Tuesday, February 13, 2018

udte panchi....



man karta hai ud jaaooo...
in panchio ki tarah....
pankh faila kar....
dekhne ye sundar jahaaa...

man karta hai ud jaaao....
saer sapaatey dur paas ke kar aao...
dosto aur parivaar sabse pal bhar mein mil aaao.....

khuli hawa mein uhi chalte chalte....
hawa ke jhoko mein mast behte bahte....
























chinta ko piche chod kar.....
pechide mor ko piche chod kar....
man karta hai ud jaao....


suraj ki roshani se prerit hokar....
jhoond apni apne saath liye....
man karta hai ud jaaao.... !!!

raasta naa bhataku....
naa hi main kamjor pad jau....!!!
man karta hai bina dare ud jaaao.... !!

khushio ki chaah mein....
angina sapno ke bahaav mein....
kuch acha paaney ki aas mein...
ud jaau.... !!!



yuhi....

yuhi....

bas uhi....

jindagi ki udherbun....mein likhna bhul gaya .....
dil ke jajbaat chip gaye kisi kone mein.... shayad isliye kehna bhul gaya....
auro ki jindagi mein jhaakte jhaakte.... apni jindagi ke maine bhul gaya....
manjil pe dhyaan sambhaalte sambhaalte .... raasta bhul gaya.... !!!


uhi....

dusro se sawaal karte karte.... apne jawaab bhul gaya....
apni adatoein ke kayal hokar.... apni chaal bhul gaya....
naa jaaney kya yaad rah gaya.... naa jaane kya bhul gaya.....
waqt badala, lihaaj  badla.... par mijaj badalna bhul gaya....

uhi.... bas uhi....

itefaaq ke bharose chod rakhi thi jindagi....
ussey haqiqat ne bhula dia....

ud gaye panchi...
ud gaye saathi....
waqt bhi kaphi badh chala.....
kaphile ke saath mein.... ek naye andaaj mein....
bheed se hokar juda....
magar bheed ke saath chal chal kar.... akela chalna bhul gaya....!!


kuch baatein bin kaaran ke ache lagte hai....
sache log... bahut ache lagte hai....
bhul jaaye wo apne path se koi... to kya kar lega koi....
uhiiii.....uhiiii.....uhiii!!!



Saturday, July 01, 2017

dil toh chahta hai ki hamesha muskuraate rahe

Dil to chahta hai ki hamesha muskuraate rahe....
par Zindagi mauka kam deti hai kya karey....

man to karta hai thaam le sunhare palo ko....
par Pal rukne kaa naam Na le to kya karey.....

Jindagi maana ek rangmanch hai aur hum katputlia...
par hum apne kirdaar naa samajh paaye toh kya karey......

Kahte hai Bhagwaan har jagah hotey hai....
Humney dhundne ki koshish naa ki toh wo kya karey!!!

Aaj ghausle mein mehmaan aaye the.....

aaaj ghausle mein mehmaan aaye the....

saath apne naye umeed aur tarang laaye the....

shaam hotey hi ud chale wo apna basera....

has lo jitna bhi man ho bhale ho raat ya savera.....

laut ke panchi Ghar ko aayenge.....!!!

har pal sab muskuraayenge!!!!!

waqt ke lihaaz se thodi der ho rahi thi

Waqt ke lihaaz se thodi der ho rahi thi...
chaand bhi taro ke beech maano apne dost dhund rahi thi....

suraj bhi bada bekraar tha nikal ke aane ke liye.....

par sham dhal gayi jaldi toh raat bhi jaldi dhal jaaye  aisa jaruri thode naa hai....
jab akhein meeche neend aaye aisa jaruri thode naa hai....

par subah honey par office to jaana hi hoga....
haazri auro ki tarah bhi lagaana toh hoga...!!!


chaand se kahenge ache se muskuraaye.....
taare se kahenge jee bhar ke timtimaaye.....
suraj se kahenge itni jaldi kya hai...haule haule aaye....
sapno ko kahenge ki sab ke sab purey ho jaaye....!!!

Thursday, December 10, 2015

kahi naa hona sayad ek sachhaayi hai

Kahi naa Hona sayad Ek sachaayi hai...
Usi pal kahi aur Hona I guess uski bharpaayi hai...
Subhah ki roshani mein Bhale hi Suraj ki najakat hai...
Raat mein to Chand aur taaro mein bhi apni Alag Chamak hai...
So ghabraane kaa nahi and sharmaane Ka nahi...
Kyunki jindagi ke jeene ka Andaj Sabka Alag hai...
So live the way u want n how u want...

