Sunday, April 21, 2013

kuch na sulzhe puhluo pe jyada gaur mat kar tu...

kuch na sulzhe puhluo pe jyada gaur mat kar tu...
kyunki aur ulaz jaayega tu..

lekin sochne waali baat hai ki.... 
aaj ka kaam kal pe... kal ka parso pe kitna latkaayega tu.... 
kitna bhi bhaag le...bach ke kaha bhaag payega....!!!

bin puche raaste mein naa chal tu...
raasta bhatak jaayega tu....

daaraaye bhale saaara jamana har pal agar tujhe....
darpok thode naa hai ki har baat pe dar jaayega tu......!!!

(sun sabki... kar apni.... )

expression!!

expression!!

a few words of encouragement ... 
means a lot at times... 
simple words will do.. 
its not compulsory for flowery language... 
even a smile no matter how hidden can create a flutter...
one dont expect a standing ovation every time... 
but a pat on the back ... 
can do wonders at times...

bas uhi

bas yuhi...kuch jahan mein aya ...kah dia...

bas uhi...
itefaaq ki baat hai...
ki hona kuch hota hai... hota kuch aur hai... 
kehna kuch chahte hai... aur samajhta kuch aur hai...
sapno ki dunia maana khubsurat ho sakti hai... 
par kuch bhi kah lo haqiqat ki baat hi kuch aur hoti hai.... !!!

badal ko nahi pata hota hai ki kaha barasna hai...

badal ko nahi pata hota hai ki kaha barasna hai... 
sayad is liye kabhi baad and kahi sukha pad jaaata hai...
taaro ko nahi pata hota hai ki kaha chamakna hai...
tabhi to kahi khub ujala kabhi ganghor andhera chaa jaata hai... !!

different yet connected:
bin patey ke chitti bhi sandesh pahuchaaye to pahuchaaye kaise... 
sochte hai ki bin kaaran kein koi muskuraaye to muskuraaye kaise...!!
kahne aur karne ke fark ko mitaaye to mitaaye kaise.... .
sach pe se jooth ka parda uthaaye to uthaaye kaise.... !!!

walking on the other side...

walking on the other side... 
a path less taken...a path less used too...
a path not much talked about... 
a journey with new twists and turns... 
its fun to swing away from the habit... 
n take a sudden plunge in a new orbit!!
it is a bit crazy ... but life without fun is at times hazy...
its good to change for a while... 
and walk a mile with a smile on the other side.....!!!

(grass on the other side looks greener... and its no harm to check the same and also to see how our side grass looks from other side... !!))

jindagi ke pahluo ko aakhir koi kitna tatole....

jindagi ke pahluo ko aakhir koi kitna tatole....
sone ke sikke bhi utna hi khanakte hai... jitna taambe ke...

sitaare to maana bahut chamakte hai asmaan mein... 
par dhara pe...roshan to jugnoo aur baati bhi khub kiya karte hai........

sochoge tum kitna aaney waaale palo ke baarein mein...
yaha to pal pal mein sadia badal jaaya karte hai....

man kaisa bhi vichalit saa hi kyu naa ho...
muskura kar sab gam ko bhagaya karte hai...

hasne ki wajah nahi dhundaa karte hai log....
yaha to hasne ki wajah banaya karte hai....!!!

tu dar mat...

tu dar mat...
kyunki dar ke aagey jeet hai...
kyunki jeevan ka yahi reet hai...
ki haar gaya to kya haar ke baad bhi jeet hai...

tu dar mat... 
kyunki kahte hai ya yu kahlo ...
somebody says jo dar gaya so mar gaya ...
to add on someone seconded darna mana hai...

tu dar mat ...
bhale koi kitna kahe ki darna jaruri hai...
bhale teri kitni bhi majboori hai...
tu dar mat ....

tu dar mat
kyunki ab dur gaao mein koi gabbar nahi..
rahte hai bahut giddar bhale...
par tu bhi to koi kam bada sher nahi...
tu dar mat...

tu dar mat...
raat thodi badi hai to kya hua...
andhere ki bhi apni majboori hai to kya hua...
sunshaan pad rahi sadke hai to kya hua...
tu dar mat...

bhale tere paas pine ko dew naa ho...
phir bhi tu dar mat...
bhale log kahe ki tere sir mein screw naa ho...
tab bhi tu dar mat...

rakh hausla buland...
kuch bhi ho jaaye ...
manjil bhale do pal ke liye aakhoien se ojhal ho jaaye...
bhale kuch pal ke liye tu raasta bhul jaaye...
magar tu dar mat...

hey please comeon ... tujhpe hai itna bharosa sabko aur tujhko bhi..
dar mat... dar mat ... dar mat!!!!!

kaha rahte ho yu gumsum gumsum...

kaha rahte ho yu gumsum gumsum...
kabhi to aakey najre milaya karo....
jyada nai to thoda bahut hi sahi....
kabhi naa kabhi to muskuraya karo....!!!!

itra ke chalna alag baat hai...
par kele ke chilke pe tum pisal naa jaya karo!!
kaha rahte ho yu gumsum gumsum...
kabhi to milne aaaya karo!!!!!!

(some extra lines:::
dost bahut kahte ho apne aap ko agar,...
to kabhi to dost ki khabar lene aaya karo!!
dosti ka parcham kabhi to khul ke lehraya karo!!!!)

