Thursday, April 19, 2012

Kaash in taaro ko pata hota ki kaha chamakna hai ....

Kaash in taaro ko pata hota ki kaha chamakna hai ....
kaash in baarish ki boondo ko pata hota kaha tapakna hai....
kaash in hawa ke jhoko ko pata hota inhe kaha bahna hai...
kaash in panchiyo ko pata hota inhe kaha chahakna hai.... 

lagta hai aisa kyu hota hai... waisa kyu hota hai...

magar ye bhi lagata hai ki pata hota bhi to kya kar lete...
taare din me akar thode hi naa chamakte....
baarish bin badal ke thode hi naa tapakte....
hawa bin patto ke thode hi naa bahte....
panchi bin mausam ke thode hi naa chahakte....

tab lagta hai jo hota hai sayad ache ke liye hota hai....

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...