Thursday, March 12, 2015

najaria


najaria...sochne kaa...
badalte pal ke saath har baar badal jaaye...
aisa jaruri to nahi hai...



najariya...
waqt ke alam ke saath ek saa nahi rehta....
sayad badal jaata hai...



                                                                                 
bahane bhale koi ho yaa naa ho......


umar ke lihaaj se ....
ya paise ke hisaab se...
mood ke mijaaj se....
jeevan ke badalte parivesh ke hisaab se...
awaaj ke badalte tewar ke mijaaj se....
mausam mein aate huye badlaav se...
man se chalte huye anginat bhaav se.....
najaria sayad...
badal jaata hai....





najaria....
kahne kaa ho ya sunne kaa...
likhne kaa ho yaa padne kaa....
gaane kaa ho yaa gungunane kaa...
baat bataane kaa ho yaa chupaane kaaa....
ladne kaa ho yaa saath nibhaane kaa...
chalne kaa ho yaa dur tak jaane kaa...
aadmi bhale hi ek kyu naa ho..
najaria sayad badal jaata hai....

najaria bhale badale naa badle....
lekin is khel michauni mein waqt aur admi ke jeene ka andaaj jarur badal jaaata hai...!

( thought process is never constant and it keeps on moving, transforming, the principles may be same, the foundations may be same, style do change.
when we sit in auto - bus looks wrong, when we sit in bus - auto looks wrong, when we sit in car - bikes look wrong... same people so many perceptions..)

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...