Sunday, March 10, 2013

chand lamhe naa gujar paatey hai kabhi kabhi...

chand lamhe naa gujar paatey hai kabhi kabhi... 
aur kabhi yuhi arsa gujar jaatey hai... 
samay ki najakat aur ahmiyat....
uske chale jaane ke baad hi samajh kyu atey hai!!!

kabhi to os ki boond ke tapakne se neend khul jaati hai... 
kabhi sher daahaad kar chala jaata hai... aur pata nahi chal pata..
hum jab pal pal mein itna badalte firte hai... 
phir jindagi aur dusro ke badal jaane pe chakit kyu ho jaatey hai..
girgit to baatake rang badalta hai....
par hum to jaane anjaane mein bhi mukhautey lagaye firte hai!!

ek hi jeevan hai... usme hi jindagi ko kitne tarike se jeete hai!!!!!!

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...