Saturday, August 25, 2012

aksar dekhta hun.. log sawaal bade puchte hai...

aksar dekhta hun.. log sawaal bade puchte hai... 
par kya we khud jawaab dene ko tayaar hai... 
log unglia khub uthate hai.... galtia pakad ke baith jaate hai...
par kya wo khud galtia nahi karte... 
ya unhe maaf karna nahi aaata ... ya wo maaf kar nahi paatey.. 
aksar dekhta hun... log sawaal bade puchte hai... 
har kisi ko shaq ke najar se dekhte hai... 
magar har koi chor nahi hota....

sawaal pucho magar bekaar ke nahi...
sawaal pucho magar pyaar se sahi...
aksar dekhta hun /... log bawaal karte hai...
choti moti baatoein ko bhi til kaa taar karte hai...
arey waqt yu hi kimati hai.. phir naa jaane kyu barbaad karte hai...
aksar dekhta hun /... log sawaal bade puchte hai....

acha lagega agar jawaab bhi koi dene wala ho...
himmat tut gayi agar to sahara dene wala ho... !!!!
dushman to bahut milenge aur milte hai...
acha lagega koi dost kahne aur nibhane wala ho.... !!!!

har pal mein imtehaan leti hai jindagi...

har pal mein imtehaan leti hai jindagi... 
har mor par karwate badalti hai jindagi... 
kabhi hasaati to kabhi rulaati jindagi.... 
naa jaane kya kya karwaati jindagi... 
kabhi apni to kabhi parayi ban jaati jindagi.... !!!

Monday, August 20, 2012

the beauty of holidays is that its rare!!!

holidays!!!!

DO we all know that the beauty of holidays is rare!!
no one can challenge it nor can dare !!!
we all are very much aware .....
that nothing is as beautiful as few words of care!!
Nothing is more wonderful than a few moments of spare,.... 
DO we all know that the beauty of holidays is rare... 

time is always less to our despair, 
a lot of damage is done at times to carry out repair.....
confusion at times arises as to go out where....
here or there or at times no where ....
some people are biased and are unfair....
some people are helpful and they do share,,... 
the beauty is not just being fair....
its how much we love and care....
we need to move along with our pear ...
no use of unwanted and useless compare ....
its in the belief and you can get peace in prayer....

rumour of cancellation is also there...
a few kids are also going so are eclairs.... 
what to do if we have less number of chairs.... 
the girls are also there but why to stare...
holidays are no doubt rare!!!....

there is no harm in doing some welfare ....
emotions are precious dont shed your tear....
Do we all know that holidays are rare...
so lets spend the same with lot of care... !!!!


naa jaane sab apni kamjori ko kyu itna chipaate hai...

naa jaane sab apni kamjori ko kyu itna chipaate hai... 
phir bhi aksar chipa nahi paaate...
aur apni achaaiyo ko bad chad kar dikhate hai... 
phir bhi dusro ko bewkoof nahi bana paatey....
naa jaane sab jhooth bakwaas karte jaate hai.... 
phir bhi sach se bhaag nahi paate.... 
khamia kisme nahi hoti .... phir kyu itna sharmaate hai... 
harkat aisi kyu karte hai... ki khud ke hi najro mein gir jaate hai.....
thodi si majboori ke aaagey ghutne tek kar.... usey najarandaj kar....
itna bada banate hai... aur usey apni adat banakar gulam ho jaatey hai//...

why to speak something when silence speaks louder than words.....

why to speak something when silence speaks louder than words.....
why to walk alone when you like walking in herds... 
why to fly in sky when you are scare of birds.....
why to poke your nose when people are too busy in themselves...
why to believe in anything when you question everything ....
why to say something when no one likes listening... !!!!
why to speak something when silence speaks louder than words.....