Monday, April 08, 2013

ye sukoon itni asaani se milta nahi kahi pe...

ye sukoon itni asaani se milta nahi kahi pe...
man chanchal hai itna ki tikta nahi kahi pe... 
ye mausam bhi badalte chalte hai pal pal yaha pe...
naa jaane ye rasta aaya hai kaha se n jaayega kaha pe.... 
kab tak chalega yu aankhen moond ke yaha pe.... 

lagta hai jaisa hota hargij nahi yaha pe... 
man chanchal hai itna ki tikta nahi kahi pe...!!!

khayaali pulaao kab tak baanaate rahogey...

khayaali pulaao kab tak baanaate rahogey...
kuch to hakikat mein kar ke bhi dikhaao... 
yu ghunghuraale sapne kab tak bunogey... 
sapno ko haqiqat mein badal ke to dikhao... 

naa jaane kaha hai manjil tumhari....
koshish to tabiyat se karke dikhao... 
bahane bahut bana liye ab tak tum... 
kam se kam ab to jooth ka parda sach se hatao... !!!

manjil dur huyi to kya...
kuch dur akhir tum chal ke to jaao... !!!
kab tak jiyogey yu saaye mein apne...
kabhi to asli roshani mein diya jalaao.... !!!!

ek hasi...

ek hasi... 
kaaran koi bhi ho...
kaaran bhale ho naa ho...

ek hasi...
naa jaane kya jaadu kar jaati hai... 
chahre ki raunak ek dum se bad jaati hai...
mushkil ghadi mein bhi himmat badha jaati hai... !!

to kyu naa haste haste hi jiye hum...
yu rone mein akhir bhala kya rakha hai...
gulaami to bahut kar li udasi ki sabne...
hasne ka maja bhi kaha liya hai sabne.. !!!

ek hasi!!!thodi si khushi...!!

i agree , life is a crazy...

i agree , life is a crazy... 
its crazy to smile without a reason.. 
its crazy even to get wet in a rain without season.... 
its crazy to not run after money every time... 
and getting lost in lots of thoughts around ready to shine ...
i agree life is just a bit crazy... 

crazy to stop for a while... 
and pass a shy smile to a strange passerby ...
to make faces.... to paint a few faces...
its crazy ...
no harm in being crazy ....
as life at times makes you very lazy...
when goals are not clear ....your visibility becomes hazy ....
i agree life is a little crazy....

getting up late is ok for some time...
bunking school, college and office are traits of someone who will shine....
going against is not that rebellious attitude....
so lets live up to ourself.... not just to show off to others !!!
there is no difinite path to progress!!,
its not a strict law or a devoted discipline....
life at times gets crazy and mean!!!!

badal ko ghirte dekha nahi.. ki man baarish ki aas laga baithta hai...

badal ko ghirte dekha nahi.. ki man baarish ki aas laga baithta hai...
thode se ishaare ko bhi sach maan kar jeene lagta hai... 

par kai baar baghwaan chilla chilla ke batate hai... ishaare dikhaate hai... 
par humey kuch bhi palle nai padta hai.... 

os ki boond bhi patte par baith kar itna itraati hai... 
suraj ki kirano ko chaankar aur sunhara banati hai... 

par badalte waqt ke saath agle hi pal....
patte se girkar naa jaane kyu chumantar ho jaati hai...!!!

when our khushi is on the way... or not in the sight...

when our khushi is on the way... or not in the sight... 
dusre ki khushi se hi khush ho lene mein kya harz hai...

paise jeb mein agar naa ho...??
to ye naa soch lena ki chori karne mein kya harz hai....

baatien bahut kahne ko ho... and koi sunne waala naa ho!!
to khud se hi kah lene mein kya harz hai.... !!!

jindagi mein manaa sab kuch naa ho....
par jitna kuch hai mila hua.. usme hi mast jeene mein kya harz hai!

kuch alag karne ki chah hai tujhme....

kuch alag karne ki chah hai tujhme.... 
to akhir itna darta kyu hai..... 
har pag maane sambhal ke rakhna hai...
par tera man itna machalta kyu hai... 

abhi to shuruaat hai.... 
pag dagmaaate bhi hai agar.... 
to tu sambhal jaayega.... 
ye samajhta kyu nahi hai...

kathinaayi lagti hai maana jindagi mein tujhe...
par ye to bata wo kiske jeevan mein nahi hai.... !!!!

man mein agar viswaas hai.... to badh jaa manjil ki or....!!!
kyunki tu is jag kaa hai.... aur ye jag bhi tera hai....
kisi aur kaa nahi hai..... !!!!!

(before believing in anything else.... one needs to believe in himself))(kyunki self confidence udhaar mein nahi milti.... naa hi market mein bikti hai!!!)

rang se bach ke kaha jaaogey

rang se bach ke kaha jaayoge./...
log mujhe kahte hai... 
(bachpan mein laut ke thode naa pahuch jaayogey)

pahle dar saa lagta tha... kahi rang aankh mein naa chal jaaye..
kahi rang hatane mein sadiyo naa lag jaaye.... 
kahi tasveer kichne pe daant kaali pili hari naa aaye... 

par ye sab to kewal bahaaane hai n the....
rang to apne dost hai... and rahenge ...
rang mana karogey to aur range jaogey...!!!
akhir bach ke kaha jayogey!!!

(holi hai holi....bhar lo apni khusiyo ki jholi...!!!)(a very happy and colorful holi)

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...