samay ki najakat ko samajh mere man plz mujhse khel na kar....
mana chanchal hai tu maja lene se baaj naa ayega....
pyar se samjhaya lakh tujhe par itni jaldi samajh me thodi hi ayega...
main mana karta rahu kitna bhi par tu wohi karega jo tujhe bhayega...
naraaj hota hun toh mujhe hasa deta hai tu....
vichalit hota hu agar toh himmat bada deta hai tu....
muskurata hu agar toh khilkhila deta hai tu...
mana dimaag se kabhi lad jaata hai tu,,, kabhi jeete woh aur kabhi jeete tu...
itna samajhdaar hokar bhi nadani kyu...
bachpana ke naam par chedkani kyu....
laut ke pal toh tu naa laa payega....
beet jaane par bekaar ka pachtayega...
samay ki ahmiyat ko najarandaj naa kar...
mere jeewan se khilwad na kar....
man mera hai kisi aur ka nahi...
har baar na sahi kabhi toh mera sun...
tujhse ruthkar main kaha jayunga ...laut ke toh akhir yahi ayunga...
Time is a chariot with no reverse gears.. but as lord krishna has rightly said man bahut chanchal hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Ek Shaam
Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du.. ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du.. ya rok kar toku usey aur behla dun.. Kya shaam ko...
-
it all happened in 2004 when i landed up in a place called poddar chhatra niwas ... a name which will become so much a part of my history...
-
samay ki najakat ko samajh mere man plz mujhse khel na kar.... mana chanchal hai tu maja lene se baaj naa ayega.... pyar se samjhaya lakh tu...
-
tinke tinke bator kar banaati hai ghosla.... pal mein uda deti hai hawa ke jhokha.... adbhut hai phir bhi inka hausla...
6 comments:
I had to translate it, but but i have read is really good!
Beautiful poem :)
lovely poem.....very opt for my naughty heart too...yeh to pagla hai..samjhane se bhi samjhe naa
thanks mia for your approach and sincere attitude...
simran thanks to you for reading and praising....
hema:thanks for your precious times and comments....
rightly said... :)
man chanchal hai aur ispe kaabu karna hi safalta ka raz hai
theres this saying..
Man jeete jag jeet.. jisne man ko jeet liya usne jag to jeet liya..
nice one.
thanks deepika... nice observation... and wonderful comments...
Post a Comment