Sunday, December 06, 2015

main aur meri adatein!!

main aur meri adatein..
aksar mujhse pareshaan rahti hai...
har ugte huye suraj ke baad dhalti shaam rahti hai...
jeevan mein arzoo bhi waqt ke gulaam rahti hai...
main aur meri adatein,,,,
aksar mujhse pareshaan rahti hai...!!

hichkia jab bhi aati hai

hichkia jab bhi aati hai...
yaad ki apni mithaas liye aati hai..!
acha lagta hai sochkar ki...
Koi to apna Kahi yaad Kar raha hai.!
bahane bhale Koi bhi ho..
apne Ko Yaad Kar sayad waqt bita raha hai!!!

Friday, October 23, 2015

tasveer dhundli ho jaaye to chalega...

tasveer dhundli ho jaaye to chalega...
sunhari yaadein tazaa rahni chahiye....
raasta agar bhul jaaye to chalega....
........thodi der hi sahi ..manjil mil jaani chahiye...
waqt ke darmiyaan bandh si jaaye jindagi to chalega...
jindagi sulazhi rahni chahiye aur kya.....!!!
thodi kathinaayi aaa bhi jaaye to chalega...
chahre pe muskurahat aur jindagi mein raunak rahni chahiye!!

Friday, August 07, 2015

dosti har rishte Mein hoti hai..

dosti har rishte Mein hoti hai..
dosti maa-paa ke pyaar Mein..
dosti bhai- behan ke dulaar mein..
dosti hoti hai pyaar ke jajbaat hai..
dosti rishte ki mithaas hoti hai..
Dosti chahre ki bhini muskaan hoti hai....
dosti hoti hai ugte Huye suraj aur dhalti huyi shaam Mein...
dosti hoti hai shorsharaabe ya gumshum ishaaroein Mein...
dosti hoti hai bhav aur ehsaas Mein....
dar lagta hai ki Kahi bheed Mein gum naa ho jaaye dosti...
dar lagta hai ki Kahi mehgaayi Mein bik naa jaaye dosti....
dar lagta hai Kahi behaawe aur dikhaawe Mein...sarpat bhaagti dunia Mein badal naa jaaye dosti...
magar dar ke aagey jeetati aayi hai dosti...
sabka hausla badati aayi hai dosti.!
hasi Mein hasati n gum Mein dhandhus badati aayi hai dosti..!!
bas uhi muskuraate rahe mere dost...
yahi dua hai ki sada salamat rahe mere dost...!!!
happy friendship day!!n thanks a lot for being there!!

sapno Ko sambhal kar rakhe

sapno Ko sambhal kar rakhe,Kal kismat ajmaane ke liye.....
ya koshisho pe lag jaaye aaj hi unhe Pura kar dikhaane ke liye....
waqt ke hausle to buland hai...
har pal naya kuch samjhaane ke liye....
aur mahaul kaisa bhi ho...
apne lagey rahte hai utsaah badaane ke liye....!!!

Thursday, July 30, 2015

just a few lines yuhi(on ca day)

just a few lines yuhi 
(on ca day)

dil ke kareeb tu hai...
kewal mere nahi..
tere kadradan kewal main nahi...
Aur bhi hai....
tu hi hai rasta aur manjil bhi tu..
jindagi Mein pehchaan bhi tu.
kitno ka Abhimaan aur Shaan bhi tu!!
Kathin hai tere Raaste..
dagmaga jaatey hai kadam...
sambhal Kar rakhna padta hai...
soch ke har ApNA agla kadam...
subjects bahut hai to kya...
results thode tough hai to kya..
himmat Aur hausla bhi to kam nahi.
paa jaayenge manjil Ko hai itna yakeen...!!
lekha Aur jhokha ya ho Koi hisaab..
janta hun nipta Denge tere Bache Apne aap....!!
course to bahut ache hai aur unme se tum bhi ho.!!
safalta ki sidiyo ki kunji tum bhi ho...
kisi seth ki kamayi huyi punji tum hi ho...!!
balance sheet ho ya pl bana dete hai...
uljhano Ko suna hai suljha dete hai...
meetings Mein sabko hasa dete hai...
returns aur tax ke issues satka(solve)Kara dete hai...
Kaam ke hai bande....mauke ke hisaab se dhal jaatey hai..
CA waale bheed Mein bhi special najar aatey hai.....
cpt ho ya ipcc ya foundation ya pe 2 ya Final kuch bhi ho...!!
may ya novemBer ya kuch bhi ho!!
accounts,tax,Mafa,cost,it kuch bhi ho....!!
hausla rakhna to sikha dogey hi tum...
kuch Naa Kuch to banWA dogey tum!!
CA is so closely attached to the life of people associated with it..its special...kudOs to all those setting such high n nice standards,we have a long way to go n hope the progress goes up n we all keep shining n smiling!!

