Saturday, May 03, 2014

main aur meri abhilasha...

Main Aur Meri abhilasha..

Kabhi jhalakti hai asha to kabhi nirasha..

Naa jaane Kitne bol Aur anginat bhasha...

Main Aur Meri abhilasha.

Kabhi suraj ko dubati huyi nisha

Aur phir Umeed ki kiran liye aati usha..

Naa jaane ache jeevan ki kya paribhasha..

Main Aur Meri abhilasha..

Log hai anginat n anginat unki iksha...

Chalna to hai par naa jaane kaun si Disha..

Main se bara hota hai hum Aur humari abhilasha...

Sunday, March 30, 2014

Log Kahte hai naam mein kya rakha hai...

                                             Log Kahte hai naam mein kya rakha hai...


                                                                Ab kya batau??

Ki naam mein maa baap ka laad Aur pyaar chupa rakha hai,
Ki naam mein jeevan ka saar chupa rakha hai...
Ki naam mein sabne Apna pehchaan chupa rakha hai...
Ki naam mein tasveero ka ehsaas chupa rakha hai...


Khush rakhna apne aap ko Aur Roshan karna apne naam ko kyunki sayad naam mein Apno ka naam juda rakha hai.!!!!

Sitaaro se bhi abhi kehna hoga abhi Aur chamke,raat abhi baaki hai....




Sitaaro se bhi abhi kehna hoga abhi Aur chamke,raat abhi baaki hai....
Manjil najdeek hai to kya raah abhi baaki hai....
Jarjar pad rahi sandook mein bhi kuch samaan abhi baaki hai..
Dhundli pad rahi tasveero mein yaad abhi baaki hai...
Kahne to sabd to nahi magar aawaaj abhi baaki hai...!!

Chaand suraj ke dhalne ka intejaar karta hai...



Chaand suraj ke dhalne ka intejaar karta hai...


Khubsoorat to suraj ae jyada hai,magar uske jaise chamakne ki Koshish karta hai...


Raat ka Ghana andhera Aur sannaate mein bhi badalo se ladkar chamakne ki Koshish karta hai...


Anginat timtimaate taaro ke beech bhi khud ko akela nahi mahsus karta hai...

Chale jaaye hum kahi bhi kisi bhi kone mein,humaare saath chalne ki koshish karta hai....

Dur hai koso mil humse lekin phir bhi paas aaney ki koshish karta hai...

Chaand hai hi itna acha usey aisey hi chanda mama thode naa sab kahte phirte hai...

Manjil ki or akele nahi chalte..

Manjil ki or akele nahi chalte..
Chalti hai fizaae humaare saath mein...
Jab akele nahi hai hum...
To phir darna kya choti moti baat mein...!!

Sabdo ke udherbun mein kahi Maine naa Badal jaaye...

Sabdo ke udherbun mein kahi Maine naa Badal jaaye...
Jindagi ke ulatfer ke chalte kahin manjil naa Badal jaaye.

Bahut kuch paane ke chakkar mein,kahi jo hai wo naa kho jaaye...

Dunia badlegi,is badalte daur mein itna naa badale ki apne ko naa pehchaan paaye!!

Mohmaya ke bandhan aksar keech lete hai humey apne or...

Mohmaya ke bandhan aksar keech lete hai humey apne or...
Bhale ho khade hum koi bhi jaane anjaane mor....

Naachta hai man jaise ho koi mor....

Lag raha hai har taraf se naa jaane kitna jor...

Mohmaya ke bandhan kich lete hai humey apne or...

aakh se kuch anshu ke boond chalak gaye to kya.....

aakh se kuch anshu ke boond chalak gaye to kya.....
tum koi kagaj ke phul nahi jo pighal jaayoege.... 

maana jaisa socha tha waisa naa ho paya agar .....
dekhna ye hai ki haqiqat se samjhauta kar paayogey kya...
sambhal kar chalogey ya phislogey.....
sochna ye hai badalte waqt ke saath badal paaoegy kya....
hai tamanna chand tak jaaney ki agar .....
to khayali pulaao banaane se pahuch jaayoegy kya.... ???

