Friday, October 12, 2012

yuhi kuch baat jahan mein aa kar....
















sabdo ke udhed bun......::



yuhi kuch baat jahan mein aa kar.... 
jhunjhula kar .... kisi kone mein yuhi chipakar... 
baitha tha maano koi yuhi sharmakar..... !!!!
phir achanak se chilakar.... aamne saamne aakar.... 
naa de paa raha tha sabdo ko maano rup aur akaar paakar... 
naa sujh rahe the usey koi bhi alankaar...... 

baatoein ka kya hai... aati aur jaati rahengi.... 
par mushkile jindagi ki badaati aur ghataati rahengii....
umeed ki nayi kiran jalaati ya bhujhaati rahegi....
potli armaano ki bharaati aur khali karati rahegi....
kuch naa kah paaye agar to aankhein kitni bayaan karegi....
baatoein ka kya hai... aati aur jaati rahegi... !!!

mushkilo ke ghadi mein chup rehna kya itna jaruri hai...
sankuchit hokar naa kehna kya sabki kamjori hai,,,,
bina matlab ke dar jaana kya bahaduri hai....!!!
baatoein ka jahan me ana aur phir bin kahe chale jaana ...kaisi majburi hai... !!!

No comments:

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...