tasveer kichaane ke liye hi muskuraatey ho....

tasveer kichaane ke liye hi muskuraatey ho....
ya Sach Mein khushi ka ijhaar hai...!
kya ye khushi ka ehsaas hai....?
ya gum Ko chupaane ka adhbut prayas hai...
ya dikhaawa hai n bakwaas hai..!!
harkate choti moti ho ya ho bahut badi....
jeevan ke pahluo Mein har pal likhta ehsaas hai...
maano to Sab Sach hai...
naa maano to jhooth aur bakwaas hai...!!

dekhne ka najaria hi nahi.....

dekhne ka najaria hi nahi.....
aaine bhi badal rahe hai....!!
mukhaute lagaate lagaate...
badalte waqt pe ilzaam lagaate lagaate.....
khud bhi badal rahe hai.....!!!
haar ka gum hai to koi baat nahi..
par dusro ke jeet se Kyu jal Rahe hai....!!
khud Kare to sab sahi....
lekin dusre Ki wahi chij Ko kyu Galat kah rahe hai...!!

Monday, June 15, 2015

adatein bhi naaa...

adatein bhi naaa...
achi adatein jaldi lagti nahi...
buri adatein jaldi hatati nahi...!
adatein bhi humraahi ho jaati hai..
Naa jaane kab jeevan Ka hissa ban jaati hai...!!

Tasveere kah jaati hai kahania anginat...

Tasveere kah jaati hai kahania anginat...
samete huye parchaiya anginat...
naa sabd ... naa hi unke saath bol hotey hai...
par kya kahe kuch tasveere anmol hotey hai...
bhuli bisri yaadoien ki anginat potri liye...
bhaav se vibhor (aur otprot) hotey hai.... !!!
ya u kah le...
tasveere dil ke hi nahi dimaag ke bhi kareeb hotey hai.... !!!

Saturday, May 02, 2015

muskuraane se agar jindagi sundar lagti hai ........

muskuraane se agar jindagi sundar lagti hai ........
toh muskura lo harj kya hai..
geet gaane se agar rahat milti hai........
toh gunguna lo dikkat kya hai....
jindagi koi khel to nahi ki har baar jeetna hi hai....
haar bhi gaye toh jashn and khusiya mana lo harz hi kya hai
thodi mushkile ka samna karne se ...zindagi sawar jaaye....jindagi sudhar jaaye...
iske liye thoda jatan aur mehnat jyada karna pade to harz hi kya hai...!!




Lagta hai bas yuhi waqt gujar jaa raha hai...



Lagta hai bas yuhi waqt gujar jaa raha hai...
N hum uski raftaar samajhte rah jaate hai...
Wo as normal aagey nikal jaata hai...
hum as always piche bhaagte rah jaatey hai...!

Friday, May 01, 2015

Lambi planning ya small baby steps..

Lambi planning ya small baby steps..
Chalo thodi dur to chale aagey jo hoga dekha jaayega...
Waqt kisi ke liye rukta nahi to humaare liye kaun sa rukkar nihaal kar jaaayega....
Taiyaari ya bina soche samjhe aagey kadam kaise badaiyega...
Baith kar sochte rahenge to bas waqt gujar jayega...
Long leaps and small steps both do matter along with planning...

bhale paise kitne bhi kamaale....

Bhale paise hum kitne bhi kamaale...
Ache to hum tabhi lagte hai jab hum muskuraate hai.
udte hai panchi akaash mein bhale hi...
Ghosle mein to panchi bhi chal kar hi jaatey hai..!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...