Wednesday, August 03, 2011

jindagi ki raftaar......

jindagi ki raftaar itni hai ....
ki sath chale toh thik hai....
warna fasle lambe najar aney lagte hai...
jo sath chalte the kabhi wo koso dur najar aney lagte hai....

humey kya pata hota hai janaa hai kidhar....
bhid ke piche kai baar chale jaate hai idhar udhar.....
jindagi ki raftaar itni hai ....
ki sambhal kar phisal kar phir sambhal jaatey hai.....
bichad kar milkar log phir bichad jaatey hai......

iss raftaar ne humko bahut kuch sikhaya......
man bhale udaas sa ho phir bhi hasna sikhaya.....
bhuk na lagi ho bhale time par khana kha lena sikhaya....
tik tik karti khadi ... ke hisaab par machine ki tarah jina sikhaya......


na ab uda paatey hai patang khuli hawa meeinn hum.....
na hum dekh paatey panchi udte mast gagan mein.....
taaro se to maano tut gaye rishte naate humaree.....
raat ke andhere me maano dhundli ho rahi hai yaadein.....
dimaag par chad gaya hai maano paise ka chaska.....
har koi laga raha hai bephiful jooth ko maska....

phir bhi muskurane ko dil chahta hai.....
phir bhi geet gaane ko dil chhaahta hai....
phir bhi dost banane ko dil chhaahta hai....
phir bhi ghoomne jaane ko dil chhhaahhttaa hai......
phir bhi bindaas bephikar masti se jeene ko dil chaaahhhhhhhhtttttttaaa hai....................

come on ..... we all can do it........ ... we were doing it... we are doing it and we will do it.... enjoy life.... as its the best and least we can do for ourselves and all around us.....

4 comments:

रश्मि प्रभा... said...

रचना बहुत ही अच्छी है... हिंदी में ही लिखिए

nidhi said...

nyc 1

anuj said...

rashmi ji sukriya....

apne meri rachna ko pada and saraha hai.....

koshish rahti hai ki hindi me bhi likhu... sahi kaha hai apne jyada acha lagta hai

anuj said...

thanks nidhi... for ur time and ur comments...

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...