Sunday, March 10, 2013

payal ki chan chan ki ahat to wo karti hai...

payal ki chan chan ki ahat to wo karti hai... 
par kisi ko pareshani naa ho...iska khayal bhi wo hamesha rakhti hai..
kabhi matakti... kabhi fudakti hai..... 
kabhi shaant bhav se naa jaane kya chintan karti hai... 
man uska chanchal to ho uthta hai.... 
par wyakulta ki bhi wo bemisaal bhi ban jaati hai... 
kabhi to khub khilkhilakar hasti hai... 
kabhi aankhen nam par ghanto roya karti hai...

school mein top akar ashcharya bhi kar deti hai...
scooty pe hokar sawaar beat race mein kar sakti hai....
pooja ke yogya hokar bhi... sabki ijjat karti hai...
man mein nishchaya kar le... to kuch bhi haasil kar sakti hai...

kewal roop mein tum naa behak jaana...
wo khatro se bhi khela karti hai...
choka chulha to karti hi thi...
ab business bhi kar leti hai...
waqt koi bhi aa jaaye... waqt ke hisaab se dhal leti hai...
kitni badaayi karoo.... kyunki badaayi bhi inke saamne kam si lagti hai...

(hats off to all the women out there... thanks a lot for being there.... and a happy women day... !!! aisey to har din unka hi hai... par aaj kuch special hai... ));;
(hum hi hum hai to kya hum hai....and tum hi tum ho to kya tum ho... so unitedly we can do wonders...best wishes.... and thanks a lot again//...)

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...