Monday, April 04, 2011

Log aksar puchte hai -- humari pehchaan kya hai

Aksar log kahte hai hum kaun hai.....
humari pehchaan banane wali humari maa hai.....
humey ungli pakkad kar chalna sikhane wali humari maa hai....
humey apne haathoein se khilane wali humari maa hai.....
humari nautanki ko khel samajhkar humey sir pe chadanewali humari maa hai.....
humari likhayi me unka pyaar jhalakta hai....
galtia hum lakh kar le lekin unka pyaar jhalakta hai....
khud bhale chup ke kitna bhi role par humey rota dekhkar unka jee pighalta hai....

log aksar puchte hai humari pehchaan kya hai....
main toh yeh samajhta hun ki hamari pehchaan kya....
haumari sabse badi aan.... sabse bada maan ....
aur toh aur humara sabse pyara bhagwaan hamari maa hai.......

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...