Saturday, November 22, 2014

maano adjust karne ki adat si ho gayi...

Maano Adjust karne ki yu adat si ho gayi..
Sapno ko haqiqat mein naa Badal paaye...
toh kya sapne badle ..ya logo ki sunki adjust kar le..
Jaisa Socha tha agar waisa ho naa saka to kya soch badle ya adjust kar le...!!

Koshish to bahut ki magar adatein yuhi badla nahi karti....
hum bhale kitna bhi adjust hotey rahe lekin manjil adjust har mor pe hua nahi karti!!!

jindagi ki khubsurati muskuraane mein hai...

Jindagi ki khubsurati muskuraane mein hai...
naa ki krodh ya Gussa dikhaane mein hai!!
Jindagi ki khubsurati gungunane mein hai...
Naa ki jor se bin matlab ke chillane mein hai!!
Jindagi ki Asli pehchaan jeene mein hai...
Naa kewal waqt yuhi beetane mein hai..!!

zindagi ki raftaar itni hai ki...!!

Zindagi ki raftaar Itni hai ki...
Ki thaam ke do pal sochne ka waqt nahi milta...
Chalte chale jaaye kitni bhi dur..
Lekin manjil hai kitni dur iska pata nahi chalta...!!

Saturday, October 25, 2014

khushi ki pehchaan kya ....

khushi ki pehchaan kya ....
uske aaney ka paigaam kya...
samet le un palo ko yaadoein mein ....
lekin bhul gaye to uska parinaam kya...
jeet jo gaye wo thik hai...
lekin haarne waale ko inaam kya...
manjil par taak lagaaye chale jaa rahe hai....
raaste pe dhyaan naa gaya to naa jaane anjaam kya....!!!

shor sharaabe karlo lekin, man ki baat bhi sun lena...

shor sharaabe karlo lekin, man ki baat bhi sun lena...
ujiaale ke beech andhiyare ki ek bhi nahi sunna....
khusio ka tyohaar hai isme gum ko mat ghusne dena...
prabhu ki leela hai pyaare... tum hardam haste rehna...
rangoli ke rang bikher sundar tum aangan karna...
deepo ki maala sajakar ghar tum roshan karna...
shor sharaabe karlo lekin, man ki baat bhi sun lena...
ujiaale ke beech andhiyara ki ek nahi sunna....
pakwaano ke swaad lekar, mauj maje karte rehna...
raunak hai... is raunak ko tum yuhi kayaam rakhna... !!!

paabandi!!



Paabandi..

khud Li ho Yaa Jabardasti kisi ne dedi ho..!!
Azaadi ke rang mein range ho log to bandhan kaha pata chalta hai!!
Band Pinjre mein Mauj se khate huye panchi bhi udne ko taras jaatey hai...
Dur ke ghaas to naa jaane kyu jyada harey najar aatey hai..!!
Hum apni soch ko taak pe rakhkar dusro ke dikhaaye raaste par chalte chale jaatey hai!!

faasle ...yuhi nahi bante...

faasle....yuhi nahi bante...
sapne aur haqiqat ke darmiyaan!!
manjil to apni jagah hai...
par raaste bhatak sakte hai sab yahaan!!

waah waahi lutne toh sab chale aatey hai...



waah waahi lutne toh sab chale aatey hai...
par galtio ka bhoj koi nahi dhotaa...
aisa to hargij nahi ki koi galti nahi karta....
jeet ki hod mein sab lagey rahte hai is kadar...
par haarne waale ki ....naa jaane kyu koi kadar nahi karta!!!
dunia chali hai moon aur mars ko chune ...
magar paas mein kaun rehta hai uski khabar nahi rakhta!!
khushmijaj to sab hona chahte hai bharpur...
magar koi udaas ho agar to usey kyu khush nahi karta!!

Tuesday, September 23, 2014

manjil ki or chale... ya manjil se dur chale...

manjil ki or chale... ya manjil se dur chale...
sayad chalna jaruri hai....
naa rukna bahuto ki kamjori hai...
waqt ko thaamle kaise koi....
ruk ruk kar kadmo ko thaamna magar jaruri hai...
raaste ka bhale naa ho pura bharosha...
aur har koi deta rahe bhale kitna bhi dilaasa...
ruk kar chalna and chal kar rukna...
waqt ke khamiyaazo se sambhalkar chalnaaa....
ye kaise majboori hai... !

Friday, September 19, 2014

yaadein puraani ho yaa nahi



yaadein puraani ho yaa nahi...
rahti to ateet ka hissa hi hai...
beeti huyi baatein ho:: aaj ki ya kal ki...
hoti to aaj se juda hi hai...
bhul jaane se aisa to nahi ....
wapas yaad nahi aaati... !!
kahi kisi kone mein....
har baar simat ke toh rah nahi naa paati!!
aaj mein kal kaa saaaya to har baar mandrata hai...
kal bina, kya aaj apna bhavisya bana paata hai..??