Wednesday, November 27, 2013

taaroein ki mehfil kyu naa ho...

taaroein ki mehfil kyu naa ho... 
chaand to phir bhi chamakta hai... 

raat ka andhera ghana kyu naa ho... 
deepak to phir bhi dahakta hai..!!!

(at times we may found ourselves out of place, so what we must carry ourselves confidently)

Itefaaq badi cheej hai...

Itefaaq badi cheej hai...
Naa kaaran ka pata chalta hai....
Naa pahle se pata rehta hai...
Kahte hai jab jo hona hai wo hoke rehta hai....

Magar haath pe haath dharne se thode naa kuch hota hai...!!

Naseeb ka maana Apna khel hai...par karm ka bhi bolbala aksar rehta hai....!!!

Dikhawa to bahut hai maybe..

Dikhawa to bahut hai maybe..
But uske bina chalta kaha hai...

Jooth pe mana paer tikte nahi jyada der tak kahi....
Par Kewal sach bolkar pet bharta kaha hai...

Ho rahi ho atisbaaji bhale hi har or ...
Lekin Khushi ka tahaka naa jaane kaha hai....

Jeetne ki hod lagi hai itni jor...
Ki haarna maano jaise koi gunaah hai...!!!

Waqt ke badlaav

Waqt ke badlaav naa jaane kya rang dikhlayenge...
Koshish to yahi hai ki jo bhi mor ho,..muskurayenge...

Chalna hi Jindagi hai...chalte chalte manjil tak pahuch hi jaayenge...

Khud se ho khafa

Khud se ho khafa,khudi chali saer pe....
Kah rahi ho man ki baaten haste hatke chain se....
Hai nahi koi harbadi....Dar hai naa ho gadbadi...
Chal rahi Jindagi haule haule bechain se...!!

(Extra lines----
Sapno ki apni kataar bad rahi hai...
Jindagi ki bhi apni raftaar bad rahi hai....!!!)

Chalna kidhar hai...??

Chalna kidhar hai...??
jidhar manjil hai ,ya jidhar raaste hai.... 
jidhar log kah rahe hai ,ya jidhar tera man hai.... 
chalna kidhar hai???

hai adig manjil ... magar raah mein chalna jo hai... 
ruk nahi sakta hai pal to tujhe rukna kyu hai... 
waqt to badale ga hi tu bhale badal naa badal.... 
chal chalte chal bhale kyu naa jaaye man kitna machal.... !!!

Chalne ke pahle soch le chalna kidhar hai...!!

Sabdo ke abhaav mein

Sabdo ke abhaav mein, ishaare kaphi hotey hai....
Chaand ke abhaav mein,sitaare kaphi hotey hai....!!
Paana to bahut kuch hai jeevan mein,
Par unke naa Milne pe kya man behlaane ke bahane kaphi hotey hai!!!!!

diwali yu roj roj thode naa aati hai...

diwali yu roj roj thode naa aati hai... 
tyohaaro ka raja aise hi thode na kehlaati hai....

ankhoien mein aati to hai chamak.... 
kuch patakho ke bahane hi sahi....

phuljhari, anar, chakri,rocket, aur bhi na jaane kaun se patakhe.... 
miljulkar phodte hai bache, jawaan,budhe ....laga laga kar tahaaake....
ho rahi hai masti.... josh aur ulaash mein.... 
lag rahi hoti hai sundar maano akaash bhi raat mein....

goonj uthi hai,gallia, mohalle, sadke aur bajaaar....
har haraf maaano chal raha ho khadriddar....

jagmag jagmag deep jalte hai....
umeed ki kiran sab ke jeevan mein bhar dete hai....
ladne ki takat andhero se.... kamjor se kamjor ko dete chalte hai...
khud ko jalakar bhi dekho naa.... ye jahaan ko roshan kar dete hai...!

