Wednesday, January 02, 2013

Naya saal ke kya maine,...

Naya saal ke kya maine,...
Kewal tareek badli hai ya phir....
Takdeer ya tasweer badalne ka irada...
Kuch gam me dubey rahogey ya khusio mein dubki lagane ka irada hai...
Dur dikhti manjil ko kewal dekhte rahogey yaa paas jaakar usey paaana hai.....
Waade agar karo to kam se kam pura karke dikhana hai...(dikhawe mein kya ana jaana hai)
Soch lo, dekh lo,samajh lo,jaisa thik lage waise kar lo....

Zindagi ke darmiyaan bandh si gayi hai jindagi!

Zindagi ke darmiyaan bandh si gayi hai jindagi!
Kabhi chahakti,kabhi fudakti,
Kabhi fisalti,kabhi bhilagti jindagi.
Sadiyo se ek si lagti..
Lekin pal pal badalti zindagi!!

I am just one among the crowd






I am just one among the crowd 
or I AM a bit different.........
If I am different, 
.... have I created Any difference......
I am here for long,,,,
or I am here for just a while...
whatever may be the period , 
Why can't I put up a brave smile!!!!!








jindagi ki apni raftaar hai...

jindagi ki apni raftaar hai...
kabhi jeet to kabhi haar hai....
mil jaaye muskurahat to has lo....
warna bahne ke liye aasshu to humesha taiyaar(bekarar) hai...!!!

sometimes you have great people around....

sometimes you have great people around....
but you are unable to judge what is right and what is wrong...!
sometimes you do have awesome scenery around....
but you may not have time to stop for a while and gaze around..... !!
sometimes,i agree,things are a bit less than perfect....
but you must not miss out on chances where they are more than perfect!!!

opportunities,are so seldom,will not keep waiting for you long....
will not come casually and keep coming along.....
so lets not wait for the best time to come....
And strive to make every time the best!!!

(and its often said... nothing is perfect... perfect to banana padta hai!!!!!!)

jeet ke hausle to buland hai... !!

jeet ke hausle to buland hai... 
par agar haar mil jaaye to kya hausla tod de hum.... 
par kya mushkile dikh jaaye to kya himmat chodh de hum.... 
jeet ke hausle to maana buland hai....

chalte chalte gir jaaye ..... 
to kya chalna chodh de hum...
dhakkka lag jaaye to kya sambhalna chod de hum...!!!!

hasne ka man to bahut hai...
par dukh aaa jaaye agar ...
to aisa thode naa ki hasna chod de hum.....!!!!

life has its own tantrums....






life has its own tantrums.... 
own swings...own wings.... 
sometimes one try hard to achieve dreams... 
sometimes dreams come calling....
life has its own tantrums... 
its own enjoyment and its own fun.... 
you are just playing your part and you cannot run.... 
so let the game begun..... !!!
you have nothing to loose as you have already won...!!!
life has its own tantrums.... 
dont try to solve it as its not a mystery.... 
dont try to create just another history.... !!!

its life so lets take it easy........!!
i agree you have lots of work but dont keep yourself too busy....!!!


ek shaaanj....

ek shaaanj.... 
raat maano dastak de rahi thi.... 
aur suraj apni bikhri kirane samet rahi thi...
hawa mand mand haule haule bah rahi thi... 
panchi ghar lautte huye chahchaha rahi thi...
gaadia sarak par sarpat bhaag rahi thi.... 
sab ko maano ghar jaane ki jaldi thi... 

chaat pakode ke thele najar aaney lagti thi...
gupchup khane waalo ki kya bheed lagti thi...
kuch log basta utha kar jaane lagte the...

par kuch log ko raat tak dera jamana tha....
daftar mein late hoga aur kaphi waqt bitana tha....
unhe shaanjh ke dhalne aur raat ke chalne ka intejaar tha...
pet mein kud rahe the chuhe aur khane ko bekraar tha....!!!
waqt ka aalam badh chala tha....
man bhi din bhar kaam se thak chala tha....

sune hai kai baar:
mehnat kiye bina safalta haath nahi lagti...
kuch kiye bina jayjaikaar nahi hoti.....


(the efforts will pay off very soon... dedicated to all especially to those late comers...)

lakshya....!!

kya lakshya hai... kya manjil ye pata lagana hai.... 
kya raasta sahi hai ya badal ke dusre route pe jaana hai???
kya pata manjil ki duria kitni hai...
kya pata hausle mein shakti kitni hai.... 
par har haal mein lakshya ko paaana hai...
jindagi ke mor bhale hi ho pechide kyu nahi....
lekin bina ghabraaye ... humey muskurana hai......
jaankar.... pehchaan kar ....... sahi raaste ... par badte jaana hai...

lakshya ko har haal mein paana hai..... !!!!!

i(((awesome inspirational song....!!! lakshya ko har haal mein paana hai...)))

bhool jaana koi badi baat nahi.....

bhool jaaana koi badi baat nahi ...
          lekin yaad dilaane par bhi yaad naa karna koi sahi baat nahi.... 
maana busy rahte hai sab koi apne aap mein ye koi nayi baat nahi... 
            bhool jaaana koi badi baat nahi.... !!!
badalta hai waqt, badalte hai log.... badalti hai dunia.... 
          sayad badalte parivesh mein badalna buri baat nahi.....!!!!

deepo ki maala...!!

rangoli made my be on diwali:::















deepo ki maala..... ho ya phulo ka shringaar!!!!
saj jaatey hai ghar angaan jab aata hai koi tyohaar!!!
aate hai maana saal mein ek hi baar!!!!
bante hai mast pakwaan majedaar...!!!
mubarak ho aap sab ko diwali ka paawan tyohaar!!!!!!!
mangalmay ho jeevan sabka... sundar ban jaaye sansaar!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...