Tuesday, August 14, 2012

desh ki shaan kya hai....



desh ki shaan kya hai....
beeta hua kal... ya aney wala kal.......
desh ka abhimaan kya hai,,,... 
beeta hua kal ... ya aaney wala pal... 

netaji, sardar vallabh, bhagat singh jaise logo pe garv farmaate hai...
par aaj koi ache neta najar kyu nahi aatey hai..... 
kala, sahitya , astha, viswass , sanskriti ko maante hai... 
par aaj videshi sanskriti mein kyu bahakte jaatey hai....

desh ke bhaviswya kya apne desh ko nahi pehcchaante....
ya apni karm se najre aur jii churaate hai...
desh ke naam bas 3 din celebrate kar chain se so jaatey hai...
aur bahut hua to; cricket, olympics jaise khelo mein desh support dikhate hai...

par wo galat honey pe chup kyu rah jaatey hai....
ye desh unka hai aur unka hi rahega ye samajh kyu nahi paatey...
log kal bhi ache the aaj bhi ache hai...
phir sab mil kar issey sunhara rashtra kyu nahi bana paatey!!!!!!

umeed ki kiran har baar najar aati hai....
par wo manjil dur hi rah jaati hai...
asha hai desh phir jagmayega....
aur pragati , unnati ke har pahlu pe jagmagayega... !!!

choti choti baatoien se man tu rooth kyu jaata hai...

choti choti baatoien se man tu rooth kyu jaata hai...
kisi ke halke se bahkaane se tu bahak kyu jaata hai... 
darane ya dhamkaane se tu saham kyu jaata hai...
choti choti baatoien se man tu ruth kyu jaata hai...

kya tera bas nahi chalta... ya tu nalayak lachaar hai... 
jo hawa ke jhoko ke aagey dikhta kamjor hai....
bina matlab ke tu kyu ghabraata hai.... 

iss mitti ka tu sher hai... phir darta kis baat ki...
rakh himmat hausla aur khayal tu apne aap ki...

har pal bahut hi khas hai... mana bahut kuch bakwaas hai...

(many things are told to us... we should ignore all those rubbish stupid things... otherwise they at times eat our head and disturb our peace and mind... enjoy the life... no matter what may come and go.. )

Friday, August 10, 2012

maana janamdin saal mein ek baar ata hai...

maana janamdin saal mein ek baar ata hai.... 
lekin khusiya apne saath apaar laata hai....
yaadgaar palo ki bharmaar laata hai... 
bhule bisre dosto ke sms aur phone ata hai... 
maana janamdin saal mein ek baar ata hai... 

raunak chahre pe alag si chaati hai.. 
muskaan maano jaake chipak si jaati hai... 
gift dene waalo ki kataar lag jaati hai...
party mangne waalo ki demand bad jaati hai...
maana janamdin saal me ek baar ata hai...
special hota hai... aur memorable ban jata hai...












jab bhagwaano ke janamdin aatey hai...
tab tyohaaro mein ghar saj jaatey hai...
mohallle roshani se jagmagaate hai...
bache jawaan bude sab maano ram se jaatey hai...
ramnavami aur janmasthtami ke celebrations mein gum se ho jaatey hai...
ghar me tarah tarah ke pakwaan bante hai..
rangoli aur phoolo etc se ghar sajte hai...
bajaaro mein kharidaaro ki bheed si lagti hai..
jab devtaao ke janamdin aatey hai...
to charcha videsho ke bhi khub najar aatey hai...
bhakatjan mandiro mein bhajan gaatey hai...






kuch log to jamkar khatey peete hai and pakwaan ke maje udate hai...
kuch log to upwaas aur vrat kar himmat badate hai...
pandito ke nakhre halke bad jaatey hai...
prasad aur darshan paaney log dur dur se aatey aur jaatey hai...
mathura vrindawan mein to raunak bad jaatey hai...
hare krishna radhe radhe kaano mein har pal sun jaatey hai...

sundar adbhut bhagwan ke jab darshan paatey hai...
maano saare kasht aur dukh har jaatey hai...
prasad ko log bade chaw se khate hai...
bhagwan ke janamdin bade dhum dham se manate hai..
tv pe din bhar bhajan sunaate hai...
mana janamdin saaal mein ek baar atey hai...
par apni chaap... apni yaad naa jaane sadio tak chod jaatey hai.. !!!

