Tuesday, September 25, 2012

Kahte hai jiski kismat mein jo likha hota hai wo milke rehta hai...

Kahte hai jiski kismat mein jo likha hota hai wo milke rehta hai...
phir apne haq ke liye itna ladna kyu padta hai....
phir bhi dusre ka samaan maar ke koi kyu baith jaaata hai...
phir bhi dusre ke kandhe pe rakhke koi goli kyu chalata hai...

kyu sach itna takatwar hoke bhi jooth ke bahkaawe mein akar usme chip jaata hai...
bahar agar usey anaa hi hota hai... to itni der bekaar ki kyu lagata hai...
jab ki ye sab ko pata hai... ki beeta hua samay laut ke thode naa ataa hai...
likha hua sabkuch aur badal kuch naahi pata hai...
phir bhi aaney waale pal ke liye man ghabrakar bechain kyu ho jaata hai...




beete huye baatoein ko jaante hai badal nahi sakte hai..
phir bhi man baar baar machal kyu jataaa hai..
har aaney jaane waale ko apna beeta hua pal.((dukhra) suna ke sahanubhuti kyu uthata hai...
jab ki ghamandi hai ye dunia ye sabko pata hai...

saddda haq hai... issey yo hi kyu nahi milta hai...
apne hi haq ko paaney ke liye itna jatan  kyu uthana padta hai...

Kahte hai jiski kismat mein jo likha hota hai wo milke rehta hai...
phir apne haq ke liye itna ladna kyu padta hai....

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...