Wednesday, January 02, 2013

ek shaaanj....

ek shaaanj.... 
raat maano dastak de rahi thi.... 
aur suraj apni bikhri kirane samet rahi thi...
hawa mand mand haule haule bah rahi thi... 
panchi ghar lautte huye chahchaha rahi thi...
gaadia sarak par sarpat bhaag rahi thi.... 
sab ko maano ghar jaane ki jaldi thi... 

chaat pakode ke thele najar aaney lagti thi...
gupchup khane waalo ki kya bheed lagti thi...
kuch log basta utha kar jaane lagte the...

par kuch log ko raat tak dera jamana tha....
daftar mein late hoga aur kaphi waqt bitana tha....
unhe shaanjh ke dhalne aur raat ke chalne ka intejaar tha...
pet mein kud rahe the chuhe aur khane ko bekraar tha....!!!
waqt ka aalam badh chala tha....
man bhi din bhar kaam se thak chala tha....

sune hai kai baar:
mehnat kiye bina safalta haath nahi lagti...
kuch kiye bina jayjaikaar nahi hoti.....


(the efforts will pay off very soon... dedicated to all especially to those late comers...)

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...