Sunday, October 14, 2012

yuhi haste haste


yuhi haste haste
maano khil gaye hai raste
hil rahe hai humare offc kein baste
yuhi haste haste
aankhoien mein nami bahna chahkar bhi bah naa saki
yuhi haste haste ...
naajaare achi hotey huye bhi ankhoien mein sama naa saki
yuhi haste haste....
raaste pe hum the....par raaste pehchaan kar bhi ....
hum jaa naa sake.......yuhi haste haste ...
bache to kam the....phir bhi bacho ko pada naa sake
yuhi haste haste
masti ke wo bhi kya pal the...pal un palo mein masti uda naa sake...
chah kar bhi lakh un palo ko dohra naa sake
yuhi haste haste

kahte hai log magar baar baar
ki yuhi kat jayega safar haste haste

hassi bhini si kyu naa ho...


hassi bhini si kyu naa ho...
hassi.... kisi sudbhugahat ke baad bhi bhale kyu naa ho...
hassiiii ek choti si mulakat ke baad kyu naa ho...
hassi ek lambe antraal ke baad kyu naa ho...
bhini si hassii.... chehre pe jhalakna uska ho naa ho...
kichne mein camera mein kaid ho naa ho...

ek bhini si hassi...
ya ek jordaar ka tahaka...
jeevan mein bahut maine (mayne) rakhti hai...
nayi chetna nayi umang bhar deti hai...
ek bhini si... choti si... pyaari si... raj kumari si.... hassi....
komal si...maano gulaab ki pankhuri si...
maano ek sundar jalpari si...
soni si hassi...
hassi!!!!!!

Friday, October 12, 2012

mere paas kuch sabd hai.

mere paas kuch sabd hai.... jinhe main udhaar mein dia karta hun.... 
kuch khusia hai..... jinhe baat ta phirta hun...... 
har pal apne dosto ki khusamdeed ki dua kia karta hun.... 
kuch dukh hai jinhe dur bhagaya karta hun.... 
jindagi jaisi bhi kyu naa ho... usme maje udaya karta hun...
mere paas kuch sabd hai.... jinhe main udhaar mein dia karta hun....

yuhi kuch baat jahan mein aa kar....
















sabdo ke udhed bun......::



yuhi kuch baat jahan mein aa kar.... 
jhunjhula kar .... kisi kone mein yuhi chipakar... 
baitha tha maano koi yuhi sharmakar..... !!!!
phir achanak se chilakar.... aamne saamne aakar.... 
naa de paa raha tha sabdo ko maano rup aur akaar paakar... 
naa sujh rahe the usey koi bhi alankaar...... 

baatoein ka kya hai... aati aur jaati rahengi.... 
par mushkile jindagi ki badaati aur ghataati rahengii....
umeed ki nayi kiran jalaati ya bhujhaati rahegi....
potli armaano ki bharaati aur khali karati rahegi....
kuch naa kah paaye agar to aankhein kitni bayaan karegi....
baatoein ka kya hai... aati aur jaati rahegi... !!!

mushkilo ke ghadi mein chup rehna kya itna jaruri hai...
sankuchit hokar naa kehna kya sabki kamjori hai,,,,
bina matlab ke dar jaana kya bahaduri hai....!!!
baatoein ka jahan me ana aur phir bin kahe chale jaana ...kaisi majburi hai... !!!

bandh karke kya mila...

some lines by me::
(related to bandhs pretty often for one or other reason)))

bandh karke kya mila... 
kya kho dia tumne.... 
sochta hai saara jamana.... 
kya paa lia tumne.... 

cheekh kar awaaj kar ....
kya sun gaya unhe.... 
jinhe kuch sunana tha....
wo kya kah dia tumne.....

sarko pe ... galio mein....
khub jalse jhulush nikal kar....
maksad jo paaney ka tha....
wo kya mil gaya tumhe......

bandh karke kya mila ...
kya kho dia tumne...

(shanti ki pahal bhi to jaruri hai....
muskuraat ki ghadi bhi to jaruri hai....!!!
hausla rakho manjil mil hi jayegi....
bandh ke baad raunak laut ke jald hi aayegi....)))

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...