Wednesday, November 27, 2013

taaroein ki mehfil kyu naa ho...

taaroein ki mehfil kyu naa ho... 
chaand to phir bhi chamakta hai... 

raat ka andhera ghana kyu naa ho... 
deepak to phir bhi dahakta hai..!!!

(at times we may found ourselves out of place, so what we must carry ourselves confidently)

Itefaaq badi cheej hai...

Itefaaq badi cheej hai...
Naa kaaran ka pata chalta hai....
Naa pahle se pata rehta hai...
Kahte hai jab jo hona hai wo hoke rehta hai....

Magar haath pe haath dharne se thode naa kuch hota hai...!!

Naseeb ka maana Apna khel hai...par karm ka bhi bolbala aksar rehta hai....!!!

Dikhawa to bahut hai maybe..

Dikhawa to bahut hai maybe..
But uske bina chalta kaha hai...

Jooth pe mana paer tikte nahi jyada der tak kahi....
Par Kewal sach bolkar pet bharta kaha hai...

Ho rahi ho atisbaaji bhale hi har or ...
Lekin Khushi ka tahaka naa jaane kaha hai....

Jeetne ki hod lagi hai itni jor...
Ki haarna maano jaise koi gunaah hai...!!!

Waqt ke badlaav

Waqt ke badlaav naa jaane kya rang dikhlayenge...
Koshish to yahi hai ki jo bhi mor ho,..muskurayenge...

Chalna hi Jindagi hai...chalte chalte manjil tak pahuch hi jaayenge...

Khud se ho khafa

Khud se ho khafa,khudi chali saer pe....
Kah rahi ho man ki baaten haste hatke chain se....
Hai nahi koi harbadi....Dar hai naa ho gadbadi...
Chal rahi Jindagi haule haule bechain se...!!

(Extra lines----
Sapno ki apni kataar bad rahi hai...
Jindagi ki bhi apni raftaar bad rahi hai....!!!)

Chalna kidhar hai...??

Chalna kidhar hai...??
jidhar manjil hai ,ya jidhar raaste hai.... 
jidhar log kah rahe hai ,ya jidhar tera man hai.... 
chalna kidhar hai???

hai adig manjil ... magar raah mein chalna jo hai... 
ruk nahi sakta hai pal to tujhe rukna kyu hai... 
waqt to badale ga hi tu bhale badal naa badal.... 
chal chalte chal bhale kyu naa jaaye man kitna machal.... !!!

Chalne ke pahle soch le chalna kidhar hai...!!

Sabdo ke abhaav mein

Sabdo ke abhaav mein, ishaare kaphi hotey hai....
Chaand ke abhaav mein,sitaare kaphi hotey hai....!!
Paana to bahut kuch hai jeevan mein,
Par unke naa Milne pe kya man behlaane ke bahane kaphi hotey hai!!!!!

diwali yu roj roj thode naa aati hai...

diwali yu roj roj thode naa aati hai... 
tyohaaro ka raja aise hi thode na kehlaati hai....

ankhoien mein aati to hai chamak.... 
kuch patakho ke bahane hi sahi....

phuljhari, anar, chakri,rocket, aur bhi na jaane kaun se patakhe.... 
miljulkar phodte hai bache, jawaan,budhe ....laga laga kar tahaaake....
ho rahi hai masti.... josh aur ulaash mein.... 
lag rahi hoti hai sundar maano akaash bhi raat mein....

goonj uthi hai,gallia, mohalle, sadke aur bajaaar....
har haraf maaano chal raha ho khadriddar....

jagmag jagmag deep jalte hai....
umeed ki kiran sab ke jeevan mein bhar dete hai....
ladne ki takat andhero se.... kamjor se kamjor ko dete chalte hai...
khud ko jalakar bhi dekho naa.... ye jahaan ko roshan kar dete hai...!

saikro tarah ke pakwaan aur mithaiya banti hai....
kya khaye aur kya naa isme hor lagi rahti hai....
bhet liye aatey hai rishtedaar aur dost....
aur ghar aur aagan mein khub chahal pahal rahti hai....

sadiyo se aa rahi parampara aur yaadoein ko apne mein samete hai..
sri raam, sita aur lakshman ke lautne ki khushi hai....
khushi baandh lo kitni bhi muthi mein... chup thode naa paati hai...

haath jod naman kar ashirwaad hum sab se liya karte hai....
maa laxmi viraje unke ghar mein ye sabhi manokamna karte hai....

khushi ke kuch pal hi sahi....
naa jaane kitna sukoon diye jaaati hai....
sabke chahre pe muskurahat liye aati hai...
diwali yu roj roj thode naaa aati hai....