(mesmerising effect... charismatic presence... have a happy celebration))::

Thursday, August 09, 2012

blogadda

<iframe src='http://www.blogadda.com/rate.php?blgid=23427' width='170' height='75' frameborder='0' scrolling='no'></iframe>

blogadda

<a href="http://www.blogadda.com" title="Visit blogadda.com to discover Indian blogs"> <img src="http://www.blogadda.com/images/blogadda.png" width="80" height="15" border="0" alt="Visit blogadda.com to discover Indian blogs" /></a>

jara najuk se hai hum kya karey....










jara najuk se hai hum kya karey....

garmi jara si padi nahi trahi trahi karne lagte hai... 
garmi badi nahi ki ac lagwane lagte hai... 
baarish ke liye bhagwaan se dua maaangne lagte hai... 
nycil jaise powder bajaaro mein jam ke bikne lagte hai... 

baarish shuru huwa nahi... 
ki log jukhaam aur sardi se pareshan najar aaney lagte hai...
season change ke naam par malaria aur dengue ke chapet mein aaney lagte hai...
bheengne ki baat to dur hai... thandi hawa se hi ghabraane lagte hai...
jara najuk se hai hum kya karey...

thand aaaney lagti hai...
aur heater and geyser pe dependent lagne lagte hai...
sweater and coat blazer ke bhoj ke niche dabne se lagte hai...
dhup ke intejaar mein najre uthane lagte hai...
soup ke maje udane lagte hai...
icecream se najar churane lagte hai...
jara najuk se hai kya karey...

jab tak kaam nahi rehta tab tak kaam ke liye bhaagte rahte hai...
kaam milte hi samay na milne ka bahana banane lagte hai...
boss ya subordinate jaisa bhi ho usski khamia nikalne lagte hai ...
jara sa chalne pe thak jaane lagte hai...
lift naa chale koi din aur agar stairs se jana pade to bahut jyada chillane lagte hai...
jara najuk se hai kya karey!!!!

(many things to add on which looks as if we have really turned quite najuk but yes at times our courage, strength, excellence, energy is par excellence... )

bhuli bisri yaadoien mein....

bhuli bisri yaadoien mein.... 
khalayoin mein aur khwabo mein....
yaad nahi ata hai kal ka head ko kitna bhi ghujlaane mein... 
dhund raha hai har koi apni manjil ko paane mein...
utha raha hai wo parda jooth ka sach ko paane mein...
wo junoon hai kuch kar dikhane mein /.....
wo jajba hai kuch paane mein.... 
sapno ko haqiqat kar dikhane mein.... !!!

haar gaye kuch baar to kya hai...
alag hi maja hai haari baaji ko jeet kar paane mein.... !!!!

(with passing time memories do get depleted faster than depreciable asset... still some thoughts do hang on or hide in somewhere and we still need to carry on with focus and dedication...)

sapne bunte bunte

likhne mein kya harz hai...

sapne bunte bunte haqiqat se najre kya hati....
maano sach jooth ke bhoj tale dabi..... 
faeil raha sab taraf maano andhviswas ka jaala....
boss ko laga rahe hai sab befisul ka maska... 

ho raha har taraf krodh aur ahankaar.... 
jaise chaya ho har taraf gehra andhkaar.....

roshani ki abhilasha bi koi kyu karta nahi...
ek nayi koshish bhi koi kyu nahi karta....
ek nayi umeed jarur jald ayegi......
aaj nahi to kal sunhara kal dikhayegi....

sapne bune huye haqiqat ban payegi....
har chahre pe muskaan laut ayegi.... !!!

jaadu ki ek jhappi...



jaadu ki ek jhappi...
na jaane kitne utsaah bada deti hai... 
jaadu ki ek jhappi ...
naa jaaane saari thakan mita deti hai... 
jaadu ki ek jhappi... 
udaas chahre pe bhi hasi laa deti hai... 
jaadu ki ek jhappi.... !!!!

(every person has some source of inspiration, motivation...encouragement; support from friends, family etc etc help in increasing the confidence and take us to great heights.... )

shaam kabka dhal chuka hai....

some lines by me on a sunday night::

shaam kabka dhal chuka hai....
raat bhi ab dhalne ko hai...
armaan par ajke pure nahi huye.....
jab ki kal kuch pal mein aney ko hai... !!
maana subah honey ko hai... 
samay kisi ke bas mein kaha honey ko hai!!!

zindagi ke kuch bikhre pahluo ko samet le....

zindagi ke kuch bikhre pahluo ko samet le....
jaldi kya hai khud apne aap ko pehchaan le.... 
aagey badne ya piche mudne se pahle apni jarurato ko jaan le....!!

