Sunday, March 10, 2013

childhood

some people keep talking about childhood crush...
but some i guess even didn't know the meaning of crush then.... 
childhood was being so innocent and fresh.... 
like a glass of milk and lemon and not of soda... 
it was more swift on a bicycle rather than riding high on a skoda.... !!!

payal ki chan chan ki ahat to wo karti hai...

payal ki chan chan ki ahat to wo karti hai... 
par kisi ko pareshani naa ho...iska khayal bhi wo hamesha rakhti hai..
kabhi matakti... kabhi fudakti hai..... 
kabhi shaant bhav se naa jaane kya chintan karti hai... 
man uska chanchal to ho uthta hai.... 
par wyakulta ki bhi wo bemisaal bhi ban jaati hai... 
kabhi to khub khilkhilakar hasti hai... 
kabhi aankhen nam par ghanto roya karti hai...

school mein top akar ashcharya bhi kar deti hai...
scooty pe hokar sawaar beat race mein kar sakti hai....
pooja ke yogya hokar bhi... sabki ijjat karti hai...
man mein nishchaya kar le... to kuch bhi haasil kar sakti hai...

kewal roop mein tum naa behak jaana...
wo khatro se bhi khela karti hai...
choka chulha to karti hi thi...
ab business bhi kar leti hai...
waqt koi bhi aa jaaye... waqt ke hisaab se dhal leti hai...
kitni badaayi karoo.... kyunki badaayi bhi inke saamne kam si lagti hai...

(hats off to all the women out there... thanks a lot for being there.... and a happy women day... !!! aisey to har din unka hi hai... par aaj kuch special hai... ));;
(hum hi hum hai to kya hum hai....and tum hi tum ho to kya tum ho... so unitedly we can do wonders...best wishes.... and thanks a lot again//...)

khud ko khud pe yakeen dilaau....

khud ko khud pe yakeen dilaau....
to dilaau kaise..... 
kai baar samajh naa aaata ki.... 
aankhen ho jab nam... to hasi ko bulaau....
to bulaau kaise.....
bin bataaye hi aa jaatey hai kuch waqt is kadar ke...
ki manjil hai ek dum saamne par samajh naa aaye... 
ki jaau to jaau kaise..... !!!!!!!!

thodi si khushi ...ya bahut saari khushi....

thodi si khushi ...ya bahut saari khushi....
akhir kitni khushi chahiye.........??
khud se hi mil jaaye ...yaa chura ke logey.... 
kaise khushi chahiye..???
daaman mein aakar.... moothi mein dabakar...
rakh logey kab tak us khushi ko........ 
baat to yai ki kab tak khushi tikni chahiye..... !!!

khushi ke rahne pe gam ka saaya naa hoga....
aisa toh naa hoga naaa..... !!
gam ke rahne pe khushi ka pehra naa hoga...
waisa bhi to naa hoga naa.... !!!

jab hai ek hi sikke ke ye do pahlu...
to khushi ko gale laga ke gam ko jhutla dogey....
aisa to hargij hoga naaa!!!!!!!

hichkia maana thodi bahut aati to hai....

hichkia maana thodi bahut aati to hai....
par yaad karne waale kaa naam thode naa batati hai.... !!!
chupke se aakar... naa jaane chupke se kaha gayab si ho jaati hai.... 
hichkia aati to hai...par kya kare.......
bin bataaye chali aati hai... bin bataaye chali jaati hai... 
nakhre dikhana ho agar to .......
paani ke ghut pine ke baad bhi...tik si jaati hai..... 

acha is baat ka lagta hai...
issey pata is baat ka chalta hai...
ki bharshak (bhale hi) aaj busy ho log magar....
sabko yaad to sabki aati hai...
hichkiaa aisey thode naa bin matlab ke aaati hai...
hichkiaa aisey thode naa bin matlab ke aaati hai...

(thanks a lot to all those who keep remembering me, may be not getting time to sms, call, mail, chat, meet or anything)(tarika bhale kuch bhi ho, yaad karne and yaad rakhne ke liye... tahe dil se bahut bahut shukriyaaaa!!!!!!)

chand lamhe naa gujar paatey hai kabhi kabhi...

chand lamhe naa gujar paatey hai kabhi kabhi... 
aur kabhi yuhi arsa gujar jaatey hai... 
samay ki najakat aur ahmiyat....
uske chale jaane ke baad hi samajh kyu atey hai!!!

kabhi to os ki boond ke tapakne se neend khul jaati hai... 
kabhi sher daahaad kar chala jaata hai... aur pata nahi chal pata..
hum jab pal pal mein itna badalte firte hai... 
phir jindagi aur dusro ke badal jaane pe chakit kyu ho jaatey hai..
girgit to baatake rang badalta hai....
par hum to jaane anjaane mein bhi mukhautey lagaye firte hai!!

ek hi jeevan hai... usme hi jindagi ko kitne tarike se jeete hai!!!!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...