Thursday, August 09, 2012

jara najuk se hai hum kya karey....










jara najuk se hai hum kya karey....

garmi jara si padi nahi trahi trahi karne lagte hai... 
garmi badi nahi ki ac lagwane lagte hai... 
baarish ke liye bhagwaan se dua maaangne lagte hai... 
nycil jaise powder bajaaro mein jam ke bikne lagte hai... 

baarish shuru huwa nahi... 
ki log jukhaam aur sardi se pareshan najar aaney lagte hai...
season change ke naam par malaria aur dengue ke chapet mein aaney lagte hai...
bheengne ki baat to dur hai... thandi hawa se hi ghabraane lagte hai...
jara najuk se hai hum kya karey...

thand aaaney lagti hai...
aur heater and geyser pe dependent lagne lagte hai...
sweater and coat blazer ke bhoj ke niche dabne se lagte hai...
dhup ke intejaar mein najre uthane lagte hai...
soup ke maje udane lagte hai...
icecream se najar churane lagte hai...
jara najuk se hai kya karey...

jab tak kaam nahi rehta tab tak kaam ke liye bhaagte rahte hai...
kaam milte hi samay na milne ka bahana banane lagte hai...
boss ya subordinate jaisa bhi ho usski khamia nikalne lagte hai ...
jara sa chalne pe thak jaane lagte hai...
lift naa chale koi din aur agar stairs se jana pade to bahut jyada chillane lagte hai...
jara najuk se hai kya karey!!!!

(many things to add on which looks as if we have really turned quite najuk but yes at times our courage, strength, excellence, energy is par excellence... )

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...