apne apne hai.... sapne sapne hai... !!
haqiqat aur jooth ke faasle apne hai...!!!

baarish ko dur se kya dekhte ho

some lines by me... dedicated to 1st sweet rains in bangalore... 

baarish ko dur se kya dekhte ho
jara bheeng ke dekho baarish kya hoti hai... 
some lines by me... dedicated to 1st sweet rains in bangalore... 

baarish ko dur se kya dekhte ho
jara bheeng ke dekho baarish kya hoti hai...  

baarish to mausam hai usme kho jaane kaa.. 
chaai pakaude ke saath maje udane ka... 
thodi si dur saer par jaane kaa.. 
bheeng gaye agar to nahi ghabraane kaa.. 
baarish kaa mausam hai usme kho jaane kaa... 

tip tip karti girti hai...tap tap karti girti hai...
paani ki dhar si ban idhar udhar fisalti hai
galiyaaro , deewaro... makano se fisal kar naalo se wah bahti hai...
per ke patto se chan kar dharti par girti hai...

megh gur gur awaaj kiya karte hai...
bijli cham cham chamka karti hai...
panchi ghar jaldi jaane lagte hai...
per mein nayi hariyaali aaney lagte hai...
garmi se aaraam milne lagta hai...
baarish kewal yuhi akele nahi aati...
kewal kisi ek pe barash ke nahi jaati....

baarish ko dur se kitna dekhoge...
naaw banakar to dekho...
paani ki dhar mein naaw chalakar to dekho..
uske josh ko dekho... uske hosh ko dekho...
baarish ko dur se kya dekhte ho
jara bheeng ke dekho baarish kya hoti hai...

(nature is itself beautiful and rains add and magnifies to the beauty as if cleansifying the environ and removing the adultrant.. the fresh feel of the air and soil, with a cool breeze to add on... rain is quite overwhelming at times)

jindagi ke har pahlu ko naap taul ke kitna chalega...

jindagi ke har pahlu ko naap taul ke kitna chalega...
nafe aur nuksaan ka hisaab tu har pal ki kitni rakhega....

har kadam ko rakhne se pahle phuk phuk kar kitna jiyega... 
ye jindagi teri hai issey apne hisaab sey jeena kab sikhega..... !!!

ghabra mat tu....
sharma mat tu... 
jindagi ye teri hai... isey apna bana le tu.... !!!!

(life is not mere business, it may be dependent on money but everything cannot be measured and analised in monetary terms.... calculation, planning, speculation and alll are ok... but at times its good if we let life unfold itself.... ))(sadda haq.... aithe raq... feel confident/..)

log kahte hai...khushiya baatne se badti hai...

log kahte hai... khushiya baatne se badti hai....
par khushi se log jalte hai uska kya???
log khate hai...dukh baatne se kam hota hai....
par dukh pe log haste hai uska kya???

log kahte hai...jamaane se kya chupana...
par pal me najar lag jaaye uska kya???

log kahte hai... kuch to log kahenge logo ka kaam hai kehna...
par apni akal naa lagaye koi to uska kya???

man ke bhav....

man ke bhav....
chahre pe aye ya naa aye...
jubaan pe chaye ya naa chaaye....
likh ke bata paaye ya naa paaye....
ankhoein se jahalak jaaye ya naa jaaye....
lekin man ke bhav padne waale se chup thoda naa paye......!!!!

mukhaute tu bhale lagata chal kitna bhi.... 
sach to sach hi rahega tu jaye bhale hi kahi bhi... !!

(kyunki chupane wala apni kala mein kitna hi nipun kyu na ho.... pehchaane waale se kam hi rahega.... )(expression is an art, so keep expressing and keep understanding others expressions because that also needs lot of efforts......)

tum ko udte dekh kar....

tum ko udte dekh kar ...
dar mujhko lagta hai ye soch kar ....
ki kahi tumhe kisi ki najar naa lagey....
ki kahi uchai se gir naa parey........
ki kahi himmat ki kami naa lagey.... 
ki kahi tumhe chot naa lagey ..... 

par ye naa samjh lena ki... 
tumhare udaan se jalte hai log....
par ye naa soch lena ki ...
tumhare udaan se darte hai log....
kyunki tumko udta dekh kar....
kush ho lete hai log....!!!

dusre ki khusia mein .... bhi ...
khush ho lete hai log....

