Thursday, December 10, 2015

kahi naa hona sayad ek sachhaayi hai

Kahi naa Hona sayad Ek sachaayi hai...
Usi pal kahi aur Hona I guess uski bharpaayi hai...
Subhah ki roshani mein Bhale hi Suraj ki najakat hai...
Raat mein to Chand aur taaro mein bhi apni Alag Chamak hai...
So ghabraane kaa nahi and sharmaane Ka nahi...
Kyunki jindagi ke jeene ka Andaj Sabka Alag hai...
So live the way u want n how u want...

Sunday, December 06, 2015

main aur meri adatein!!

main aur meri adatein..
aksar mujhse pareshaan rahti hai...
har ugte huye suraj ke baad dhalti shaam rahti hai...
jeevan mein arzoo bhi waqt ke gulaam rahti hai...
main aur meri adatein,,,,
aksar mujhse pareshaan rahti hai...!!

hichkia jab bhi aati hai

hichkia jab bhi aati hai...
yaad ki apni mithaas liye aati hai..!
acha lagta hai sochkar ki...
Koi to apna Kahi yaad Kar raha hai.!
bahane bhale Koi bhi ho..
apne Ko Yaad Kar sayad waqt bita raha hai!!!

Friday, October 23, 2015

tasveer dhundli ho jaaye to chalega...

tasveer dhundli ho jaaye to chalega...
sunhari yaadein tazaa rahni chahiye....
raasta agar bhul jaaye to chalega....
........thodi der hi sahi ..manjil mil jaani chahiye...
waqt ke darmiyaan bandh si jaaye jindagi to chalega...
jindagi sulazhi rahni chahiye aur kya.....!!!
thodi kathinaayi aaa bhi jaaye to chalega...
chahre pe muskurahat aur jindagi mein raunak rahni chahiye!!

Friday, August 07, 2015

dosti har rishte Mein hoti hai..

dosti har rishte Mein hoti hai..
dosti maa-paa ke pyaar Mein..
dosti bhai- behan ke dulaar mein..
dosti hoti hai pyaar ke jajbaat hai..
dosti rishte ki mithaas hoti hai..
Dosti chahre ki bhini muskaan hoti hai....
dosti hoti hai ugte Huye suraj aur dhalti huyi shaam Mein...
dosti hoti hai shorsharaabe ya gumshum ishaaroein Mein...
dosti hoti hai bhav aur ehsaas Mein....
dar lagta hai ki Kahi bheed Mein gum naa ho jaaye dosti...
dar lagta hai ki Kahi mehgaayi Mein bik naa jaaye dosti....
dar lagta hai Kahi behaawe aur dikhaawe Mein...sarpat bhaagti dunia Mein badal naa jaaye dosti...
magar dar ke aagey jeetati aayi hai dosti...
sabka hausla badati aayi hai dosti.!
hasi Mein hasati n gum Mein dhandhus badati aayi hai dosti..!!
bas uhi muskuraate rahe mere dost...
yahi dua hai ki sada salamat rahe mere dost...!!!
happy friendship day!!n thanks a lot for being there!!

sapno Ko sambhal kar rakhe

sapno Ko sambhal kar rakhe,Kal kismat ajmaane ke liye.....
ya koshisho pe lag jaaye aaj hi unhe Pura kar dikhaane ke liye....
waqt ke hausle to buland hai...
har pal naya kuch samjhaane ke liye....
aur mahaul kaisa bhi ho...
apne lagey rahte hai utsaah badaane ke liye....!!!

Thursday, July 30, 2015

just a few lines yuhi(on ca day)

just a few lines yuhi 
(on ca day)

dil ke kareeb tu hai...
kewal mere nahi..
tere kadradan kewal main nahi...
Aur bhi hai....
tu hi hai rasta aur manjil bhi tu..
jindagi Mein pehchaan bhi tu.
kitno ka Abhimaan aur Shaan bhi tu!!
Kathin hai tere Raaste..
dagmaga jaatey hai kadam...
sambhal Kar rakhna padta hai...
soch ke har ApNA agla kadam...
subjects bahut hai to kya...
results thode tough hai to kya..
himmat Aur hausla bhi to kam nahi.
paa jaayenge manjil Ko hai itna yakeen...!!
lekha Aur jhokha ya ho Koi hisaab..
janta hun nipta Denge tere Bache Apne aap....!!
course to bahut ache hai aur unme se tum bhi ho.!!
safalta ki sidiyo ki kunji tum bhi ho...
kisi seth ki kamayi huyi punji tum hi ho...!!
balance sheet ho ya pl bana dete hai...
uljhano Ko suna hai suljha dete hai...
meetings Mein sabko hasa dete hai...
returns aur tax ke issues satka(solve)Kara dete hai...
Kaam ke hai bande....mauke ke hisaab se dhal jaatey hai..
CA waale bheed Mein bhi special najar aatey hai.....
cpt ho ya ipcc ya foundation ya pe 2 ya Final kuch bhi ho...!!
may ya novemBer ya kuch bhi ho!!
accounts,tax,Mafa,cost,it kuch bhi ho....!!
hausla rakhna to sikha dogey hi tum...
kuch Naa Kuch to banWA dogey tum!!
CA is so closely attached to the life of people associated with it..its special...kudOs to all those setting such high n nice standards,we have a long way to go n hope the progress goes up n we all keep shining n smiling!!