A very happy diwali!!!

waqt ke darmiyaan

waqt ke darmiyaan bandh si gayi hai jindagi!!!
waqt badh chala hai lekin tham si gayi hai jindagi!!

Sunday, October 13, 2013

wo tasveero mein jhalak raha hai itna sundar....

just some lines came in head after watching a few pics of durga puja..::

wo tasveero mein jhalak raha hai itna sundar.... 
to aakhoien ke saamne to aur adbhut hoga....
tyohaaro ka ho jab mausam... 
to ghar angan sab pulkit hoga.... 
chahre pe amit kushi aur man prasanchit hoga.... 
sach mein mahaul ati sundar... ati ramniya hoga... !!

just some additional lines::
sajti huyi galia hongi...
jhoomte, khelte, ghumte huye bache honge....
bhajan ki goonj hogi....
aatisbaaji aur kalabaaji hogi...
gaane aur bajaane honge...
naya josh aur umang hoga...
bhale koi dur ho aur koi paas hoga....
jeevan adhbhut hai iska bhi sayad ehsaas hoga....
maa ka sabpe ashirwaad hoga...
maa ka sabpe ashirwaad hoga...!!!

muskura ke chal.....

muskura ke chal.....
chalna jab hai hi... 
to gunguna ke chal... 

kya pata manjil ki duri kitni hai.. 
kya pata teri kaisi majboori hai...
hasna sehat ke liye behad jaruri hai.... 

chalte chal... badte chal...
karm ka fal khud milega... karm karte chal.... !!
waqt ka alam hai ki wo thamta nahi....
tu bhi uske saath ho chal.... !!!

Sunday, October 06, 2013

sunday ke maaine kya...

sunday ke maaine kya... 
sabdo mein bayan karna mushkil hai...

saare hafte ke din ek taraf... 
magar ye pyaara sa dulara sunday ek taraf...

kisi office waale se pucho ahmiyat iski.... 
gun ginaate ginaate naa thakega... 
sadia lag jaayegi kahte kahte...
magar wo naa rukega....

itna kuch karne ko hota hai waqt kam pad jata hai...
kai baar man ye sochta hai ki sunday do baar kyu nahi aata hai...!!

aaram kar lo ji bhar ke is din...
so lo puri neend sadio ke tum...
mil lo kuch yaar dost se yuhi...
sunday hai aise hi naa chale jaaye kahi...!

is par monday ka khatra hamesha mandrata hai...
shaam hotey hotey to maano dil ghabarata hai...
par bhaiya agle hafte ye phir se aata hai...
aur sab ka dil yuhi behlata hai... !!

kaam mat le ana ghar tum office ke galiyaaro se is din...
bahut intejaar ke baad najar aata hai ye din...

sunday hafte kaa raja yuhi thode naa kehlata hai!!!
sunday hafte kaa raja yuhi thode naa kehlata hai!!!

dur ke dhol suhaane lagte hai...

dur ke dhol suhaane lagte hai... 
paas jana hi kyu...
dur se hi sun lenge...

patli si dagar hai.... 
pisalne ka hai agar khatra... 
chalna hi kyu.... 
is paar hi ruk lenge...

akhir kab tak rukenge ye sailaab khatro ke aagey...
kisi ke ruk jaane se waqt nahi hai rukta...

soch nayi ya purani...

soch nayi ya purani...
machli to bachpan se jal ki raani... 

soch bhale kitni bhi sidhi ho ya syaani... 
maja hai alag khelne mein denga paani... 

soch bhi badalti hai waqt ke saath yaani... 
tairna naa ayega to dub jayega praani.... 

Waqt ki kimat jab tumne pehchaani
to kyu bhaagte ho piche kewal tum sona chaandi.

har pal bayaan kar rahi ek nayi kahaani...
ek thaa raja aur ek thi raani.... !!!

machalti hai paani mein jaisi machlia......

machalti hai paani mein jaisi machlia...... 
chahakti hai jaise anginat panchia.... 
waise kyu bahakta hai ye man.... 
sochta kuch aur hai... kehta kuch aaur.... 
par karta kuch aur hi kyu hai ye man....

raaste bahut hai.... pechide mor bhi... 
par har mor par ruk ruk kar..raasta kyu puchta chalta hai man...!

Dosto ke ghar nahi dil bade hotey hai.....

Dosto ke ghar nahi dil bade hotey hai.....
Dost koi riste se kam thode naa hotey hai....

Pahuch jaaye bhale hi kisi bhi mukaam pe hi Kyu naa wo....
Dosto ke naam dosti se bade thode naa hotey hai...

