Tuesday, March 29, 2022

Aajkal bachpan Wala itwaar nahi aaata..

uhi...

Aajkal bachpan Wala itwaar nahi aaata..
Shayad isliye kyunki Sukoon liye Sukrawaar nahi aata!!
Pahle toh samajh jaatey the Ishaare bhi Akshar..
Naa jaane aajkal chillane pe bhi samajh nahi aata!!
Dur se dekhne mein toh manmohak lagta hai..
Paas aaney pe raas nahi aata!!
Bheed toh bahut hai bazaaro mein..
Lekin raunake mehfilo mein Kuch khaas nahi aata!
Options ki list toh lambi huyi..
lekin decide kaise Kare kya karna hai.. ye samajh nahi aata..!!
Busy busy bante bante ..
Apne liye waqt kaise nikaale ye nazar nahi aata!!
Wo itwaar jo beetta tha sukoon se kabhi..
Usey ajkal itminaan se thaharna nahi aata!!
Badla waqt nahi.. shayad badle hai hum..
Ye samajhna kitna jaruri hai,ye samajh nahi aata!!
Naa toh Ravivar ka us kadar intezaar rehta hai..
Naa man planning kar taiyaar rehta hai..
Usey bhi baaki din ki tarah tiriskaar karta hai..
Phir uska uphaas kar timepass karta hai.. !!
Apeksha toh bahut kar leta hai.. par Kaha Kuch kar paata hai!!
Phir dhudne wo Bachpan ka itwaar lag jaata hai..!!

Kuch baatein naa jaane kyu hoti hai.

 Kuch baatein naa jaane kyu hoti hai..!!hum Kaaran janane ki koshish karte rahte hai .. !!Atkale lagaatey rahte hai.. but guess can be guess only..!!

Ek Panchi …..
kone mein baitha muskura raha tha..
Naa jaane kis baat pe itra raha tha..
Yaa kya pata kisi dard ko chupa raha tha..
Udna toh chahta tha..
Magar shayad Ghabra raha tha…
Kahi jana tha usey shayad.. isliye harbada raha tha…
Meri taraf dekh kar.. kuch samjha raha tha..
Shayad apni ulzhane sulzha raha tha..
Ya kya pata apni bata raha tha..
Yaa shayad koi gana gunguna raha tha..
Ishaaroein hi ishaaroein mein ..
Naa jaane kya gapiyaa raha tha..!!
Tuktuk dekhta raha wo..
Aur aankhein timtimata raha..
Lagta hai aankh Michauli khel kar..
Atmiyata(dosti) bada raha tha…
Naa jaane kyu…!!
Ud rahe the Panchi bahut idher udher..
Tez Hawaayein bhi chali.. patte bhi ude..
Magar morcha sambhala raha wo..
Shayad paas mein Ghosla banana tha ussey..
Toh shayad apne Padosi ko aajma raha tha..
Naa jaane kyu..!!
Maine bhrikuti chadaayi..
Nakli Gussa dikhaaya..
Magar ud jaane ke bajaaye..
Thoda paas aata gaya..
Naa jaane kyu…!!
Thoda alag toh laga mujhko…
Naa jaane kyu…!!
There can be innumerable times when we don’t know the reason or motive.. but let’s enjoy the fact and let the reason dissolve..!!

Sunday, June 20, 2021

Tasveer banata chal..



Bas uhi…


Tasveere bayaan karti hai dastaan apni..

Jaisa bhi bane tu tasveer banata chal..!!


Rang bhar dete hai zajbaat apni..

Tu rang ko bikherta chal!!


Bun bun ke khwab apne man ki..

Sanjo kar banata chal..!!


Kaale,neele,hare,peele etc sab ki sun..

Apni man ki bhi karata chal..!!


Hai raahi tu aur raah ka kya pata..

Jis mod le jaaye zindagi muskurata chal..!!


Badi tasveer ho ya choti..,

Tu sabki ahmiyat banata chal!!

Man ke bhed bhav mitata chal..

Apne dar ko dur bhagata chal..!!


Sabko apna banata chal!!

Sunday, July 28, 2019

Ek dhalti huyi shaam...

Just some lines by me::

Ek Dhalti huyi shaam se roshani ki aas lagaye baitha tha..

Suraj se naraaz hokar,chaand pe Nazre gadaaye baitha tha..

Aham tha ya pata nahi gila Shikwa.. apno se dur gairo ke beech.. Mehfil jamaaye baitha tha..