tasveer kichaane ke liye hi muskuraatey ho....

tasveer kichaane ke liye hi muskuraatey ho....
ya Sach Mein khushi ka ijhaar hai...!
kya ye khushi ka ehsaas hai....?
ya gum Ko chupaane ka adhbut prayas hai...
ya dikhaawa hai n bakwaas hai..!!
harkate choti moti ho ya ho bahut badi....
jeevan ke pahluo Mein har pal likhta ehsaas hai...
maano to Sab Sach hai...
naa maano to jhooth aur bakwaas hai...!!

dekhne ka najaria hi nahi.....

dekhne ka najaria hi nahi.....
aaine bhi badal rahe hai....!!
mukhaute lagaate lagaate...
badalte waqt pe ilzaam lagaate lagaate.....
khud bhi badal rahe hai.....!!!
haar ka gum hai to koi baat nahi..
par dusro ke jeet se Kyu jal Rahe hai....!!
khud Kare to sab sahi....
lekin dusre Ki wahi chij Ko kyu Galat kah rahe hai...!!

Monday, June 15, 2015

adatein bhi naaa...

adatein bhi naaa...
achi adatein jaldi lagti nahi...
buri adatein jaldi hatati nahi...!
adatein bhi humraahi ho jaati hai..
Naa jaane kab jeevan Ka hissa ban jaati hai...!!

Tasveere kah jaati hai kahania anginat...

Tasveere kah jaati hai kahania anginat...
samete huye parchaiya anginat...
naa sabd ... naa hi unke saath bol hotey hai...
par kya kahe kuch tasveere anmol hotey hai...
bhuli bisri yaadoien ki anginat potri liye...
bhaav se vibhor (aur otprot) hotey hai.... !!!
ya u kah le...
tasveere dil ke hi nahi dimaag ke bhi kareeb hotey hai.... !!!

Saturday, May 02, 2015

muskuraane se agar jindagi sundar lagti hai ........

muskuraane se agar jindagi sundar lagti hai ........
toh muskura lo harj kya hai..
geet gaane se agar rahat milti hai........
toh gunguna lo dikkat kya hai....
jindagi koi khel to nahi ki har baar jeetna hi hai....
haar bhi gaye toh jashn and khusiya mana lo harz hi kya hai
thodi mushkile ka samna karne se ...zindagi sawar jaaye....jindagi sudhar jaaye...
iske liye thoda jatan aur mehnat jyada karna pade to harz hi kya hai...!!




Lagta hai bas yuhi waqt gujar jaa raha hai...



Lagta hai bas yuhi waqt gujar jaa raha hai...
N hum uski raftaar samajhte rah jaate hai...
Wo as normal aagey nikal jaata hai...
hum as always piche bhaagte rah jaatey hai...!

Friday, May 01, 2015

Lambi planning ya small baby steps..

Lambi planning ya small baby steps..
Chalo thodi dur to chale aagey jo hoga dekha jaayega...
Waqt kisi ke liye rukta nahi to humaare liye kaun sa rukkar nihaal kar jaaayega....
Taiyaari ya bina soche samjhe aagey kadam kaise badaiyega...
Baith kar sochte rahenge to bas waqt gujar jayega...
Long leaps and small steps both do matter along with planning...

bhale paise kitne bhi kamaale....

Bhale paise hum kitne bhi kamaale...
Ache to hum tabhi lagte hai jab hum muskuraate hai.
udte hai panchi akaash mein bhale hi...
Ghosle mein to panchi bhi chal kar hi jaatey hai..!