Saath ek do pal kaa ho ya sadiyo ka silsila...
Waqt ka ho Apna hi alag faisala....
Par bichad jaaye kisi mor pe to kya....
Naa Milne pe dosti thode hi naa bhula karte hai....
Dost har galli kuche mein kaha Mila karte hai....

Log to bahut milte hai har kisi ko....
Par ache dost kaha sab ko Mila karte hai....!!!

Sach Kahte hai kuch log...
Dosti mein no sorry,no thank you nahi hotey...
Kyunki dosti mein formality thode naa hua karte hai...!!!

Itefaaq mahaj itefaaqq...

Itefaaq mahaj itefaaqq...

Jindagi ke pechide mor, kisi kaaran ki mohtaaj nahi hoti...

Lekin bin kaaran ke Jindagi bhi itni khaas nahi hoti...

Sab kuch likha ho naseeb mein hi agar....
Karm ka fal ki mithaas nahi hoti....

Kuch to naseeb ka khel bhi hai.....

Nahi to ...

Chalte chalte maana yuhi ho jaaye mulakat kisi ajnabi se..
Magar bichadne ke baad arso baad ussey phir kisi mor pe mulakat naa hoti!!!

Khayali pulaao tu Kab tak Yu hi lubhaate rahega....

Khayali pulaao tu Kab tak Yu hi lubhaate rahega....
Haqiqat tujhse itni dur hai tu Kab tak unhe paas bulaate rahega...
Jindagi mein maana Umeed jaruri hai...
Lekin Kab tak tu joothe aaas bhandaate rahega....!!

Paaney ki Aas mein,

Paaney ki Aas mein,
jyada kuch naa gawaana...

Thodi si Khushi ke khaatir...
Jyada aanshu naa Bahana..

Ravivaar ke intejaar mein....
Pure hafte ko please naa sadana....!!

Andaaj hai sabka Apna Apna..

Andaaj hai sabka Apna Apna..
Magar is chakkar mein kisi ko najarandaaj naa karna....

Ahmiyat hai sab chijo ki bade ya chote hi Sahi...
Bade ke liye choto ka uphaas naa karna....

Dikaawe ki Jindagi ho ya jooth ka mukhauta....
Sach ki sachai ko barbaad naa karna....

Waqt naa ruka hai naa rukega..
Tum bhi badlo magar apne aap ko apne saath hi rakhna..

Laksya ho kitna bhi mushkil Aur dur hi Kyu nahi...
Apne hausle Aur himmat ko apne paas hi rakhna..!!!!!

Log kahte hai ki ..Har choti moti baat pe Yu naa sikhwa Kia karo,

Log kahte hai ki ..Har choti moti baat pe Yu naa sikhwa Kia karo,
Har Kisi ko Kami hoti hai thodi bahut so sah lia karo..

Magar baat ke badh jaane ka intejaar naa kia karo....
Harbadi mein hoti hai gadbadi iska bhi khyal kia karo....

Yu mauke mana har roz aatey nahi khatkhataane darwaaja....
Par mauko ki talaash tum phir bhi kia karo...

Lakshya naa Mila aaj to kya hua....
Haar bhi jivan ka hissa hai,uspe naa tum apsosh kia karo....

Palo ka kya hai aatey Aur jaatey rahenge...

Palo ka kya hai aatey Aur jaatey rahenge... 
Kabhi hasaate to Kabhi rulaate rahenge.... 

Hum Kitne bhi aagey Kyu naa bhad jaaye...
beetey huye pal humey wapas bulaate hi rahenge...

Humko ruk ruk kar chalwaate hi rahenge...
Logo se milwatte Aur bhichadwaatey rahenge , 

Dastaan Aur kahania sunaatey Aur likhwaatey rahenge .

Pal ko samete to samete kaise ??
Kyu ki Ye to chalte hi rahenge,
Badalte mausam ke saath Badalte rahenge....

Apne sapne hai ...unhe dusro ko behkaawe mein naa sadne do...

Apne sapne hai ...unhe dusro ko behkaawe mein naa sadne do...

Suno unki baatein...khud apne ko apne sapno ko samajhne do...

Aankhein khuli ho Yaaa mand....ya band......
Sapno ko aankhoien mein bhar ke sone do.. 

Patang ki tarah...patli si dor pe hi Sahi....mast bahne do.. 

Panchio ki tarah ....asmaan se baatein karne do..

Khushi ke Pankh laga kar sapno ko udne do..

Sapno ko udne do ...
Mat roko mat toko ...