@ ek dhalti huyi shaam

@ ek dhalti huyi shaam!!
Toh kya agar taare timtimaatey nahi,
Panchi to chahchahaatey hai..
Shaam bin chai pakode ke naa jaane kaise beet jaatey hai...
Hawa ke lutf to hai magar kam hotey huye ped ke patte Kitne chatpatate hai...
Phir bhi patte dekho naa kitna muskuraate hai...!!
Titlia to jaise ho gayi history ab phul hai kaha jo bhini si khusboo liye aatey hai...
Raunak bhale kam ho gayi hai badti chakachaundh mein,magar dhalti huyi shaam ke gun to sabhi gaatey hai...!!
Par aaney waali raat ki dastak Itni jor hoti hai ki chah kar bhi koi jyada Der Rok thode naa paatey hai!

maana taare tu tod ke laa nahi sakta!!!

maana taare tu tod ke laa nahi sakta...
aaisi chahat rakhta hi kyu hai jisse tu paa nahi sakta...
kya apne man ko tu itna bhi samjha nahi sakta...
unhe jugnoo ki roshani se hi bahla nahi sakta....
aaisi chahat rakhta hi kyu hai jisse tu paa nahi sakta...
manjil dur hai to kya hua kyu tu muskura nahi sakta..
haar gayi baazi to kyu tu jashn mana nahi sakta...
beet gaye jo pal unhe tu lauta nahi sakta...
jeevan tera hai par sab kuch tere bas mein nahi...
kya apne man ko tu itna bhi samjha nahi sakta...!!!

bandish mein naa bandh tu.... khul ke jee!!!

bandish mein naa bandh tu... khul ke jee!!
jo jee mein aaye.... usey puraa karte jee!!
chinta se ghir ke nahi... andhero se dar ke nahi...
muskuraate, khilkhilaate, gungunaate jee...!!!
bandish mein naa bandh tu... khul ke jee!!

waqt ke darmiyaan.........


waqt ke darmiyaan bandh si gayi hai jindagi...!!
anjaani raaho mein chalte chalte thak si gayi hai jindagi!!
guzaarish to hai dher saari sabki ....
magar inteejaar karte karte thak si gayi hai jindagi!!
waqt bad chala hai apni raftaar se...
lekin kadam milaate milaate piche rah gayi hai jindagi!!

jeete koi bhi neta!!

Jeete koi bhi neta,
                                         magar janta ki Haar na ho to acha hai...
Kuch kiye bina,
                                     jaijaikaar naa ho to acha hai...
chaplooso se 
                                          na ghire neta to acha hai..
lalabatti gadio mein 
                                          na simat jaaye neta to acha hai...
Neta ko banaya logo ne 
                                                  ab wo neta naa bigre to acha hai..
Lade neta bhale hi apas mein kitna bhi,
                                                    log apas mein naa bhide(Lade) to acha hai..
Desh ka jhanda itna lahraye ki 
                                                     parties ka jhanda naa bhi lehraaye to acha hai...
Desh humara hai n hum uske 
                                                Ye baat agar sabhi samajh jaaye to acha hai...!!

The page will turn

The page will turn...!!

The page will turn,
    the page will flip....
but will the book remain the same!

time is a chariot with no reverse gears...
     but will pages forget the past through which life peers....

will it move as fast as time moves...
or will it have its own moods and swings....
or will it sings with us or it has own songs to sing....

no need to worry....
things may look a bit scary...
the page will flip...
the page will turn....

every book may have its own story...






Saturday, May 03, 2014

alsaayi huyi subah dheeme paav chali aayi hai...



alsaayi huyi subah dheeme paav chali aayi hai...
neend khulne se pahle din nikal aayi hai...
sapno ka anchal ode aankhein khul naa paayi hai.... 
alsaayi huyi subah dheeme paav chali aayi hai...

manjil ne dur se hi awaaj lagai hai..!!!




Kaphila chal raha tha,

Kaphila chal raha tha,
hum bhi saath ho liye ....

Koi ro raha tha saath ro liye ...
Koi has raha tha saath has diye...

Kaphila chal raha tha,saath ho liye ..
Bheed mein naa jaane khud ko kaha kho diye...!!

Jindagi humaare ishaare pe nahi...

Jindagi humaare ishaare pe nahi...
Hum jindagi ke ishaaro par chalte hai...

Manjil bahut dur kyu naa ho..hum Dheere Dheere chalte hai....

Thodi dur chalne pe hi...
Naa jaane kitni baar fisalte hai....

Pahlu bahut hai jindagi ki...
Hum badalte Palo ke Hisaab se girgit ki tarah rang badalte hai...!!!

Manjil dur hai to kya...

Manjil dur hai to kya...
Chalna hi jindagi hai...

Thodi bahut taqleef Aa bhi gayi to kya....
Hasna hi jindagi hai....!

Jara sa dil se kya Socho

Jara sa dil se kya Socho,log Kahte hai jyada jajbaati naa bano...

Jyada dimaag se Socho to lagta hai thodi sa hi sahi dil ki bhi sun lo...

Naa sochu to bhi ghabrata hai dil ..Aur jyada sochne par bhi chatpatata hai dil...

