Friday, June 14, 2013

raaste naa jaane kitne hi kyu naa honge...

raaste naa jaane kitne hi kyu naa honge... 
lekin chalna to mujhe ek pe hai.... 
manjil maana dur hi kyu naa honge .... 
maana halke ya jyada thake huye bhi honge.... 
to kya hua, badna to mujhe theek se hai....
chanchalta mein dube bhale kyu naa honge... 
lekin rehna to mujhe theek se hai... 
mushkilo se raaste bharpoor bhale honge... 
magar dhandhas(himmat) bhandna mujhe theek se hai...
hasi aur khushi ke mauko bhi anek honge...
hasna mujhe khub jor se hai...
dukh ke badal agar chaatey ya aatey bhi honge...
to dara ke bhagana unhe khub jor se hai...

raaste naa jaane kitne hi kyu naa honge...
lekin chalna to mujhe ke pe hai.....

itna shor yu hai

itna shor yu hai ... ki khud ki awaaj halki sunaayi deti hai..
itna kohra kyu hai.... khud ki tasveer dhundli dikhaayi deti hai...
manjil itni dur kyu hai .... ki safar lambi dikhaayi deti hai... 
kahne to bahut kuch hai... par awaaj kaha sunaayi deti hai.... 
bunne ko to khwab bahut hai... par pura karle ye umeed kaha dikhayi deti hai...

yuhi chalte chalte...



yuhi chalte chalte... 
naa jaane kab badal gaye raaste...
naa jaane kis ke vaaste...
yuhi chalte chalaate... 
yuhi milte milaate.... 
humrahi badal gaye ...
naa jaane kab murte muraate... 
haste rulaate... 
rukte rukaate...
sunte sunaate...
gaatey gawaatey...

naa jaane kab se chal rahe hai ...wo bhi rukte rukaate...
and kaun si manjil ke vaaste!!!

Saturday, June 08, 2013

ishaare bolti hai....

ishaare bolti hai.... 
sabdo se jyada ya kam ye to pata nahi... 
par ishaare bolti hai.... 
jara gaur kijiega....
busy kitna bhi ho... magar ignore mat kijiyega.... 
ishaare bolti hai.... 

ankhoien se kah dene ki kala sab mein nahi...
to samjhle har koi aisa bhi to nahi...
lekin koshish karne mein bhi to koi harz nahi...
ishaare bolti hai...
jara dhyan dijiyega...

sabd ke abhaav mein badi kaam aati hai...
ishaarein bin kahe bahut kuch kah jaati hai...
waqt ki kami ko bhi dur bhagati hai...
mukhauto se parda uthaati hai...
sach kahoo.... ishaare bolti hai...

sabdo se jyada ya kam ye to pata nahi...
par ishaare bolti hai... !!!!!

khayalo ke sahaare hi...

khayalo ke sahaare hi... 
galio ke kinaare hi.... 
milte bhichadte hai log bhi... 
kabhi kahi kabhi kahi....

lagta hai aisa hi... 
pata nahi... 
kya galat kahi... 
kya sahi.... !!!!

Friday, June 07, 2013

galtia karne par har baar sochta hun...

galtia karne par har baar sochta hun... 
kal sudhar jaayenge.... 
ye galtia ek baar huyi isey dobara to hargij naa dohraayenge... 
par naa jaane wo kal kab aayenge... 
naa jaane kab hum sudhar paaayenge.... !!!
ya yuhi taalte taalte sadio lag jaayenge... !!!
adat hai itni jaldi thode naa badal paayenge... !!!
phir kal sayad waaisey hi galtia dohraayenge... 
bahane roj roj nayi kaha se laayenge...
apne ko badalne ki taqat nahi... waqt aur alam ko kya khaak badal paayenge... !!!
umeed ki kiran thodi si kal par tiki hai...
hope wo kahi bhi chupa ho.... usey dhoond kar jarur layenge... !!!!

Thursday, June 06, 2013

hasrato.. ke vaaste badali nahi jaati jindagi.....

hasrato.. ke vaaste badali nahi jaati jindagi.....
jindagi badal deti hai hasrate aur adaatein......
kya sikhaati kya bhulaati.... 
apne ishaaro pe nachaaati jindagi... 
naa jaane kitne nakhre batiyaati jindagi... !!!

raaste mushkil ho yaa asaan .... 
akela ho safar yaa ho saara jahaan.... 
ho kadi dhup ya ho neela asmaan....
chalna sikhaati hai ye jindagi....

jaisi bhi hai, hai to humaaari jindagi....

kai baar lagta hai...

kai baar lagta hai... 
jaise ki kaphi kuch naya hai...par badla kuch khaas nahi hua hai... 
lagta hai sadio dur chale aaye ....lekin pal aur shama wahi ka waha hai... 
thak gayi hai taange chal chal ke... par manjil aur kaaphila wahi ka waha hai...

kai baar lagta hai... 
badla hai jamana... bhale badale ho hum aur jamana wahi ka waha hai...

baarish aise to khud hi apne mein khaaas hoti hai...

baarish aise to khud hi apne mein khaaas hoti hai... 
saath mein chaai pakaudi mil jaaye to kya kehna... 
bheegne ka maja to alag hai hi.... 
paani mein chapak chapaak karne mil jaaye to waah kya kehna... 
kagaj ke naav banakar bahane mil jaaye to kya kehna... 
lambi drive pe khali road aur gaadi bhagane mil jaaye to kya kehna.... 
baarish ki boondo se garmi mein rahat mil jaaye to kya kehna...
baarish aise to khud hi apne aap mein khaas hoti hai...

par itni mauj masti and bheenge ke baad bhi...
sardi nahi lag jaaye to kya kehna... !!!!!

bita hua pal laut ke nahi aaata...

bita hua pal laut ke nahi aaata... 
to palo ko sambhaal kar rakhna to banta hai naa... !!!
manjil dur dikhti hai to kya hua... 
thoda thawas rakhkar chala to jaa sakta hai naa!!

palo ko bikher kar kya rakhna...
thoda palo ko samet kar bhi to rakha jaa sakta hai naa!!!
yadeein piche taan bhi le to kya... 
yaadoien ke sahare aagey bhi to bada jaa sakta hai naa... !!!

waqt bhale hi kam kyu naa ho...
phir bhi kami ko pura kia jaa sakta hai naa.... !!!!!
rone ki wajah bhale kitni bhi kyu naa ho....
thoda bahut to hasa jaa sakta hai naaa!!!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...