Friday, August 10, 2012

maana janamdin saal mein ek baar ata hai...

maana janamdin saal mein ek baar ata hai.... 
lekin khusiya apne saath apaar laata hai....
yaadgaar palo ki bharmaar laata hai... 
bhule bisre dosto ke sms aur phone ata hai... 
maana janamdin saal mein ek baar ata hai... 

raunak chahre pe alag si chaati hai.. 
muskaan maano jaake chipak si jaati hai... 
gift dene waalo ki kataar lag jaati hai...
party mangne waalo ki demand bad jaati hai...
maana janamdin saal me ek baar ata hai...
special hota hai... aur memorable ban jata hai...












jab bhagwaano ke janamdin aatey hai...
tab tyohaaro mein ghar saj jaatey hai...
mohallle roshani se jagmagaate hai...
bache jawaan bude sab maano ram se jaatey hai...
ramnavami aur janmasthtami ke celebrations mein gum se ho jaatey hai...
ghar me tarah tarah ke pakwaan bante hai..
rangoli aur phoolo etc se ghar sajte hai...
bajaaro mein kharidaaro ki bheed si lagti hai..
jab devtaao ke janamdin aatey hai...
to charcha videsho ke bhi khub najar aatey hai...
bhakatjan mandiro mein bhajan gaatey hai...






kuch log to jamkar khatey peete hai and pakwaan ke maje udate hai...
kuch log to upwaas aur vrat kar himmat badate hai...
pandito ke nakhre halke bad jaatey hai...
prasad aur darshan paaney log dur dur se aatey aur jaatey hai...
mathura vrindawan mein to raunak bad jaatey hai...
hare krishna radhe radhe kaano mein har pal sun jaatey hai...

sundar adbhut bhagwan ke jab darshan paatey hai...
maano saare kasht aur dukh har jaatey hai...
prasad ko log bade chaw se khate hai...
bhagwan ke janamdin bade dhum dham se manate hai..
tv pe din bhar bhajan sunaate hai...
mana janamdin saaal mein ek baar atey hai...
par apni chaap... apni yaad naa jaane sadio tak chod jaatey hai.. !!!

(mesmerising effect... charismatic presence... have a happy celebration))::

1 comment:

Anonymous said...

वाह क्या बात कही है आपने 'माना जन्मदिन साल में एक बार आता है' बहुत ही बढिया कविता है

क्या आपको आपके LPG गैस सिलेंडर की Exp. डेट पता है ?

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...