kabhi toh asaan sa kat jaata hai safar....
kabhi har pal jeena ho jaata durbhar.......
kabhi hasati toh rulati jindagi....
naaa jaane kya kya karwati jindagi...
jindagi mana ki ek hai par ye bhi jaana ki rup anek hai....
pal me sundar aur pal me bhayanak ho jaati jindagi,,,...
kabhi aas(umeed) jagati toh mitati jindagi....
kabhi apno se milati toh bichadwati jindagi.....
kabhi ruk ruk toh kabhi tej chal jaati jindagi......
jeete hai sab log hum anokhe toh nahi.....
kitni bhi ajeeb ya jaisi bhi hai jindagi....
hai toh akhir humari hi jindagi......
jindagi koi khel nahi naa hi hum koi khiladi.....
jindagi koi stage nahi naa hi hum koi sitaare....
jindagi koi novel nai naa hi hum koi lekhak.....
mano toh sab kuch hai naa mano toh kuch bhi nahi jindagi.....
mano toh sab kuch hai naa mano toh kuch bhi nahi jindagi.....
2 comments:
kaya bat hai bahut touchy kavitaye likhe hai. I like " Mano to Sab Kuch hai naa mano to kuch bhi nahi jindagi"
ram:thanks a lot for your time and comments...i am privileged to get your feedback....
Post a Comment