Thursday, April 19, 2012

koi ajnabi sehar mein jab koi apna tyohaar ata hai....

koi ajnabi sehar mein jab koi apna tyohaar ata hai....
tab sayad apne sehar ki yaad badi aati hai .....
jab akele hi samay beet jaata hai .....
tab apno ki yaad badi aati hai.....
tyohaar akar nikal jaatey hai kab pata nahi chalta....
kaam mein hazri lagane se waqt nahi milta....
mithai aur namkeen kya khaye kharidkar....
ghar ki baat hi kuch aur hoti hai .... 
sach kahe tyohaaro ki raunak apne sehar mein kuch aur hi hoti hai .....

har pal mein koi baat hoti hai.....

har pal mein koi baat hoti hai...
samete anginat bhav ko apne mein hoti hai ...
beete huye kal ki koi yaad ya pehchaan hoti hai ... 
aaney wale kal ki koi shuruaat hoti hai ... 
har pal mein koi baat hoti hai .....
jaane ya anjaane mein kuch khas hoti hai ....
sochta hun tham lo issey kai baar ....par bas mein kaha kisi ke hoti hai ... 
palo ka kya hai .... jaisi bhi ho jeeevan ka hissa ban itihas hoti hai .... 
har pal mein koi baat hoti hai .....!!!!

log kahte hai jo hota hai ache ke liye hota hai...

log kahte hai jo hota hai ache ke liye hota hai...
par acha kya hota hai wo kisi ko kaha pata hota hai....
aur jo hota hai wohi har kisi ko pata hota hai .....
aur jo nahi hota hai wo kisi ko kaha pata hota hai... 
log kahte hai jo hota hai ache ke liye hota hai ... 

kya kab kaise kyu kaha kisliye hota hai ....
ye bhi kisi ko sayad hi pata hota hai ... 
log kahte aye hai ... kahte bhi rahenge .. ki jo hota hai ache ke liye hota hai ....

jeet gaya hota to baat kuch aur thi....

jeet gaya hota to baat kuch aur thi.... 
haar gaya apna india to charcha kuch aur hai... 
lag gaya shatak to baat kuch aur hai... 
nahi lag paata toh baat kuch aur thi... 
jitna jaruri tha... ya shatak lagana majboori tha... 

kahne ko sau baatein kah lo..ab charcha bakwaas hai .... 

haar maana haar hai ... par shatak waqai mein bahut khaas hai .... 
jo bhi hai pal bahut khaas tha.... khaas hai ... and ek sunhara itihaas hai...!

jeet ka danka baj gaya!!!!

jeet ka danka baj gaya ... 
maano kal ki haar kahi dubak ke chup gaya... 
jo uthathe the unglia kabiliyat par...
wo baja rahe hai talia unhi ki khidmat par... 
ye khel ya (khelprem) hai ya ban gaya ho jaise koi tamasha ....
hum karte hai har pal jeet ki kyu asha... 

man ke bhao ka kya hai... 
pal mein badalte hai... 
kabhi khush to kabhi gam ke saaye mein dubey rahte hai...!!

shaam ya raat ko thak haar kar aata hai jab offc wala ....

shaam ya raat ko thak haar kar aata hai jab offc wala ....
daat ya fatkaar sunkar muskurata rehta hai jab koi offc walaa....
ghar laut kar jab khud hi khana banata hai koi offc waala....
mahine ke ant me salary pakar khush ho jaata hai wohi offcwala... 
boss ki haa mein haa and naa mein naa milata hai yahi offwala...
sapne mercedes ki dekhte huye sojata hai offc wala ....
tax bachane ke liye kitne investment bhi karta hai yahi offc wala ...
business waale ki aaram usey mana ki khatakti hai...
offc mein chuti lene mein sayad har kisi ki waat lagti hai...
sunday ke liye aankhen pasaar bait ta kaun nahi...
offc wale ki halat janta kaun nahi.... !!!

dusre ke khushi se itni jalan kyu...!!!

dusre ke khushi se itni jalan kyu...!!!
muskurata hai wo.. to tu dukhi kyu....
geet gaaye wo... to gungunaye tu kyu... 
dusre ke khushi se itni jalan kyu...!!
ye nahi ki tu ghamandi ya pakhandi hai...
ye bhi nahi ki man tera lalchi hai...
par haa tu insaan hai... aur yahi sach hai...

why grass on other side looks green...????

main ye nahi kehta mujhe chaand chahiye...

