Friday, May 06, 2011

ek naye sahar me jee raha hun main ek ajnabi ki tarah......

ek naye sahar me jee raha hun main ek ajnabi ki tarah......
rashte hai tang magar gadia aur log bahut.....
jeene ka andaaaj alag bhasa aur veshbhusa alag......
apni alag pehchaan liye jee raha raha hun main ....
ek naye sahar me purani yaadein liye jee raha hun main kisi tarah.....

raaah par log teji se chale jaate hai......
hum toh ruk ruk kar raaste puchte rah jaate hai .....
is tej bhagti dunia me dheeere dheere haule haule jee raha hun main .....
anjaan si sahar ko bhi apna samajh kitni masti se jee raha hun main.....


bus ke number ka koi hissab nahi mujhe...
paise mange behisaab auto wale toh unka koi jawaab nahi mujhe ......
raste anek hai jo lagti hai ek si mujhko.....
par har raste me chaap dhundta challlo main .....
har mor pe ruk ruk kar pata puchta challloooo main.....

log bhale ho kitne bhi bhole har log ko shak ki najar se dekhta challoooo main ......
naye jagah naye log par wohi purana admi sa jeeta jaa raha hun main.....

gettting lost in the new city ......
getting new hopes in the new city......


dhundne ko bahut kuch ......bhulne ko bahut kuch.....
apne purane sahar se aye hai log bhi yaha bahut kuch .....
kaaam ki talash main ye khud ki pehchaan banane ki aaas mein.....
mila raha hun apne aaap ko is naye anjaan sahar mein....
purane dosto ka sath bhi hai humey nibhana .....
aur naye dost bhi hai humey banana .......
abhi abhi toh aye hai ... abhi toh humey bahut dur jaaana.....
padosh mein rahte hai log yaha pe bahut.....
par janta nahi koi yaha pe padosi......
gadia chalti hai yaha khali bhale hi....
par apna samajh lift koi deta nahi yaha pe......


yaha pe bhi mil jaate hai bahut log aise jo dikhte hai pure apne sahar jaise.....
puchte hai hum toh naam kewal unka,,, pate bhi bata dete hai woh apne.....

yahi sahar jald ho jayega apna......
yahi ke bahut log ban jayenge apne ........
yahi umeed hai ki jald sach ho jaaye ye sapna.....
kho diya hai bahut kuch pane ki aaas mein....
khona nahi chahta main khud apne aaap ko ek ajnabi ki tarah......
ek naye sahar me jee raha hun ek ajnabi ki tarah.....

3 comments:

Deepika Vasudeva said...

nice one anuj yet again :)

anuj said...

thanks deepika...

its great to that you have read and appreciated my thoughts...


thanks a lot....

Divyansh said...

pretty gud mate....i like d style wit wich u rite simple yet effective. i do d same plz visit my blog if u get tym. i hope u like it...:):)

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...