Dil Aur dimaag ki kashmakash mein naa jaane kaun haare Aur jeete, par is chakkar mein insaan fash jaata hai...!!!

Manjil to aksar humey apne paas bulaati hai...

Manjil to aksar humey apne paas bulaati hai...
Ab humey hi raaste par yakeen naa ho to wo kya karey..

Manjil to humey ache logo se milwati hai...
Ab hum hi hunar naa dhund paaye to wo kya karey...

Manjil to kitni galtia karne par bhi mauka deti hai..
Ab hum thodi si mushkil mein Haar maan le to wo kya karey

Manjil humari hai n hum uske ...
Ab hum usey Apna naa samjhe to wo kya karey

Manjil to humey bahut hasaane ki koshish karti hai...
Ab hum khud hi rone baith jaaye to wo kya karey..

Ghabraane ka nahi...

Harbaraane ka nahi...

Sharmaane ka nahi...

Rukne ka nahi..

Dubakne ka nahi...

Kyunki bin humare manjil nahi...Aur bin manjil ke humara thikana nahi!!!

main aur meri abhilasha...

Main Aur Meri abhilasha..

Kabhi jhalakti hai asha to kabhi nirasha..

Naa jaane Kitne bol Aur anginat bhasha...

Main Aur Meri abhilasha.

Kabhi suraj ko dubati huyi nisha

Aur phir Umeed ki kiran liye aati usha..

Naa jaane ache jeevan ki kya paribhasha..

Main Aur Meri abhilasha..

Log hai anginat n anginat unki iksha...

Chalna to hai par naa jaane kaun si Disha..

Main se bara hota hai hum Aur humari abhilasha...

Sunday, March 30, 2014

Log Kahte hai naam mein kya rakha hai...

                                             Log Kahte hai naam mein kya rakha hai...


                                                                Ab kya batau??

Ki naam mein maa baap ka laad Aur pyaar chupa rakha hai,
Ki naam mein jeevan ka saar chupa rakha hai...
Ki naam mein sabne Apna pehchaan chupa rakha hai...
Ki naam mein tasveero ka ehsaas chupa rakha hai...


Khush rakhna apne aap ko Aur Roshan karna apne naam ko kyunki sayad naam mein Apno ka naam juda rakha hai.!!!!

Sitaaro se bhi abhi kehna hoga abhi Aur chamke,raat abhi baaki hai....




Sitaaro se bhi abhi kehna hoga abhi Aur chamke,raat abhi baaki hai....
Manjil najdeek hai to kya raah abhi baaki hai....
Jarjar pad rahi sandook mein bhi kuch samaan abhi baaki hai..
Dhundli pad rahi tasveero mein yaad abhi baaki hai...
Kahne to sabd to nahi magar aawaaj abhi baaki hai...!!

Chaand suraj ke dhalne ka intejaar karta hai...



Chaand suraj ke dhalne ka intejaar karta hai...


Khubsoorat to suraj ae jyada hai,magar uske jaise chamakne ki Koshish karta hai...


Raat ka Ghana andhera Aur sannaate mein bhi badalo se ladkar chamakne ki Koshish karta hai...


Anginat timtimaate taaro ke beech bhi khud ko akela nahi mahsus karta hai...

Chale jaaye hum kahi bhi kisi bhi kone mein,humaare saath chalne ki koshish karta hai....

Dur hai koso mil humse lekin phir bhi paas aaney ki koshish karta hai...

Chaand hai hi itna acha usey aisey hi chanda mama thode naa sab kahte phirte hai...

Manjil ki or akele nahi chalte..

Manjil ki or akele nahi chalte..
Chalti hai fizaae humaare saath mein...
Jab akele nahi hai hum...
To phir darna kya choti moti baat mein...!!

Sabdo ke udherbun mein kahi Maine naa Badal jaaye...

Sabdo ke udherbun mein kahi Maine naa Badal jaaye...
Jindagi ke ulatfer ke chalte kahin manjil naa Badal jaaye.

Bahut kuch paane ke chakkar mein,kahi jo hai wo naa kho jaaye...

Dunia badlegi,is badalte daur mein itna naa badale ki apne ko naa pehchaan paaye!!

Mohmaya ke bandhan aksar keech lete hai humey apne or...

Mohmaya ke bandhan aksar keech lete hai humey apne or...
Bhale ho khade hum koi bhi jaane anjaane mor....

Naachta hai man jaise ho koi mor....

Lag raha hai har taraf se naa jaane kitna jor...

Mohmaya ke bandhan kich lete hai humey apne or...

aakh se kuch anshu ke boond chalak gaye to kya.....

aakh se kuch anshu ke boond chalak gaye to kya.....
tum koi kagaj ke phul nahi jo pighal jaayoege.... 

maana jaisa socha tha waisa naa ho paya agar .....
dekhna ye hai ki haqiqat se samjhauta kar paayogey kya...
sambhal kar chalogey ya phislogey.....
sochna ye hai badalte waqt ke saath badal paaoegy kya....
hai tamanna chand tak jaaney ki agar .....
to khayali pulaao banaane se pahuch jaayoegy kya.... ???

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...