte bunte bade ho gaye!!!
sanjoye the kuch khwab par badte waqt ke saath wo bhi bade ho gaye!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...