Thursday, September 27, 2012



kuch sabd bas uhi (dimaag mein ud chale aatey hai.).. ...::
{{{naa unka koi maksad hota hai naa thikana}}}}
(some lines by me)

sach ko jhutlaana kitna mushkil hota hai.....
jooth ko apnana utna hi asaaan....
dosti nibhana kitna mushkil hota hai....
dushmani badhana kitna asaaan....

paise kamana kitna mushkil hota hai.... 
paisa udana utna hi asaan.....

kisi dusre ko hasana kitna mushkil hota hai....
wahi dusre ko rulana utna hi asaaan....
khud koi chij banana kitna mushkil hota hai...
copy paste karke tapana utna hi asaan....

kisi ke liye kuch kitna mushkil hota hai....
wohi kuch dusre ke liye kitna asaaan....!!!!!!

(same life has different aspects and different meanings to so many different people... its diversity i guess that makes life more interesting and more wonderful and beautiful)))

Tuesday, September 25, 2012

Kahte hai jiski kismat mein jo likha hota hai wo milke rehta hai...

Kahte hai jiski kismat mein jo likha hota hai wo milke rehta hai...
phir apne haq ke liye itna ladna kyu padta hai....
phir bhi dusre ka samaan maar ke koi kyu baith jaaata hai...
phir bhi dusre ke kandhe pe rakhke koi goli kyu chalata hai...

kyu sach itna takatwar hoke bhi jooth ke bahkaawe mein akar usme chip jaata hai...
bahar agar usey anaa hi hota hai... to itni der bekaar ki kyu lagata hai...
jab ki ye sab ko pata hai... ki beeta hua samay laut ke thode naa ataa hai...
likha hua sabkuch aur badal kuch naahi pata hai...
phir bhi aaney waale pal ke liye man ghabrakar bechain kyu ho jaata hai...




beete huye baatoein ko jaante hai badal nahi sakte hai..
phir bhi man baar baar machal kyu jataaa hai..
har aaney jaane waale ko apna beeta hua pal.((dukhra) suna ke sahanubhuti kyu uthata hai...
jab ki ghamandi hai ye dunia ye sabko pata hai...

saddda haq hai... issey yo hi kyu nahi milta hai...
apne hi haq ko paaney ke liye itna jatan  kyu uthana padta hai...

Kahte hai jiski kismat mein jo likha hota hai wo milke rehta hai...
phir apne haq ke liye itna ladna kyu padta hai....

Monday, September 24, 2012

aksar log badi badi baatein kiya karte hai...


aksar log badi badi baatein kiya karte hai... 
jindagi bhar sapno me khayalo ko buna karte hai... 
lambi lambi deenge haka karte hai....
dusre ke kiye kaam ko tuksh bataya karte hai...

par jindagi kewal bade kaamo ke bharose thode naa chalti hai... 

chiti bhi deewaro pe chadne ke liye sau baar phisalti hai... 
par bada kaam naa hi har koi kar paata hai.... 
naa hi karna utna 
asaan hota hai.... 
par sawaal ye hai ki kya bada kaam karna itna jaruri hai...


suna to yahi hai... ki koi bhi kaam chota nahi hota hai... !!
par jo suna hota hai... uska palan karna itna mushkil kyu hota hai???

imtehaan leti rahti hai jindagi...


imtehaan leti rahti hai jindagi... 
kabhi pass to kabhi fail karati hai jindagi...
kisi ko khushi ke ladoo ,...to kisi ka uphaas udati hai jindagi... 
ek naya itihaas banaati aur purana itihaas mitati jindagi......
imtehaan har mor pe leke jeena sikhaati jindagi....!!!!



Saturday, September 15, 2012

tinke tinke bator kar banaati hai ghosla....





tinke tinke bator kar banaati hai ghosla....

pal mein uda deti hai hawa ke jhokha.... 
adbhut hai phir bhi inka hausla....
phir jut jaate hai banane ghosla.... 






patli si daal par... patto ki chaal par...
makhali...surmayi sundar ghosla.... 
adbhut hai phir ki inki lagan aur hausla... 
paani ki bahaar baha deti hai isey...
jal ki bhauchaar bhingaa deti hai isey....





phir bhi chahchahatey hai ji bhar ke ye...
mast khuli taaji hawa mein taer kar aatey hai ye...
phir bhi khub muskuraate hai ye...
madhur geet gaake gum ko bhagaate hai ye...
phar phar karke apne pankh, khuli hawa mein ud jaatey hai ye...









nayano sein chalaate baan hai yee...
nayano ko matkaate praan hai ye...
panchi to panchi hawa ke shaan hai ye....
adhbhut ikshashakti aur dhiraj ki pehchaan hai ye... !!!
maana insaan nahi to kya insaan ko bahut kuch sikha de aisi misaal hai ye !!!!!!!

Wednesday, September 12, 2012

raaste pe chalte to sab hai...lekin manjil ka pata sabko kaha hota hai...

raaste pe chalte to sab hai...lekin manjil ka pata sabko kaha hota hai...
raaste pe rukte to sab hai.... parantu rukna kaha hai sabko kaha pata hota hai... 
dost banate to sab hai... lekin dosti nibhana kaise hai sabko kaha pata hota hai...
rulaate to bahut hai... lekin hasana kaise hai sabko kaha pata hota hai... 
uljhane badate to sab hai... lekin suljhate kaise hai sabko kaha pata hota hai...!!

us os ki boond ki tarah hai khawab mere...


us os ki boond ki tarah hai khawab mere...
subah ki pahli kiran ke aney pe ud jayenge....
chahta hun usey thaam loo muththi mein...
par ret ki dher ki tarah bah jayenge...

jakrooo gaa khwaabo ko agar main, to bas mein kaha rah payenge...
us os ki boond ki tarah hai khwab mere...
naa jaane kab tak ghaas pe pare khuda se manayenge...
suraj ki kirano ke aaney ko, chahkar bhi taal thode naa payenge...
kewal ye kuch pal hai unke paas kahne ko kuch....
warna subah to sab unhe bhool jayenge...
os ki boond ki tarah hai khwaab mere...
apas mein hi wajood ke liye takraayenge...!!!
subah ki pahli kiran ke aney pe ud jayenge....

(thoughts no matter whether big or small will disappear and fade over a passage of time.... at times there is a need to preserve or control them...)

waqt ki kami ki duhaai har log diya karte hai....

waqt ki kami ki duhaai har log diya karte hai....
par us khaami se nikalne ka prayas kaha karte hai.... 
apne shauk ko purana sapna bata picha chuda lete hai... 
aaj ka kaam kal pe, kal ka uske kal pe taala karte hai..... 
dusro ke aagey apne ko waqt ke gulaam bataya karte hai... 
waqt ki kami ki duhaai har log diya karte hai...

par bita hua kal ho yaa aaney wala pal.... 
naaa hi wo kisi ke liye thama hai....
naa hi kisi ke liye rukta hai....
kal naa aya hai kabhi... naaa aaney ke asaar hai...
jo saath naa chala hai ... wo piche rah gaye hai...
apne aalas pe itna kya shuroor ya ghamand kia karte hai....
log apni kamjori ko bhi takat dikhaya karte hai....
naa jaane kyu waqt ki kami ki duhaayi har pal diya karte hai,,...!!
jindagi unki hai ... phir apne hi sapne se kyu khilwaad kiya karte hai!!!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...