Sapno ko khuli hawa me behne do...
Sapno ko udne do...

saare sapno ko taaq pe sajaa rakha tha...

saare sapno ko taaq pe sajaa rakha tha...
planning gayi bhaad mein, jindagi ko itefaaq bana rakha tha... 
naa jaane kya intezaar tha hone kaa.... 
aaney waale pal pe najre tikakar... aaj ka majaak bana rakha thaa... 

hasne ke bahaane to bahut the.... 
magar naa jaane kyu, bura haal bana rakha tha.... !!!!

Thursday, September 05, 2013

bheed thi naa jaane kitne risto ki....

bheed thi naa jaane kitne risto ki.... 
aur dosti naa jaane kaha chip si gayi...
bhaaga daudi waali jindagi mein ... 
dosti ki raftaar naa jaane kyu tham si gayi.... 

ruk sa gaya wo anginat baatoein ka silsila.... 
najar lag gayi kisi ki... yaa raasta bhatak si gayi.... 
dosti naa jaane kyu bheed mein gum si ho gayi.... 
bhadi dopaharia mein raat ki tarah so gayi....

naa haal chaal lene ki sudh rahi...
sikurte jaa rahe sabdo mein simat si gayi dosti....
samay badla ... sadia beeti....
par dost nahi badla to kyu badli dosti ....

pahle main kyu ke chakkar mein...
sadia beetati gayi dosti...
apno ke hi beech mein sharmaati gayi dosti...
naa jaane kiske sankoch mein....
naa jaane kaun se akroshh mein....
sabdo ke abhaav mein....
ya samay ke dabaav mein....
khud se ruthte chali gayi dosti...
par ruthe huye ko manane naa aa saki dosti
kuch naa kuch bahane banati chali gayi dosti!!

(har galli kuche mein dost mila nai karte...
har milne waale ko dost kaha nahi karte...)

ulazhte pahluo mein bin uljhe, sulzhaao ge kaise,

ulazhte pahluo mein bin uljhe, sulzhaao ge kaise, 
atkale lagakar, nuskhe apnakar, dur tak jaaogey kaise.... 
pahelia kitaabo aur kahani mein achi bhale dikhe..
par haqiqat ki kahani koi kahe to kahe kaise.... 

dur ke dhol suhane lagte hai... 
paas jaane par apne sapne bhi begaane lagte hai... 
has ke nibh jaati hai jindagi to haste chal.... 
warna rone ke bahane to banane nahi padte hai....

talaash manjil ki... ya raaste ki....

talaash manjil ki... ya raaste ki.... 
ya bhatakte huye kadamo ki.... 
talaash aaney waale kal ki ... ya beete huye pal ki.... 
talaash...khushi ke aaney ki ...ya gam ko bhagaane ki... 
khul kar khilkhilaane ki ,yaa, jara si muskarane ki....

just to walk along,

just to walk along,
varied the speed but to no heed, 
just to match the style, 
changed for a while, to get a tiny glimse of smile..
but strangely no heed.. 

life has its own tantrums, own rhythms,
but what about someone who has come up with his own terms.
someone not ready to play just drums..
some one who when in tension try chewing gums..!!

change may be inevitable, change may be need of hour,
but one cannot keep changing for ever....!!

taalne ki adat naa jaane kab jayegi,

taalne ki adat naa jaane kab jayegi,
aaj ka kaam kal pe, kal ka parso pe, 
aaney waale pal ko mushkil banayegi..
phir kabhi kar lenge, lekin akhir kab tak?? 
ye bahane hi aaj nahi to kal satayegi...
lamho ki ahmiyat bheje ko kab samajh aayegi..
taalne ki adat naa jaane kab jayegi!

bhule bisre waqt ki yaad to bahut aayegi.
aaney waale waqt ki chinta sir ghumayegi..
par naa jaane ye taalne ki adat kab jaayegi!

(Time is a chariot with no reverse gears! its most precious thing!everything has its own time, so lets hope of catching up with the time.)

log kahte hai::jo hona hai wahi hota hai...

log kahte hai::jo hona hai wahi hota hai...
lekin Koshish karne mein harz hi kya hai...

manjil mana mushkil hai...
raaste kathin aur dur hai... 
koshish karne mein bhala harz hi kya hai...

manjil khud to chal ke aayegi nahi raahi tak... 
tab raahi to manjil tak chalne mein harz hi kya hai... !!

kal ek nayi subah aayegi..

kal ek nayi subah aayegi..
ek nayi umeed ke saath naya utsaah liye aayegi... 
taajgi ke saath apne manjil pe badne ke liye..
ek adbhut sahas aur ikchashakti diye jaayegi... 