Khud ko Bhulkar.. chahre pe mukhaute lagaye baitha tha..!!

Naa jaane jaana Kaha tha..
Naa jaane manjil Kaha tha..
Naa Jaane man mein kya tha..
Man se nazre churaaye baitha tha..

Ek dhalti huyi shaam se.. roshani ki aas lagaaye baitha tha!!

Just a few lines more to add on::

Shaam hai to kya hua..
Raat Abhi baaki hai..
Sapno mein der sahi..
Par tamanao mein jaan bhi baaki hai..!!

Subah mein Abhi der hai..
Chand bhi apna sher hai..
Dil se Hum bhi diler hai..
Sapno mein Hausla to .. baaki dar sab dher hai..

Aas aur umeed pe tiki huyi hai dunia..
Badh chalenge hum saath mein sabke Banaate apni hastiya!!

Kya Rakhu ..kya ishtemaal karu..

Uhi..
After a long time .. some lines by me..

Tarkash mein teer kam hai..
Kya Rakhu.. kya istemaal karu...
Yaadoein ki potli mein..
Kya Bhulu aur kya yaad karu...

Chalna hai dur aur manjil kya pata hai Kaha..
Chalu thodi aur ya vishraam karu..
Pal mein badalti zindagi ko..
Badalne du.. ya fir khud ko badalne ka intezaam karu...!!

Sunhare kal ki talaash mein Bhatku..
Yaa fir aaj ko paane ki raah chalu..
Bheed mein dhundoo pehchaan ..
Yaa fir khud ki talaash karu...

Tarkash mein teer kam hai...
Kya rakhu.. kya istemaal karu!!!!!

(There is sometimes confusion over whether to live in totality today or to save for things in future..choosing among the options is difficult decision making)

Saturday, February 17, 2018

matar ke daane







matar ke daane.....

nanhe gol gol se...
hare, piley, niley se....
matar ke daane....

chil chil kar chilke se....
bhar rahe the topiyaaa...
muthi bhar bhar ke khaane mein lagey the....
matar ke daane.....

yaad dilaatey bachpan ki anginat kahania...
ye matar ke daane....

Wo subah subah jaldi uthna....
aur sabji mandi pahuchna....

bhar bhar jhola matar ke kharidna....
aur phir sara ghar baith kar usey chilna....
bhar jaatey the aagan....
tahaako se logo ke...
bartan bhar jaatey the matar ke daano se....

bache khelte kudte kha jaatey the ye matar ke daane...
kuch toh meethe the....
kuch thode soft toh kuch thode sakht....
par mil kar dikhte the sab ek hi rang....

matar ke daane...
hai toh ek tarah ke khaane....
lajwaab pakwaan bana dete hai ye matar ke daane...
Matar ke kachaudi, matar ki sabji...wegarah....

chilko mein samite hai daane....
matar ke daane....


Tuesday, February 13, 2018

udte panchi....



man karta hai ud jaaooo...
in panchio ki tarah....
pankh faila kar....
dekhne ye sundar jahaaa...

man karta hai ud jaaao....
saer sapaatey dur paas ke kar aao...
dosto aur parivaar sabse pal bhar mein mil aaao.....

khuli hawa mein uhi chalte chalte....
hawa ke jhoko mein mast behte bahte....
























chinta ko piche chod kar.....
pechide mor ko piche chod kar....
man karta hai ud jaao....


suraj ki roshani se prerit hokar....
jhoond apni apne saath liye....
man karta hai ud jaaao.... !!!

raasta naa bhataku....
naa hi main kamjor pad jau....!!!
man karta hai bina dare ud jaaao.... !!

khushio ki chaah mein....
angina sapno ke bahaav mein....
kuch acha paaney ki aas mein...
ud jaau.... !!!



yuhi....

yuhi....

bas uhi....

jindagi ki udherbun....mein likhna bhul gaya .....
dil ke jajbaat chip gaye kisi kone mein.... shayad isliye kehna bhul gaya....
auro ki jindagi mein jhaakte jhaakte.... apni jindagi ke maine bhul gaya....
manjil pe dhyaan sambhaalte sambhaalte .... raasta bhul gaya.... !!!


uhi....

dusro se sawaal karte karte.... apne jawaab bhul gaya....
apni adatoein ke kayal hokar.... apni chaal bhul gaya....
naa jaaney kya yaad rah gaya.... naa jaane kya bhul gaya.....
waqt badala, lihaaj  badla.... par mijaj badalna bhul gaya....