(sometimes people do take caring as an act of interfering or curbing of ones independence.... but its not that way always... )

udna sab jaante to akhir baat hi kya thi...

udna sab jaante to akhir baat hi kya thi... 
panchio ki phir akhir aukaat hi kya thi.... 
aisa kya kar lia aur gamand ki baat hi kya thi.....
akash par raaj ki raaj hi kya thi..... 
udna sab jaante to akhir baat hi kya thi...

ud paaye sab tab baat kuch aur thi....
muskuraaye sab tab baat kuch aur thi... !!!

chand ki chandni to dekho kya jaadoo kar jaata hai....

chand ki chandni to dekho kya jaadoo kar jaata hai.... 
raat ke andhere mein bhi ujiala failata hai.....
suraj se udhar ki roshani liye aaata hai.... 
badal se ankh michouli karke bhi najar aa jata hai....
chanda mama yuhi sabka mama thode na kehlata hai..... 
saath tumhare dur dur tak hamesha chala ata hai....

badalo ko piche chor ,akash mein chaand nikhar raha ...... 
khubsurat hai shama itna ki palke jhapkaane ka man nahi kar raha....!!!!

(nature sometimes gets so beautiful right from your balcony that you dont need to venture far to enjoy the same... so real...so simple .... yet so captivating....and elegance is awesome....));)(we keep on waiting for a morning with a new hope and new beginnings but sometimes night also has its own beauty)

bachpan ke dost ke sath ghar ke galiyaaro mein...

bachpan ke dost ke sath ghar ke galiyaaro mein...
hum khub ankh michauli khela karte the.... 
ghanto gappiaya karte the..... 
chat par patang ladaya karte the..... 

jab aaj achanak hi kisi mor par we mil jaaye..... 
tab kitna ajeeb lagta hai jab kahne ko kuch naa rah jaaye.... 
sayad dekhkar kya pata muskuraye.... 
ya andekha kar aagey bad jaaye.....
badal gayi hai paristhi.... badal gaya hai jeevan ka rang....
par lagta nahi ki badle hai wo log aur dosti ka wo sang...
maana beeti sadia aur beet gaya apna bachpan....
par itni bhi kya jaldi thi us pal ko akhir jaane mein...
itni bhi kya mushkil hai us muskaan ko wapas aaney mein...

bachpan ke dost bhale hi umra mein ho gaye bade....
par rah jaayenge yaadoien mein kahi dabe huye...
un yaadoein ko haqiqat mein ana hoga....
humey dil kholkar muskurana hoga.... !!!!
bachpan ki masti ko phir dohraana hoga.... !!!

(dedicated to all my friends whom i have met over a passage of time.. some may not have met, or talked recently or say for years... yet they are very much special and memorable....)));)thanks a lot for being there... !!!!

Lekha jokha ki jimmedaari to khub utha rakhi hai....

Lekha jokha ki jimmedaari to khub utha rakhi hai....
galtia kam ho... ho to chup jaaye ...iski setting bitha rakhi hai.... 
has kar kar dete hai kaam bade bade...masle pechide suljha dete hai pal me ye... 
engi, doc, lawyers, etc etc (are great no doubt) ki kya kahe...
lekin ca waalo ne apni pehchaan alag bana rakhi hai.... 
umeedo se ghiri dunia mein ek nayi umeed jaga
 rakhi hai...

(kandho se milte hai kandhe kandho se kadam milte hai... lets hope ca along with others make this place a better place to live in) A very happy CA day...!!!a very long way to go... best wishes to all.....

humey to aur aagey badna hai...
galtia kam ho iska khayal rakhna hai....
kaam ka sahi hisaab rakhna hai....
naam roshan hai... usey aur roshan karna hai... !!!

har mor par galtia lakh kar li

har mor par galtia kar li... 
ab to sudhar jaa ... sambhal jaa... 
ye waqt tera nahi to kya hua... tu waqt ka ban jaa.... 
uth dar mat... piche tu hat mat... 
rakh himmat...housla.... jeet le tu ye jaha...
muskura.... khilkhila.... jeele jindagi tu yaha... 





(inspiration...motivation... dedication... devotion... come on its life and not just its beautification)))):

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...