saikro tarah ke pakwaan aur mithaiya banti hai....
kya khaye aur kya naa isme hor lagi rahti hai....
bhet liye aatey hai rishtedaar aur dost....
aur ghar aur aagan mein khub chahal pahal rahti hai....

sadiyo se aa rahi parampara aur yaadoein ko apne mein samete hai..
sri raam, sita aur lakshman ke lautne ki khushi hai....
khushi baandh lo kitni bhi muthi mein... chup thode naa paati hai...

haath jod naman kar ashirwaad hum sab se liya karte hai....
maa laxmi viraje unke ghar mein ye sabhi manokamna karte hai....

khushi ke kuch pal hi sahi....
naa jaane kitna sukoon diye jaaati hai....
sabke chahre pe muskurahat liye aati hai...
diwali yu roj roj thode naaa aati hai....

A very happy diwali!!!

waqt ke darmiyaan

waqt ke darmiyaan bandh si gayi hai jindagi!!!
waqt badh chala hai lekin tham si gayi hai jindagi!!

Sunday, October 13, 2013

wo tasveero mein jhalak raha hai itna sundar....

just some lines came in head after watching a few pics of durga puja..::

wo tasveero mein jhalak raha hai itna sundar.... 
to aakhoien ke saamne to aur adbhut hoga....
tyohaaro ka ho jab mausam... 
to ghar angan sab pulkit hoga.... 
chahre pe amit kushi aur man prasanchit hoga.... 
sach mein mahaul ati sundar... ati ramniya hoga... !!

just some additional lines::
sajti huyi galia hongi...
jhoomte, khelte, ghumte huye bache honge....
bhajan ki goonj hogi....
aatisbaaji aur kalabaaji hogi...
gaane aur bajaane honge...
naya josh aur umang hoga...
bhale koi dur ho aur koi paas hoga....
jeevan adhbhut hai iska bhi sayad ehsaas hoga....
maa ka sabpe ashirwaad hoga...
maa ka sabpe ashirwaad hoga...!!!

muskura ke chal.....

muskura ke chal.....
chalna jab hai hi... 
to gunguna ke chal... 

kya pata manjil ki duri kitni hai.. 
kya pata teri kaisi majboori hai...
hasna sehat ke liye behad jaruri hai.... 

chalte chal... badte chal...
karm ka fal khud milega... karm karte chal.... !!
waqt ka alam hai ki wo thamta nahi....
tu bhi uske saath ho chal.... !!!

Sunday, October 06, 2013

sunday ke maaine kya...

sunday ke maaine kya... 
sabdo mein bayan karna mushkil hai...

saare hafte ke din ek taraf... 
magar ye pyaara sa dulara sunday ek taraf...

kisi office waale se pucho ahmiyat iski.... 
gun ginaate ginaate naa thakega... 
sadia lag jaayegi kahte kahte...
magar wo naa rukega....

itna kuch karne ko hota hai waqt kam pad jata hai...
kai baar man ye sochta hai ki sunday do baar kyu nahi aata hai...!!

aaram kar lo ji bhar ke is din...
so lo puri neend sadio ke tum...
mil lo kuch yaar dost se yuhi...
sunday hai aise hi naa chale jaaye kahi...!

is par monday ka khatra hamesha mandrata hai...
shaam hotey hotey to maano dil ghabarata hai...
par bhaiya agle hafte ye phir se aata hai...
aur sab ka dil yuhi behlata hai... !!

kaam mat le ana ghar tum office ke galiyaaro se is din...
bahut intejaar ke baad najar aata hai ye din...

sunday hafte kaa raja yuhi thode naa kehlata hai!!!
sunday hafte kaa raja yuhi thode naa kehlata hai!!!

Ek Shaam

 Ek dhalti shaam ko kya uhi beet Jaaney du..  ya bhaag kar Roku usey aur naa jaaney du..  ya rok kar toku usey aur behla dun..  Kya shaam ko...