uhi.... bas uhi....

itefaaq ke bharose chod rakhi thi jindagi....
ussey haqiqat ne bhula dia....

ud gaye panchi...
ud gaye saathi....
waqt bhi kaphi badh chala.....
kaphile ke saath mein.... ek naye andaaj mein....
bheed se hokar juda....
magar bheed ke saath chal chal kar.... akela chalna bhul gaya....!!


kuch baatein bin kaaran ke ache lagte hai....
sache log... bahut ache lagte hai....
bhul jaaye wo apne path se koi... to kya kar lega koi....
uhiiii.....uhiiii.....uhiii!!!



Saturday, July 01, 2017

dil toh chahta hai ki hamesha muskuraate rahe

Dil to chahta hai ki hamesha muskuraate rahe....
par Zindagi mauka kam deti hai kya karey....

man to karta hai thaam le sunhare palo ko....
par Pal rukne kaa naam Na le to kya karey.....

Jindagi maana ek rangmanch hai aur hum katputlia...
par hum apne kirdaar naa samajh paaye toh kya karey......

Kahte hai Bhagwaan har jagah hotey hai....
Humney dhundne ki koshish naa ki toh wo kya karey!!!

Aaj ghausle mein mehmaan aaye the.....

aaaj ghausle mein mehmaan aaye the....

saath apne naye umeed aur tarang laaye the....

shaam hotey hi ud chale wo apna basera....

has lo jitna bhi man ho bhale ho raat ya savera.....

laut ke panchi Ghar ko aayenge.....!!!

har pal sab muskuraayenge!!!!!

waqt ke lihaaz se thodi der ho rahi thi

Waqt ke lihaaz se thodi der ho rahi thi...
chaand bhi taro ke beech maano apne dost dhund rahi thi....

suraj bhi bada bekraar tha nikal ke aane ke liye.....

par sham dhal gayi jaldi toh raat bhi jaldi dhal jaaye  aisa jaruri thode naa hai....
jab akhein meeche neend aaye aisa jaruri thode naa hai....

par subah honey par office to jaana hi hoga....
haazri auro ki tarah bhi lagaana toh hoga...!!!


chaand se kahenge ache se muskuraaye.....
taare se kahenge jee bhar ke timtimaaye.....
suraj se kahenge itni jaldi kya hai...haule haule aaye....
sapno ko kahenge ki sab ke sab purey ho jaaye....!!!

Thursday, December 10, 2015

kahi naa hona sayad ek sachhaayi hai

Kahi naa Hona sayad Ek sachaayi hai...
Usi pal kahi aur Hona I guess uski bharpaayi hai...
Subhah ki roshani mein Bhale hi Suraj ki najakat hai...
Raat mein to Chand aur taaro mein bhi apni Alag Chamak hai...
So ghabraane kaa nahi and sharmaane Ka nahi...
Kyunki jindagi ke jeene ka Andaj Sabka Alag hai...
So live the way u want n how u want...

Sunday, December 06, 2015

main aur meri adatein!!

main aur meri adatein..
aksar mujhse pareshaan rahti hai...
har ugte huye suraj ke baad dhalti shaam rahti hai...
jeevan mein arzoo bhi waqt ke gulaam rahti hai...
main aur meri adatein,,,,
aksar mujhse pareshaan rahti hai...!!

hichkia jab bhi aati hai

hichkia jab bhi aati hai...
yaad ki apni mithaas liye aati hai..!
acha lagta hai sochkar ki...
Koi to apna Kahi yaad Kar raha hai.!
bahane bhale Koi bhi ho..
apne Ko Yaad Kar sayad waqt bita raha hai!!!

Friday, October 23, 2015

tasveer dhundli ho jaaye to chalega...

tasveer dhundli ho jaaye to chalega...
sunhari yaadein tazaa rahni chahiye....
raasta agar bhul jaaye to chalega....
........thodi der hi sahi ..manjil mil jaani chahiye...
waqt ke darmiyaan bandh si jaaye jindagi to chalega...
jindagi sulazhi rahni chahiye aur kya.....!!!
thodi kathinaayi aaa bhi jaaye to chalega...
chahre pe muskurahat aur jindagi mein raunak rahni chahiye!!

