Monday, April 04, 2011

maa- kahne ko bahut kuch...mere paas alphaaz kam hai

Maa...
kahne ko bahut kuchh... likhne ko bahut kuchh...
par sayad mere paas alphaj nahi...
maa ne mujhe apne jeevan me kabhi naa nahi kiya....
phir bhi main mana karne se kyu nahi katrata....
choti si asha ho ya badi abhilasha,,,,,
pura apni maa ki kyu nahi kar pata.....
lad jaati hai jo auro se toh dur khud apne aap se,,,,,
jo maa meri khatir, us maa ka beta acha kyu main ban nahi pata.......


Purani tasweero ko dekh mera bachpan yaad karti woh....
mere baare me har pal sochti aur kahti woh....
nigrani rakhti woh mere har karya par....
usne kya kya nahi sikhlaya mujh nalayak ko....
usne kya nahi samjhaya mujh ko...
unki taleem se hi toh ban paya kabil main...
mujhe jeena sikhaya woh hi kya kam hai....
kitni tareeph karu main maaa ki....
itna kuch paane pe bhi kyu rota hun main.....
kyu kabhi jooth bolta hun main....
mere chahre se samajh jaati hai hai jo....
mere kahne se pahle samajh jaati hai woh....
apni maata ke baare me aur kya kahooo...
jinke daant me bhi hai gehra pyaar chupa....
jinke khane me har swaad mila...
meri khusi se bada sayad unke liye aur kuch nahi...
mere dukh se bada unka koi gam nahi....
meri har bhul ko jo kar deti hai najar andaaj....
us maa ko zara sa bhi tang karne se pahle,,,,
mera man kyu nahi khabrata.......
kahne ko bahut kuch hai ...
mere paas alphaaz kam hai.......

4 comments:

parul said...

Superb !!

Unknown said...

hey anuj, its a gr8 1....i must say u r a gr8 writer..kp it up dude.!!!!

anuj said...

thanks parul for appreciation i am privileged...

suman thanks for reading my thoughts and poems...thanks for the praise too..

Anonymous said...

amazing..

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...