main ye nahi kehta mujhe chaand chahiye...
magar chand ki roshani pana chaha to kya gunaah kiya...
main ye nahi kehta ki mujhe koi dushman naa mile... 
parantu kuch jindagi bhar ke dost maange to kya galti kiya...
main ye nahi kehta ki mujhe har pal muskurana hai...
ye bhi nahi manga ki mujhe rona hai... 
par dusre ko naa rulau ye maanga to kya gunaah kiya... 
maanga toh bahut kuch....bahut kuch mila bhi...
bahut kuch bin maange bhi mila bhi...
par naa milne ka gam kar baitha to kya gunaah kiya...

sapne ko haqiqat samajh baitha to kya galat kiya...!!!!
har kisi ko bhagwaan ka roop samajh baitha to kya galat kia...!!

(life is a mystery at times... we can keep aspiring and praying for.. but praying doesnt mean we will surely get it....but faith life and belief should go on.. as chalna hi jindagi hai..)

kahte hai beeta hua pal laut ke nahi aata....

kahte hai beeta hua pal laut ke nahi aata....
kahte hai gujra hua kal phir nahi dohrata....
par kal kisne dekha hai....
kal kya ho ye kisne jaana hai... 
jeena yahi... yahi mar jaana hai... 
phir bekaar ka kyu ghabraana hai... 
isliye to kahta hu...humey har pal muskurana hai...
kehte hai beeta hua pal laut ke nahi ata...
lekin kal kisne dekha hai... !!!!!!!!

log kahte hai naam mein kya rakha hai....!!!

log kahte hai naam mein kya rakha hai....!!!

maa... paa... sabka pyaar chupa rakha hai...
naam mein jeevan ka saar chupa rakha hai...

apni pehchaaan aur sadio ki shaan hota hai ye naam...
apne se jud kar sada rehta hai ye naam...
garwaalo, dosto ke jubaan par chad jaata hai ye naam...
log kahte hai naam mein kya rakha hai!!!!

holiday!!!

holiday!!!!
not just a simple day.... 
i guess all will say... its a very special day....
no matter office is on which way...
holiday is more than a day... 
it passes i agree in a crazy and hazy way... 
by the way... holiday is made in such a way... 
it seems less in all way.... be it any number of day... 
things keep pending and it seems lot to be done on only that day....
holiday is for me not just a normal day .... !!!
(live life king size and wish we can celebrate and enjoy every day like a holiday...!!)

a walk to remember!!

a walk to remember:::
in a fantastic weather..,breeze flowing everywhere...
few dogs creating terror..silent roads resulting in little scare...
few vehicles to spare... few people to stare....
in life so much thoughts to share....
but no time to spare....
who is there to care....
night is there.....
in offc so much work is there.. somewhere and everywhere..
a walk to remember.....::

dar lagta hai bheed mein kahi kho naa jayooo

dar lagta hai bheed mein kahi kho naa jayooo
apni pehchaan banane ke liye apne ko na badal jayoo....

sikha hai jo thoda bahut usey kal bhul naa jayoo.....
dar lagta hai badalte waqt ke sath main pura na badal jayoo....!!
naye dost banane ke kram mein.....purano ko na bhool jayoo..!

apne aap ko is bhagti dunia mein akela naa payoo.....!!
dur tak jaane ki aas mein ...kahi rasta naa bhatak jayoo.....!!
dar lagta hai dusro ko samajhne ke liye aisa naa ho....
ki khud ko hi naa samajh payooooooooo!!!!

baarishh ka mausam hai...

baarishh ka mausam hai... 
par main chatri lana bhul gaya.. 
bheegne ka man hai.... 
lekin sardi ka dar ka kya kam hai...
pocket mein pade mobile and purse ka na bhigna jaruri hai...
mera bheegna bhi kya kam jaruri hai....
baarish ka mausam hai... 
bheegne ka man hai...
pani me chaapak chapaak bhi karte jaana hai...
humey to kagaj ke nao ko pani me chalana hai...
cheeke aney ki parwaah kaun karta hai....
bheegne se pahle itna kyu darta hai...
neela hai akaash .... neela hai jaha.....
baarish hai jaha .... yaaha ... waaaha....

jindagi ke mayine waqt ke sath badal jaatey hai....

jindagi ke mayine waqt ke sath badal jaatey hai....
hum kuch dur chal kar phir ruk se jaatey hai....
kal ka tikhana nahi hota par sadiyo tak khwab bune jaatey hai...
kahne ko kuch bhi na ho....bakwaas kiye jaatey hai....
sapne adhure dekh kar bhi ... unhe pure kar dikhate hai... 
kabhi haskar kabhi rokar....kabhi sunkar kabhi kehkar....
jindagi ke anginat pal ko bitate chale jaatey hai..... 
jindagi ke mayine waqt ke sath badal jaatey hai....!!!

apne aap ko bhale kitna bhi badal le... waqt ko kaha badal paatey hai!!!