Friday, August 07, 2015

dosti har rishte Mein hoti hai..

dosti har rishte Mein hoti hai..
dosti maa-paa ke pyaar Mein..
dosti bhai- behan ke dulaar mein..
dosti hoti hai pyaar ke jajbaat hai..
dosti rishte ki mithaas hoti hai..
Dosti chahre ki bhini muskaan hoti hai....
dosti hoti hai ugte Huye suraj aur dhalti huyi shaam Mein...
dosti hoti hai shorsharaabe ya gumshum ishaaroein Mein...
dosti hoti hai bhav aur ehsaas Mein....
dar lagta hai ki Kahi bheed Mein gum naa ho jaaye dosti...
dar lagta hai ki Kahi mehgaayi Mein bik naa jaaye dosti....
dar lagta hai Kahi behaawe aur dikhaawe Mein...sarpat bhaagti dunia Mein badal naa jaaye dosti...
magar dar ke aagey jeetati aayi hai dosti...
sabka hausla badati aayi hai dosti.!
hasi Mein hasati n gum Mein dhandhus badati aayi hai dosti..!!
bas uhi muskuraate rahe mere dost...
yahi dua hai ki sada salamat rahe mere dost...!!!
happy friendship day!!n thanks a lot for being there!!

sapno Ko sambhal kar rakhe

sapno Ko sambhal kar rakhe,Kal kismat ajmaane ke liye.....
ya koshisho pe lag jaaye aaj hi unhe Pura kar dikhaane ke liye....
waqt ke hausle to buland hai...
har pal naya kuch samjhaane ke liye....
aur mahaul kaisa bhi ho...
apne lagey rahte hai utsaah badaane ke liye....!!!

Thursday, July 30, 2015

just a few lines yuhi(on ca day)

just a few lines yuhi 
(on ca day)

dil ke kareeb tu hai...
kewal mere nahi..
tere kadradan kewal main nahi...
Aur bhi hai....
tu hi hai rasta aur manjil bhi tu..
jindagi Mein pehchaan bhi tu.
kitno ka Abhimaan aur Shaan bhi tu!!
Kathin hai tere Raaste..
dagmaga jaatey hai kadam...
sambhal Kar rakhna padta hai...
soch ke har ApNA agla kadam...
subjects bahut hai to kya...
results thode tough hai to kya..
himmat Aur hausla bhi to kam nahi.
paa jaayenge manjil Ko hai itna yakeen...!!
lekha Aur jhokha ya ho Koi hisaab..
janta hun nipta Denge tere Bache Apne aap....!!
course to bahut ache hai aur unme se tum bhi ho.!!
safalta ki sidiyo ki kunji tum bhi ho...
kisi seth ki kamayi huyi punji tum hi ho...!!
balance sheet ho ya pl bana dete hai...
uljhano Ko suna hai suljha dete hai...
meetings Mein sabko hasa dete hai...
returns aur tax ke issues satka(solve)Kara dete hai...
Kaam ke hai bande....mauke ke hisaab se dhal jaatey hai..
CA waale bheed Mein bhi special najar aatey hai.....
cpt ho ya ipcc ya foundation ya pe 2 ya Final kuch bhi ho...!!
may ya novemBer ya kuch bhi ho!!
accounts,tax,Mafa,cost,it kuch bhi ho....!!
hausla rakhna to sikha dogey hi tum...
kuch Naa Kuch to banWA dogey tum!!
CA is so closely attached to the life of people associated with it..its special...kudOs to all those setting such high n nice standards,we have a long way to go n hope the progress goes up n we all keep shining n smiling!!

tasveer kichaane ke liye hi muskuraatey ho....

tasveer kichaane ke liye hi muskuraatey ho....
ya Sach Mein khushi ka ijhaar hai...!
kya ye khushi ka ehsaas hai....?
ya gum Ko chupaane ka adhbut prayas hai...
ya dikhaawa hai n bakwaas hai..!!
harkate choti moti ho ya ho bahut badi....
jeevan ke pahluo Mein har pal likhta ehsaas hai...
maano to Sab Sach hai...
naa maano to jhooth aur bakwaas hai...!!

dekhne ka najaria hi nahi.....

dekhne ka najaria hi nahi.....
aaine bhi badal rahe hai....!!
mukhaute lagaate lagaate...
badalte waqt pe ilzaam lagaate lagaate.....
khud bhi badal rahe hai.....!!!
haar ka gum hai to koi baat nahi..
par dusro ke jeet se Kyu jal Rahe hai....!!
khud Kare to sab sahi....
lekin dusre Ki wahi chij Ko kyu Galat kah rahe hai...!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...