naa jaane wo subah kab aayegi.... 
par itna jarur hai ki wo jald aur jarur aayegi...

waqt ki kami ki duhaayi har koi diye firta hai...

waqt ki kami ki duhaayi har koi diye firta hai... 
naa jaane uski bharpaayi kaun kiye firta hai.... 
bahaane ki kami aisey hi nahi hai... 
phir naa jaane kyu banate firte hai.... 

kami koi naa koi kisme nahi hoti... 
phir bhi naa jaane kyu kamjori chipaaye firta hai... !!!
waqt ki kami ki duhaayi har koi diye firta hai...

Friday, June 14, 2013

raaste naa jaane kitne hi kyu naa honge...

raaste naa jaane kitne hi kyu naa honge... 
lekin chalna to mujhe ek pe hai.... 
manjil maana dur hi kyu naa honge .... 
maana halke ya jyada thake huye bhi honge.... 
to kya hua, badna to mujhe theek se hai....
chanchalta mein dube bhale kyu naa honge... 
lekin rehna to mujhe theek se hai... 
mushkilo se raaste bharpoor bhale honge... 
magar dhandhas(himmat) bhandna mujhe theek se hai...
hasi aur khushi ke mauko bhi anek honge...
hasna mujhe khub jor se hai...
dukh ke badal agar chaatey ya aatey bhi honge...
to dara ke bhagana unhe khub jor se hai...

raaste naa jaane kitne hi kyu naa honge...
lekin chalna to mujhe ke pe hai.....

itna shor yu hai

itna shor yu hai ... ki khud ki awaaj halki sunaayi deti hai..
itna kohra kyu hai.... khud ki tasveer dhundli dikhaayi deti hai...
manjil itni dur kyu hai .... ki safar lambi dikhaayi deti hai... 
kahne to bahut kuch hai... par awaaj kaha sunaayi deti hai.... 
bunne ko to khwab bahut hai... par pura karle ye umeed kaha dikhayi deti hai...

yuhi chalte chalte...



yuhi chalte chalte... 
naa jaane kab badal gaye raaste...
naa jaane kis ke vaaste...
yuhi chalte chalaate... 
yuhi milte milaate.... 
humrahi badal gaye ...
naa jaane kab murte muraate... 
haste rulaate... 
rukte rukaate...
sunte sunaate...
gaatey gawaatey...

naa jaane kab se chal rahe hai ...wo bhi rukte rukaate...
and kaun si manjil ke vaaste!!!

Saturday, June 08, 2013

ishaare bolti hai....

ishaare bolti hai.... 
sabdo se jyada ya kam ye to pata nahi... 
par ishaare bolti hai.... 
jara gaur kijiega....
busy kitna bhi ho... magar ignore mat kijiyega.... 
ishaare bolti hai.... 

ankhoien se kah dene ki kala sab mein nahi...
to samjhle har koi aisa bhi to nahi...
lekin koshish karne mein bhi to koi harz nahi...
ishaare bolti hai...
jara dhyan dijiyega...

sabd ke abhaav mein badi kaam aati hai...
ishaarein bin kahe bahut kuch kah jaati hai...
waqt ki kami ko bhi dur bhagati hai...
mukhauto se parda uthaati hai...
sach kahoo.... ishaare bolti hai...

sabdo se jyada ya kam ye to pata nahi...
par ishaare bolti hai... !!!!!

khayalo ke sahaare hi...

khayalo ke sahaare hi... 
galio ke kinaare hi.... 
milte bhichadte hai log bhi... 
kabhi kahi kabhi kahi....

lagta hai aisa hi... 
pata nahi... 
kya galat kahi... 
kya sahi.... !!!!

Friday, June 07, 2013

galtia karne par har baar sochta hun...

galtia karne par har baar sochta hun... 
kal sudhar jaayenge.... 
ye galtia ek baar huyi isey dobara to hargij naa dohraayenge... 
par naa jaane wo kal kab aayenge... 
naa jaane kab hum sudhar paaayenge.... !!!
ya yuhi taalte taalte sadio lag jaayenge... !!!
adat hai itni jaldi thode naa badal paayenge... !!!
phir kal sayad waaisey hi galtia dohraayenge... 
bahane roj roj nayi kaha se laayenge...
apne ko badalne ki taqat nahi... waqt aur alam ko kya khaak badal paayenge... !!!
umeed ki kiran thodi si kal par tiki hai...
hope wo kahi bhi chupa ho.... usey dhoond kar jarur layenge... !!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...