Monday, April 08, 2013

kuch alag karne ki chah hai tujhme....

kuch alag karne ki chah hai tujhme.... 
to akhir itna darta kyu hai..... 
har pag maane sambhal ke rakhna hai...
par tera man itna machalta kyu hai... 

abhi to shuruaat hai.... 
pag dagmaaate bhi hai agar.... 
to tu sambhal jaayega.... 
ye samajhta kyu nahi hai...

kathinaayi lagti hai maana jindagi mein tujhe...
par ye to bata wo kiske jeevan mein nahi hai.... !!!!

man mein agar viswaas hai.... to badh jaa manjil ki or....!!!
kyunki tu is jag kaa hai.... aur ye jag bhi tera hai....
kisi aur kaa nahi hai..... !!!!!

(before believing in anything else.... one needs to believe in himself))(kyunki self confidence udhaar mein nahi milti.... naa hi market mein bikti hai!!!)

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...