Thursday, August 09, 2012

bachpan ke dost ke sath ghar ke galiyaaro mein...

bachpan ke dost ke sath ghar ke galiyaaro mein...
hum khub ankh michauli khela karte the.... 
ghanto gappiaya karte the..... 
chat par patang ladaya karte the..... 

jab aaj achanak hi kisi mor par we mil jaaye..... 
tab kitna ajeeb lagta hai jab kahne ko kuch naa rah jaaye.... 
sayad dekhkar kya pata muskuraye.... 
ya andekha kar aagey bad jaaye.....
badal gayi hai paristhi.... badal gaya hai jeevan ka rang....
par lagta nahi ki badle hai wo log aur dosti ka wo sang...
maana beeti sadia aur beet gaya apna bachpan....
par itni bhi kya jaldi thi us pal ko akhir jaane mein...
itni bhi kya mushkil hai us muskaan ko wapas aaney mein...

bachpan ke dost bhale hi umra mein ho gaye bade....
par rah jaayenge yaadoien mein kahi dabe huye...
un yaadoein ko haqiqat mein ana hoga....
humey dil kholkar muskurana hoga.... !!!!
bachpan ki masti ko phir dohraana hoga.... !!!

(dedicated to all my friends whom i have met over a passage of time.. some may not have met, or talked recently or say for years... yet they are very much special and memorable....)));)thanks a lot for being there... !!!!

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...