Sunday, March 29, 2015

aye jindagi tu thodi si udaan bhar...

aye jindagi tu thodi si udaan bhar...
gad dhe hai raaste pe to kya .. halki si chalaang bhar...
mushkil ki ghadi mein bhi.. halki si muskaan rakh....
manjil dur hai to kya... hauslo mein imaan rakh... !!
aaye jindagi tu thodi si udaan bhar....!

Sunday, March 22, 2015

Two shades of life...







Two shades of life...

One is black other is white...
so similar yet so contrast n different..
Yet Together they look brilliant...





 One is dark n other is bright..
At times incomplete yet so sufficient.
2 shades of life - black n white..
Bringing in all others colors of life...!






No matter if its war or peace...
No matter if its chess board or master piece...
They mix together and stay alive..
So what if one is blck n other is wyte.
Colors definitely add beauty to life..!

Thursday, March 12, 2015

najaria


najaria...sochne kaa...
badalte pal ke saath har baar badal jaaye...
aisa jaruri to nahi hai...



najariya...
waqt ke alam ke saath ek saa nahi rehta....
sayad badal jaata hai...



                                                                                 
bahane bhale koi ho yaa naa ho......


umar ke lihaaj se ....
ya paise ke hisaab se...
mood ke mijaaj se....
jeevan ke badalte parivesh ke hisaab se...
awaaj ke badalte tewar ke mijaaj se....
mausam mein aate huye badlaav se...
man se chalte huye anginat bhaav se.....
najaria sayad...
badal jaata hai....





najaria....
kahne kaa ho ya sunne kaa...
likhne kaa ho yaa padne kaa....
gaane kaa ho yaa gungunane kaa...
baat bataane kaa ho yaa chupaane kaaa....
ladne kaa ho yaa saath nibhaane kaa...
chalne kaa ho yaa dur tak jaane kaa...
aadmi bhale hi ek kyu naa ho..
najaria sayad badal jaata hai....

najaria bhale badale naa badle....
lekin is khel michauni mein waqt aur admi ke jeene ka andaaj jarur badal jaaata hai...!

( thought process is never constant and it keeps on moving, transforming, the principles may be same, the foundations may be same, style do change.
when we sit in auto - bus looks wrong, when we sit in bus - auto looks wrong, when we sit in car - bikes look wrong... same people so many perceptions..)

Tuesday, March 10, 2015

bheed mein chalne ki adat itni ho gayi...

bheed mein chalne ki adat itni ho gayi...
ki akele chalne se dar lagta hai;
adatein achi ho ya phir ho buri....
unhe badalne mein waqt lagta hai...
khel mein jeet ho yaa haar wo alag baat hai...
par yaha to khelne mein hi dar lagta hai...

Wednesday, February 25, 2015

aaj nahi ....to phir kabhi...

aaj nahi ....to phir kabhi...
taalne ki adat naa jaane kab lagi...
aaj nahi.... phir kabhi.. !!

rukta nahi samay kisi ke liye bhi kahi....
waqt hai balwaan ye bhi jaante hai sabhi...
phir bhi rat lagaaye hai man....
phir bhi alsaaya hai maano jeevan....

aaj nahi ...to phir kabhi....!
hai jaruri to karte kyu nahi...
waqt laut ke nahi aataa... phir bhi darte kyu nahi...!
rok logey waqt ko ye bhi sambhav nahi....

aaj nahi ...to phir kabhi!!



(Time is a chariot with no reverse gears)

Saturday, January 17, 2015

ped ke patte ...

ped ke patte ...

pata hai hawa ke aaney se jhar jaayenge......
par phir bhi hawa ke aaney ka intejaar karte hai...


jis daali se jud kar rahti hai unki khushi...
ussey tutkar bhi khush rahte hai,....

hawa se dar ke kya hoga...
hawa se lad ke bhi kya hoga...

hawa ka swagat kar...unse baatein kar...
patte khub masti se bahte hai.. khub chahakte hai...
kabhi jhukte hai to kabhi upar fudakte hai....

gir gaye to unhe gam nahi...
kyunki unki khushi gam ke aagey jhuk jaaye itni kam nahi..!!

Monday, January 05, 2015

Tasveere sayad Sabdo se jyaada bayaan karti hai...

Tasveere sayad Sabdo se jyaada bayaan karti hai...
Kahti Yu jubaan se kuch bhi nahi...par bahut kuch bin kahe samjhati hai..
Dekhne waale ka najaria alag ho..to alag maaiyane badal leti hai..
Sadio ki dastaan ko chutkio kr Rango mein samete liye phirti hai..
Khayalo ko bunte huye kya khub dikhti hai...
Tasveere!! Apni ho ya auro ki!kuch naa kuch to jarur kaha karti hai!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...