Monday, April 11, 2011

sapne kai dekhe the jo sapne rah gaye.....




sapne.... sapne .... sapne......



hai apne .... apne.... apne.....








sapne kai dekhe the jo sapne rah gaye.....
kya pata kaha kisi kone me chipe rah gaye....
jitne paas lane ki koshish ki humne naa chahte bhi utne dur chale gaye...
humey kya pata tha ki khwab humare apas me hi takrayenge....
humare hi bas ke bahar ho jayenge...
jaisi paristhi(situation) hai kuch toh waise dhal jayenge,,,,
baki humare man me widroh machayenge.....
kuch ko sahara mil jaata hai auro se kuch alag thalag pad jaatey hai...
kuch toh akhiri dum tak ladte hai kuch chupke se gayab ho jaatey hai...
jo bhi kaho,,,, jaise bhi kaho....hai toh akhir khwab humare.....
koshish thi yahi ki ho jaye sab pure khwab humare.......


will end this poem with great lines by Apj Abdul kalam :
dream dream dream because dream transform into thoughts and thoughts convert into actions........

5 comments:

Harsha said...

So true. I have always believed in dreaming and essentially, dreaming big. It is only when you can dream, you can achieve. Nice post. Good luck!

anuj said...

thanks harsha for dropping by and reading my posts... i am privileged to get your comments.keep reading...

रश्मि प्रभा... said...

sapne rah gaye to kya ... sapne neend se adhik sukun dete hain .
is blog per aapki rachnayen kaafi arthpurn hain... hindi mein post kiya karen

Deepika Vasudeva said...

wow... well said..
Sapne apne hain.. poore ho ya na ho.. apne hi rahenge...
u have a great hold on hindi... thats remarkable..

anuj said...

rashmi ji... dhanyawad sapdo ke liye.. utsaah jarur badega...



deepika: thanks for your beautiful comments....

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...