Kaash in taaro ko pata hota ki kaha chamakna hai ....

Kaash in taaro ko pata hota ki kaha chamakna hai ....
kaash in baarish ki boondo ko pata hota kaha tapakna hai....
kaash in hawa ke jhoko ko pata hota inhe kaha bahna hai...
kaash in panchiyo ko pata hota inhe kaha chahakna hai.... 

lagta hai aisa kyu hota hai... waisa kyu hota hai...

magar ye bhi lagata hai ki pata hota bhi to kya kar lete...
taare din me akar thode hi naa chamakte....
baarish bin badal ke thode hi naa tapakte....
hawa bin patto ke thode hi naa bahte....
panchi bin mausam ke thode hi naa chahakte....

tab lagta hai jo hota hai sayad ache ke liye hota hai....

Friday, April 13, 2012

कल के भरोसे क्या जीना जब आज अभी बाकी है ....






कल के भरोसे क्या जीना जब आज अभी बाकी है ....
बीत गए कितने ही अनगिनत पल पर जीवन अभी भी बाकि है....
सपने हो गए पुरे या रह गए माना अधूरे ... मगर पूरा करना बाकी है.....
कल के भरोसे क्या जीना जब आज अभी बाकी है....!!!!

बातें बंद क्यों हो गए कहना जब कहना अभी कुछ बाकी है....
रुक गए क्यों चलते चलते जब चलना अभी बाकी है ....


कितना भी कर लो पर बाकी कुछ तो रह जायेगा....
वरना आने वाले पल के लिए काम क्या रह जायेगा ......

जिंदगी का दस्तूर तो निभाना पड़ेगा ही....
मुस्कुराना और खिलखिलाना पड़ेगा ही ....

बाकी वाले काम ना जाने कब पुरे कर पाएंगे
या किसी कोने में दुबक कर छीप जायेंगे....
अचानक से कभी याद आएंगे....
और हलचल मच मचाएंगे.....


आज अभी बाकी है ....
आवाज अभी बाकी है .....
मौसम खुशमिजाज है... अंदाज अभी बाकी है ....
कल के भरोसे क्या जीना जब आज अभी बाकी है ....!!!!



उम्मीद पर टिका हूँ केवल मैं या टिकी हुई है सारी दुनिया....


उम्मीद पर टिका हूँ केवल मैं या टिकी हुई है सारी दुनिया....
सपने देख रहा हूँ केवल  मैं या देख रही सारी दुनिया.....
रास्ता ढूंड रहा हूँ केवल मैं या ढूंड रही सारी दुनिया....
कल के भरोसे केवल जी रहा हूँ मैं या जी रही सारी दुनिया....

कल केवल मैंने ना देखा या देख ना सकी सारी दुनिया.....
ये जीवन केवल मेरा नहीं .... जी रही सारी दुनिया.....


दुनिया की देखा देखि का लाभ भला क्या पाएंगे ....
अकेले  आये है सब अकेले ही जायेंगे....
माना दो चार पल साथ में बिताएंगे....
दुनिया वाले आखिर कब तक साथ निभाएंगे....


इस अंधियारे गलियारे में क्यों रोशनी ना फैलता हूँ मैं .....
क्यों रास्ता जब ना हो मालूम तो दूर चला जाता हूँ मैं....
मैं मैं करते बीत गया मानो सारा बचपन जीवन ....
रह गए स्वपन सब आँखों में सच नहीं हो पाया जीवन.....


देखा देखि मत कर तू क्या, दुनिया को दिखलायेगा...
जो साबित करने आया है वो साबित कर क्या पायेगा ....


दुनिया माना की तेरी है पर वो सब की न्यारी है.....
जीवन तो माना सबको जान से प्यारी है .....

मत घबरा तू.... मत शर्मा तू....
मत बात बात पे इतरा तू ....
ये दुनिया तेरी है .... और ये दुनिया मेरी है ...
ये दुनिया सबकी है .....तब किस बात की देरी है ....!!


Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...